Fardan Faiza ko aapni baahon me uthaye kamre ki taraf jaane laga. Faiza gehri neend me jaa chuki thi. Fardan ne pyaar se Faiza ko bed pr sula diya aur uske pass baith kar uske baal sanwaarne laga. Wo baar baar usse dekh kar muskura raha tha.
"Kya jadoo kardiya hai Faiza tumne mujh pr? Kyun tumse ek pal ki doori ka khayal bhi mujhse bardaasht nahi hota? Tumne toh mujhe poori tarah pagal kardiya hai apne pyaar me." Fardan soti hui Faiza se baatein kar raha tha.
"Bhai aap.." Ayesha kamre me aati hui bolne lagi toh Fardan ne usse chup hone ka ishara kiya.
Faiza ko araam sa sota hua dekh kar Ayesha muskura kar wahan se chali gayi. Ayesha jo Fardan ke liye khana laayi thi wo ab bhi unke kamre me rakha tha toh Fardan sofe pr baith kr khana khane laga. Fardan ki nazar Faiza pr hi thi. Jab Fardan ka khana hogaya toh wo bartan rakhne ke liye nicche chala gaya.
"Bhai aap ne kuch kiya tha kya?" Ayesha Fardan se puchne lagi.
"Kya matlab?" Fardan ko Ayesha ka sawaal samajh nahi aaya.
"Matlab kuch daant diya ya gussa kar diya ho jisse wo dil se laga gayi." Ayesha ne pucha.
"Nahi aisa toh kuch nahi hua. Humne kal raat call pr baat ki thi aur wo ache se hi baat kar rahi thi mujhse." Fardan sochta hua bolne laga.
"Theek hai aap apna kaam kar lijiye. Wo uth jayegi toh mai usse puch lungi." Ayesha ne kaha aur apne kamre me chali gayi.
Fardan bhi apna laptop utha kar upar aagaya aur Faiza ke pass baith kar kaam karne laga.
**************************************
"Aise toh mujhe roz dumm karta hai aur aaj jab mai chah rahi hoon wo mujhe message ya call kare toh kar nahi raha." Ayesha baar baar apna phone dekhti khudse bol rahi thi. Wo kal raat se uske call ya message ka intezaar kar rahi thi. Itne mahino se uske calls aur messages ki aadath hogayi thi aur ab aaj pehli baar usne message nahi kiya toh Ayesha ko bechaini hone lagi. Bhale hi wo roz usse beizzat karke uske numbers block karti jaati, wo aadmi roz ek na ek call ya message kisi dusre number se usse kar deta tha. Aaj Ayesha ne uske saare numbers unblock kar diye the aur uske message ya call ka intezar kar rahi thi jo aa nahi raha tha.**************************************
Fardan ka kaam khatam hua toh wo aake Faiza ke pass baith gaya. Hawa ki wajah se baal baar baar Faiza ke chehre pr aa rahe the jisse wo hata kar usse dekhta hua muskura raha tha.Fardan Faiza ke pass baitha hi khudse baat kar raha tha. "Jaanta hu jab shaadi hui tab sahi se waqt nahi diya maine tumhe... Shayad issi wajah se tum itna dar rahi ho mujhse." Wo uske baal sehlate hue pareshaani se bol raha tha.
Aisa pehli baar hua tha ke Fardan ko kisi insaan ke liye itni fikr hui thi. Ayesha se wo bahot mohabbat karta tha lekin Faiza ka muqaam kuch aur hogaya tha. Wo ek pal ko Ayesha ke bina jeena ka soch sakta tha lekin Faiza ke bina nahi. Agar koi usse poori tarah tabaah karna chahta ho toh bas Faiza ko usse durr karde... Ye soch bhi uske liye jaanleva thi. Faiza usse apne saans ki maanind zaruri hogayi thi jiske bina jeena usse namumkin sa lagta tha.
"Mai koshish karunga tumhari har baat manne ki... Please tum jaldi se theek ho jao bas. Kash mai uss aadmi ke picche na gaya hota toh tum poori tarah theek hoti." Fardan ko shaadi se le kar ab tk ki har baat yaad aa rahi thi jis pr wo afsoos kar raha tha.
Flashback:
Fardan abhi rasmein karne ke baad apne kamre me jaane ke liye utha tha toh usse phone aane laga.
"Sir... Uss aadmi ka pata chala hai humein." Ahmed ne itelaa di.
"Theek hai mai kuch der me aa raha hoon." Fardan ne jawab diya.
Kamre me jaane ke baad Fardan Faiza ko uska tohfa de kar apne study me chala gaya. Study me se 2 raaste nikalte the. Ek jo photo wale kamre me jaata tha aur dusre jo nicche garden me jo ghar ke pichle hisse me tha wahan jaata tha. Fardan ne apni shervani nikaal kar wahin study table pr rakh di aur ek baar Faiza ko dekhne apne kamre me aagaya.
Faiza gehri neend me jaa chuki thi. Wo shayad bahot thak gayi thi isliye Fardan ke naram makhmali bistar pr usse aur bhi sukoon ki neend aagayi thi. Usse zameen pr sone ki aadat thi aur aaj bed pr so kar wo bahot pursukoon nazar aa rahi thi.
Fardan uske pass baith kar pyaar se uske baal sehlane laga. Faiza ka chehra chamak raha tha. Aisa lag raha tha ek zamane baad wo sukoon ki neend soyi thi. Fardan muskurate hue usse dekh raha tha.
Phir usne kaha, "Hayeeee ye mohabbat kahin mujhe maar hi na de Faiza. Tumse shaadi ki khushi itni hai ke muskurana band nahi ho raha mera lekin kya karu... Kuch hisaab baaqi hai mere jo lena hai uss aadmi se. Yaqeen maano agar wo na hota toh mai aaj bahot khushhaal zindagi guzaar raha hota lekin hamare milne ki wajah bhi wahi hai toh dusre nazariye se dekha jaaye toh mai khush bhi hoon ke tum mujhe mil gayi. Bahot mohabbat karta hoon Faiza tumse... Jeena mushkil kardiya tha tumne itne saal mai kaisa jiya tumhare bina bas mai jaanta hoon." Fardan ko khayal aaya ke usse jaana hai toh Faiza ke maathe pr choomta uske gaal pyaar se sehlata hua wo wahan se chala gaya.
Fardan ke saath Ahmed aur 5 aadmi the jo Fardan ke bahot khaas the. Arun bhi inn sabke saath maujood tha. Fardan uss aadmi ke aane ka intezaar kar raha tha jo ab tk wahan pahoncha nahi tha. Uss aadmi ke bahot se kaale dhande the aur uska connection underworld ke sabse bade don se tha jiske saamne Fardan bhi kuch nahi kar sakta tha isliye hi wo aadmi aaj tk Fardan ke haath se bacha hua tha. Kuch der intezaar karne ke baad jab unhe laga wo khabar jhooti hogi tabhi wahan 5-6 cars aa kar rukk gayi.
"Sab taiyyar rehna. Aaj hum iska kidnap karenge aur isse bahot torture karenge." Fardan ne gusse se unn cars ko dekh kar hukm diya toh uske saare aadmi wahin aas pass chup kar thair gaye.
Aadhi raat ho chuki thi. Saher ka waqt hone wala tha lekin andhera ab bhi tha jis wajah se unhe wo log ache se dikhayi nahi de rahe the. Sab log kaale kapdon me the jis wajah se wo sab bs parchayi jaise dikh rahe the. Jab unhe kuch der ghaur kiya toh unho ne samajh liya inka boss kaun tha. Wo aadmi unn sabko hukm pr hukm de raha tha aur Fardan ke ishaare pr unhone shooting start kardi.
Fardan ke log goli maarna shuru kar chuke the jis wajah se dushman ke kuch aadmi zakhmi hogaye the toh kuch jaldi se chup gaye. Unka boss bhi wahi chup gaya. Kuch der inn dono ki ladayi chalti rahi aur aakhir me uss aadmi ke saare log maare gaye. Fardan ke bhi 2 aadmi ghayal ho chuke the. Jab sirf boss bach gaya toh Fardan ke ishaare pr Ahmed aur Hatim jaa kar uss aadmi ko pakadne lage. Unhone uske munh pr kapda daala aur usse behosh karke gaadi me baitha diya. Fardan ke kehne pr Arun baaqi zakhmi aadmiyon ko haspataal le gaya tha. Ab Fardan aur Ahmed apne secret hideout ki taraf jaane lage aur unke picche Fardan ke aadmi aane lage.
"Teri maut toh tay hai aaj!" Ahmed uss behosh aadmi ko dekh kar bola. Fardan ka dhyaan kahin aur tha jo apne sochon me gum tha.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...