Fardan apne secret hideout me baitha tha. Ahmed ko ek call aaya aur wo baat khatam karke Fardan se bola, "Sir humein uss aadmi ke baare me maloom hogaya hai."
Fardan ke ishaare pr saare aadmi uss aadmi ki talaash me nikal gaye. Sab wahan jama hogaye the jahan wo aane wala tha. Bahot der intezaar krne ke baad unhone dekha ke ek car wahan aayi. Usme se ek aadmi bahar nikla aur wahan ke ek purane se warehouse me chala gaya. Fardan ne sabko andar jaane ka ishaara kiya toh sab andar chale gaye.
Sab chup kar wahan rukk gaye aur Fardan andar jaane laga. Fardan andar jaa kar dekha toh gusse se laal hota hua kuch der me hi bahar aaya. Sab aadmi Fardan ka chehra dekh kar darr gaye the.
"S.. Sir kya baat hai?" Ahmed ne himmat karke pucha.
"Wo aadmi yahan aane hi wala nahi tha. Humein kisi ne galat khabar di hai. Yahan jo abhi aaya tha wo toh koi 18-20 saal ka baccha tha jisse unhone zabardasti waise kapde pehna kar wahan laaya gaya tha taake hum bhatak jaayein." Fardan ne gusse se kaha toh sab log ek dusre ko hairath se dekhne lage.
Arun ke chehre pr muskurahat thi jo wo chupane ki poori koshish kar raha tha. Sab log mayoos ho kar wapis se apne secret hideout pr aagaye. Fardan ka gussa saatve asmaan pr tha jab hi Adil wahan aaya.
"Bhai fikr mat kijiye. Shah sahaab ne 2 saal ka waqt diya hai na. Jahan aap ne itne saal sabr kiya wahan 2 saal aur kyun nahi." Fardan ko Adil samjhane ki koshish kar raha tha.
Fardan bina kuch kahe ek hi jagah dekhe jaa raha tha. Achanak se Fardan ka phone bajne laga toh Fardan ne call utha liya.
"Kaise ho Fardan?" Wo aadmi hasta hua puchne laga.
"Tumse mil kar baat karna chahta tha lekin kya karu mai wahan aajata toh tumhara ye utra hua chehra kaise dekh paata." Wo aadmi hasta hua bola lekin Fardan bina kuch kahe sunn raha tha.
"Tum mujhe kabhi nahi pakad sakte Fardan. Tum mujhse kabhi nahi jeet sakte kyunki mai hamesha tumse ek qadam aage rehta hoon." Wo aadmi ab sanjeeda lehje me bola.
Fardan ne gusse se apna phone deewar pr phek ke maara jis se wo toot gaya. Fardan jaa kar deewar pr bina ruke mukke aur laat maarne laga. Uske haath uske qaabu me nahi aarahe the. Wo bina ruke deewar pr maare jaa raha tha. Fardan ke haathon se khoon behne laga tha. Ahmed aur Adil dusre aadmiyon ke saath usse rokne ki koshish kar rahe the lekin wo ruke tab na. Phr kuch der baad Adil ne kaha ke Ayesha ka message aaya hai aur wo Valime ke liye taiyyar hone bula rahi hai toh wo shaant hua aur seedha apni car le kar apne ghar chala gaya.
Flashback Ends.
**************************************
Fardan ko sab yaad karke gussa aagaya tha. Wo aadmi 3 baar Fardan ke haathon bach gaya tha lekin ab usne socha ke wo uss aadmi ko kuch din ki aur mohalat dega. Faiza ka baar baar bemaar hona Fardan ko pareshaan kar raha tha isliye wo ab apna waqt usse dena chahta tha. Wo Faiza ke pass hi baitha raha aur shaam hogayi.
Faiza ki aankh khuli toh dekha Fardan uske pass gehri neend me so raha tha. Faiza ghabra gayi usse Fardan se darr ho raha tha. Wo jaldi se usse durr ho kar bed se utar gayi. Phir fresh ho kar nicche chali gayi.
"Di tum ne kaha tha tum mere saath rahoge phir unke saath mujhe akela kyun chodh diya." Faiza Ayesha se shikwa kar rahi thi.
"Nahi bhabi tumhe aankh lag gayi thi toh mai pakane ke liye nicche aayi thi." Ayesha ne apne haath ek towel se saaf karte hue jawab diya jo abhi kitchen se bartan dho kar nikli thi.
"Mujhe mamu ke ghar kab chodhenge aaplog?" Faiza ne sawaal kiya.
"Bhai ko bolo... Wo chodh denge." Ayesha ne kaha toh Faiza ghabra gayi.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...