Aaj Shafiq ki shaadi thi jis wajah se mamu ke ghar me bahot dhoom machi hui thi. Mamu ke bahot minnat karne pr Fardan Faiza ko aaj subah subah yahan chodh gaya tha lekin mamu ko akele me warn karne ke baad ke Faiza ko ek dhakka bhi na lage. Faiza ke aate hi mami ne usse kitchen me mehmaano ke liye khana banane par laga diya tha. Wo bahot der se wahan khadi roti bana rahi thi. Mehmaano se ghar bhara hua tha aur Faiza ki madad karne koi nahi aaya tha isliye usse khana banane me bahot der lag gayi jis pr mami ne usse daant bhi diya tha.
"Khana toh acha banaya hai baji aap ne." Zeba ki behn maze se khana khati hui boli.
"Tum khana khatam hote hi zara Arshia ko dekh lo. Asar me nikah hai aur wo pata nahi taiyyar hui bhi hai ya nahi." Zeba apni behn ki baat anjaan maar kar apni baat kehne lagi.
"Theek hai baji jaisa aap kahein." Rida boli jo Zeba ki choti behn thi.
"Arshia tumhe kuch chahiye?" Rida kamre me aate hue puchne lagi.
"Nahi khala mujhe bas thoda khana dedein. Mujhe bahot bhook lagi hai." Arshia jo apne safed jode me taiyyar baithi thi wo boli.
"Theek hai tum yahin araam se baitho mai Faiza ko bhejti hu khana de kar. Kuch chahiye hoga toh tum usse maang lena." Rida boli aur chali gayi.
Rida ke kehne pr Faiza khana le kar Arshia ke pass aayi. Arshia khana khane lagi. Faiza wahi Arshia ke pass khamosh baithi hui thi.
"Haye haye pagal ladki tumhara dhyaan kahan hai?" Zeba kamre me aayi toh chillane lagi.
Arshia aur Faiza, Zeba ko hairath se dekhne lage. Unn dono ko bhi Zeba ki baat samajh nahi aayi. Zeba jaldi se Arshia ka dupatta hatane lagi jo salan se lag kar kharab ho chuka tha.
"Kahan dhyaan hai tumhara?" Zeba gusse se Faiza ka baazu pakad kar puchne lagi.
"Khala galti meri thi mai ne hi dekha nahi. Faiza ki koi galti nahi hai." Arshia bolne lagi.
"Rehne do beta tum iski tarafdaari mat karo. Ye jal rahi hai tumse kyunki isse Shafiq se shaadi karni thi isliye hi isne tumhara nikah ka joda kharab kar diya." Zeba gusse se boli.
"Nahi mami mai ne aisa kuch nahi..." Isse pehle ke Faiza apna jumla mukammal karti Zeba ne usse thappad maara. Faiza ki aankh se aansu jaane lage.
"Khala mai keh rahi hoon na galti Faiza ki nahi thi." Arshia ab pareshaani se Faiza ko dekhti hui boli.
"Tumhare issi bholepan ka fayda utha rahi hai ye naagin. Tum jao koi dusra dupatta hai toh dekho ya isse dhone ka kaho kisi se. Isse mai dekhti hoon." Zeba gusse se Faiza ka haath kheenchte hue usse storeroom me le gayi.
Faiza roti hui kaanpti wahan kone me khadi thi. Zeba gusse se usse dekhne lagi phir boli, "Agar tumne mere Shafiq ki shaadi me koi tamasha kiya toh mujhse bura koi nahi hoga. Jab tk tumhare sasuraal wale nahi aate tum yahin baithi raho."
Zeba kamre ko lock karke wahan se chali gayi. Faiza apne munh pr haath rakh ke rone lagi. Usse Fardan aur Ayesha bahot zyada yaad aane lage the. Fardan ne usse yahan chodhne se pehle kaha tha ke wo zarurat padne pr uske ek call ya message pr haazir hojayega lekin Fardan ko call karne ki usse himmat nahi hui. Wo wahin roti roti farsh pr ek kone me sogayi.
**************************************
"Mumma mai nahi aaunga. Aap log jaiyye. Mujhe mann nahi hai." Adil bezaargi se bola."Lekin kyun beta?" Azra puchne lagi.
"Mujhe kuch kaam hai. Please ab mujhe force na karein." Adil bola toh Azra khamosh hogayi.
**************************************
"Zeba bahot der se mujhe Faiza dikhayi nahi di... Kahan hai wo?" Riyaz apni biwi se puchne laga."Yahi kahi hogi mujhe kya pata uska." Zeba jhoot bolne lagi.
"Usse apne kamre me le aao kuch der baad mujhe baat karni hai tum dono se." Riyaz sanjeeda tha.
"Theek hai!" Zeba apne kaamo me masroof hogayi.
Riyaz ko bhi mehmaano ne gher liya aur dono bhi Faiza ke baare me bhool gaye.
Kuch der baad nikah ka waqt qareeb aaya toh sab masjid ke liye nikalne lage. Zeba ke zehen me Faiza durr durr tk nahi aayi aur shaadi ki gadbadi me wo usse bhul kar sabke saath masjid chali gayi. Riyaz bhi iss soch me tha ke ab shaadi wale ghar me toh Zeba sabke saamne Faiza pr tashaddud nahi karegi.
Sab log nikah ke liye jama hue the. Fardan Ayesha Azra aur Aqeel bhi abhi wahan pahonche the. Ayesha Faiza ko dhundne lagi jo kahin nazar nahi aa rahi thi. Fardan ka bhi dhyaan Faiza ko dhundne me tha. Jab Faiza usse kahin dikhayi nahi di toh wo Riyaz se puchne laga. Riyaz pareshaan ho kar Zeba ke pass gaya toh Zeba ne darte hue usse subah ki saari baat bata di jo Fardan bhi sun chuka tha. Fardan ko Zeba pr gussa toh bahot aaya tha lekin usse Faiza ki zyada fikr ho rahi thi. Bina kuch soche samjhe wo tezi se gaadi bhagata hua Riyaz ke ghar pr pahoncha. Ghar pr kuch buzurg mehmaan rehne ki wajah se ghar khulla tha. Fardan bhaagta hua andar gaya aur saare kamre dekhne laga. Jab usse store room dikhayi diya jahan taala laga tha toh usne wo darwaza todne ki koshish ki lekin wo toot nahi raha tha. Fardan gusse se laal ho raha tha. Usne bahar se ek bada sa pathhar liya aur taala tod diya. Wo bhaagta hua andar aaya aur dekha ki Faiza ek kone me behosh padi thi. Uske haath se phone gir kar uske pass pada tha. Fardan usse apni baahon me lete hue uske chehre ko thap thapane laga taake wo hosh me aaye lekin Faiza hosh me nahi aayi. Fardan bahot pareshaan hogaya tha. Wo jaldi se nicche gaya aur kitchen se paani laa kar Faiza ke chehre pr daalne laga. Faiza ab bhi hosh me nahi aayi toh Fardan ko laga jaise uski saansein band hojayegi.
Wo kaanpte haathon se usse apni baahon me utha kar ghar se nikla. Faiza ko araam se car me baitha kar wo khud bhi baith gaya. Gaadi ko tezi se bhagate hue Fardan Faiza ko le kar hospital pahoncha. Fardan ko dekhte hi wahan ki doctor ne Faiza ke liye ek personal room book karwa diya tha. Doctor ab Faiza ki halath dekh rahi thi. Fardan tension se sar pr haath rakh kar ek kone me baitha tha. Uska dil kar raha tha Zeba ko itni dardnaak maut de ke uski aane wali saath pushtein bhi kabhi kisi ko takleef dene ka na soche.
"Doctor sab theek toh hai na?" Fardan fikr se pagal ho raha tha.
"Allah ka shukar hai ke Madam ko kuch nahi hua. Unka blood pressure drop hone ki wajah se wo behosh ho gayi lekin phir bhi mere baat maano toh 2 din ke liye inhe hospital me rehne dijiye. Mai observe kakre inki halath ke baare me bataungi. Shayad kisi baat ka sadma hogaya tha inhe phir bhooki bhi thi subah se shayad aur bahot zyada rone ki wajah se jism kamzor pad gaya hai inka. Mai ne kaha tha na inka khayal rakhne ko. Agar phir ek baar ye behosh hui ye toh inhe panic attacks aana shuru ho jayenge phir inki jaan khatre me bhi aa sakti hai. Apko apki biwi pyaari hai toh inhe har qism ke tensions se durr rakhiye Sir." Doctor apni baat bol kar Faiza ko drip laga kar wahan se chali gayi.
Fardan Faiza ka haath apne haath me liye baar baar choomne laga. Fardan ki aankh se aansu jaa rahe the. Fardan ko samajh nahi aa raha tha wo kya kare. Uska dil chah raha tha duniya ke har wo insaan jisne Faiza ko takleef di unn sab ko ek jagah jama karke sabko aag laga de lekin wo aisa nahi kar sakta tha. Faiza hamesha se maaf karne walo me se thi aur wo Fardan se bhi yahi umeed lagaye hue thi aur yahi wajah thi ke Zeba ab tk jee rahi thi lekin aaj jo hua uske baad Fardan kisi ko nahi bakashne wala tha. Fardan ki aankhein gusse se laal hui thi aur wo Faiza ko dekh kar apne aansu saaf karke uske maathe ko choom kar wahan se utha.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...