"Theek hai bhai sahab mai chalta hoon. Ap sab log zaroor aiyye shaadi me." Riyaz chai khatam hote hi bola.
"In Sha Allah." Aqeel ne jawab diya.
"Beta mai tumhe lene kab aau?" Riyaz ab Faiza se mutawajjoh tha.
"Mujhe?" Faiza hairath se boli.
"Haan tumhare cousin ki shaadi hai. Tumhara hona zaruri hai." Riyaz bola.
"Faiza ko mai jab bhejna hoga laa kar chodh dunga." Fardan ne sakht lehje me kaha toh Faiza usse khaalis nazron se dekhne lagi
Riyaz samajh gaya aur wahan se chala gaya.
**************************************
"Mujhe apse kuch baat karni hai." Faiza Fardan se boli jo apne phone me hamesha ki tarah masroof tha."Haan bolo meri jaan." Phone side me rakh ke Fardan apna dhyaan Faiza ki taraf karke puchne laga.
"Di... ke liye rishta le kar kal koi ladka aa raha hai." Faiza thoda sanjeeda ho kar boli.
"Kya matlab?" Fardan ko ek pal ko Faiza ki baat samajh nahi aayi.
"Koi ladka kal di ke liye rishta laane wala hai." Faiza ne phir se kaha.
Raat ke 2 baj rahe the sab apne kamron me chale gaye the. Aaj Fardan, Faiza aur Ayesha...Adil ke yahan hi rukk gaye the. Jab Faiza ne Fardan ko akela paaya toh Ayesha ki baat karne lagi.
"Kaun ladka?" Fardan sanjeeda hua.
"Mai nahi jaanti." Faiza boli.
"Phir? Tumhe kisne bataya?" Fardan sawaal karne laga.
"Di ne." Faiza boli.
"What?" Fardan ko hairath hui.
"Di uss ladke se mohabbat karti hain. Unhe shaadi karni hai lekin wo apki marzi ke bina shaadi nahi karna chahti isliye kabhi uss ladke se apni mohabbat ka izhaar nahi kiya. Wo ladka bhi Di se bahot pyaar karta hai isliye wo rishta laana chahta hai kal." Faiza ko jo maloom tha wo sab Fardan se bolne lagi.
"Ayesha ko kaun pasand?" Fardan sochta hua bola.
"Mai nahi jaanti usse pr Di bol rahi thi unn dono ki mulaqat hamare valime ke din hui." Faiza boli.
"Ohh!" Fardan soch me gum bas itna hi bola.
"Aap jo kahenge Di wahin karengi lekin phir bhi aap unke mann ko bhi dekh ke faisla kijiye. Wo mohabbat karti hain uss shaqs se." Faiza boli lekin Fardan ne kuch jawab nahi diya.
Fardan ko khamosh dekh kar Faiza apni jagah jaa kar let gayi. Usse samajh nahi aa raha tha wo Fardan se ab aage kya baat kare kyunki usse jo Ayesha ne kehne ko kaha tha wo toh usne keh diya tha lekin Fardan jawab nahi de raha tha isliye Faiza khamoshi se sone ki koshish karne lagi.
**************************************
*Assalamualaikum Sir!* Sameer bola.*Walekum assalam* Fardan ne jawab diya.
*Sir aaj wo Saif Sultaan wala photoshoot hai. Aap aa rahe hain ya mai chala jau?* Sameer puchne laga.
*Nahi mai aaj masroof hoon. Tum dekhlo aaj ka saara kaam.* Fardan chehre pr haath pherta bezaari se bola.
*Theek hai sir.* Sameer ne kaha toh Fardan ne phone band kardiya.
Subah ke 8 baj rahe the aur Fardan apne ghar pr baitha tha. Faiza ne jo baat kahi thi usse Fardan ko raat me bada jhatka laga tha. Faiza kuch der me sogayi toh Fardan gaadi le kar raat me wahan se nikal gaya tha aur ab apne ghar baithe bechain ho raha tha.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...