Faiza ko hosh aaya toh wo achanak se uth kar baith gayi jisse usse shadeed sar dard hua. Kamre me koi nahi tha wo hairaan ho kar aas paas dekhne lagi.
"Mai toh mami ke store room me thi. Ye kahan hu mai?" Faiza khudse bolti hui bed se utri. Bed ke pass wale table pr ek phoolon ka guldasta rakha hua tha.
"Get well soon.... Hum jald hi milenge." Guldaste me rakha note Faiza ne padha toh hairaani se kamre ka jayeza lene lagi.
Guldasta table pr rakh kar Faiza door ki taraf jaane lagi toh usse chakkar aane lage jisse wo wapis bed pr baith gayi. Wo sar pakde wahin baithi thi ke Fardan kamre me aaya.
"Faiza tum theek toh ho na?" Fardan pareshaani se puchta uske pass aaya.
"Haan bas bahot sar dard ho raha hai." Faiza sar pakde boli.
Fardan jaldi se usse bed pr litane laga aur doctor ko awaaz dene laga.
Doctor ne Faiza ko check kiya aur kaha, "fikr ki koi baat nahi. Inka jism kamzor hogaya hai bas yahi wajah se inhe ab bhi chakkar aa rahi hai. Sar dard toh aise case me mamuli si baat hai. Meri baat maano toh aap inhein 2-3 din ke liye hospital me admit kardein taake mai inki halath pr nazar rakh saku."
"Nahi mujhe yahan nahi rehna." Faiza ghabrahat se boli.
"Kyun bhabi? Tumhari behtari ke liye hi doctor tumhe yahan rukne ko keh rahi hai." Ayesha kamre me aati hui boli.
"Mujhe nahi rehna yahan please." Faiza Fardan ko dekhti hui boli.
"Doctor hum bahar baat kar sakte hain?" Fardan Faiza ko anjaan maarta hua Doctor se baat karne laga. Phir wo dono doctor ke office me baithe baat karne lage.
"Kya hum Faiza ko zabardasti yahan rakhein?" Fardan puchne laga.
"Sir aap agar unki har baat manenge toh zyada behtar hoga kyunki unke saath iss haal me zabardasti karenge toh jaisa mai ne kaha hai unhe panic attacks ho sakte hain aur wo depression me bhi jaa sakti hain. Aap unhe kisi therapist ke pass kyun nahi le jaate... Shayad wo inka trauma jo bhi hai jis wajah se ye stress me baar baar behosh hojati hain wo theek kar paaye!" Doctor ne Fardan ko advice di.
"Theek hai doctor. Thank you!" Fardan wahan se uth kar Faiza ke pass aagaya.
Ayesha Faiza ko zabardasti khana khilane ki koshish kar rahi thi lekin Faiza khane se mana karti ja rahi thi.
"Ayesha tum phuppo ko call karke boldo ke sab theek hai. Wo bewajah pareshaan ho rahe honge." Fardan andar aata hua bola toh Ayesha baat ko samajhti hui uth kar bahar chali gayi.
"Tumhe khana kyun nahi khana madam?" Fardan Faiza ke pass baithta hua puchne laga.
"Hum yahan se kab jayenge?" Faiza uske sawaal ko anjaan maarti hui apna sawaal karne lagi.
"Tumhe yahan rehne se kya masla hai?" Fardan puchne laga.
"Mujhe yahan rehna pasand nahi. Mai jab bhi hospital ke pass se bhi guzarti hoon toh mujhe mere maa ki maut yaad aati hai. Mai yahan nahi reh sakti please." Faiza ki aankhein bhar aayi.
"Koi baat nahi. Hum bas kuch der me ghar chale jayenge. Tum roo mat." Fardan Faiza ke aansu saaf karta hua pyaar se bola toh wo usse khushi se gale lagane lagi.
Fardan achanak se kiye Faiza ki iss harkat pr thoda hairaan hua phir muskurate hue usse khud bhi gale lagane laga.
**************************************
Ayesha phuppo ka call rakhne ke baad Saif ko baar baar call kiye jaa rahi thi lekin number har baar busy aa raha tha. Ayesha ko bahot fikr hui phir wo udaas hui phir wo bahot zyada chidd gayi thi aur gusse me khudse bolne lagi, "hamesha toh calls karke dumm karta rehta hai mujhe aur ab jab mai chahti hoon ke wo mujhse baat kare toh wo mujhe call nahi kar raha." Gusse me uske aankh me aansu aaye the jisse wo saaf karne lagi. Usse laga Saif uske aas pass hai toh wo mudd kar idhar udhar dekhne lagi lekin wo kahin nahi tha."Kahin tum sach me toh mujhse pyaar karne nahi lag gayi?" Saif durr khada usse dekhta hua dheere se khudse bola. Usse Ayesha ki fikr hui.
Ayesha ko Saif dikhayi nahi de raha tha lekin Saif Ayesha ko ache se dekh sakta tha. Saif ne Ayesha ka number block kar diya tha. Wo nahi chahta tha ke Ayesha sach me uss se mohabbat kar baithe aur phir uska dil toot jaaye. Itne mahino baat karne ke baad Saif ke dil me Ayesha ke liye ek jagah ban gayi thi. Wo chahe Fardan se kitni bhi nafrat karle lekin Ayesha usse hamesha se pasand aayi thi. Shuru me wo nafrat aur badle ki aag me jalta hua uske pass gaya tha lekin ab usse Ayesha ki aadat si hogayi thi. Ayesha ke nakhre, uska har baat pr inkaar karna aur uski har adaa Saif ko bha gayi thi. Wo anjaane me usse pasand karne laga tha aur yahi wajah thi ke usne ab apna mansooba badal diya aur ab wo Ayesha ki bajaye Fardan se seedhe seedhe badla lene ka soch raha tha.
**************************************
"Shafiq mera ek akela cousin hai. Please mujhe jaane dijiye na!" Faiza Fardan se minnat karne lagi."Nahi Faiza tumhe koi zarurat nahi hai wahan jaane ki. Tum jab bhi wahan jaati ho kuch na kuch bura hota hai." Fardan fikr se bola.
"Aap bhi honge na saath. Mujhe kuch nahi hoga." Faiza ab bhi Fardan ko manane ki koshish kar rahi thi ke wo Shafiq aur Arshia ki shaadi me jayegi.
"Nahi. Mai ya tum... Hum se koi wahan nahi jayega." Fardan ab sakhti se bola.
"Aap ko agar mai kahungi ke aap Ayesha ki shaadi me na jaayein toh nahi jayenge?" Faiza ab haath bandhte hue Fardan ki aankhon me dekh kar puchne lagi.
Faiza ka ye roop Fardan ke liye naya tha. Usse Faiza ki iss adaa pr pyaar aaya tha. Wo muskurahat dabate hue bola, "tum kahogi toh mai marr bhi jaunga."
"Aap na bahot bure hain." Faiza pair patakhti hui gusse se wahan se chali gayi.
"Acha theek hai tum ready hojao. Hum chale jayenge lekin sirf 2 ghante ke liye. Usse zyada nahi rahenge wahan hum aur tum apne mami se durr rahogi." Fardan uske picche aata hua bola.
"Sacchi?" Faiza khushi se puchne lagi toh Fardan uska itna jaldi mood badalta dekh kar usse ghoorne laga.
"20 minutes me tum ready ho kar nahi aayi toh hum nahi jayenge." Fardan ab ghadi dekhta hua bola toh Faiza jaldi se taiyyar hone ke liye kamre me chali gayi.
**************************************
Adil secret hideout me baitha phone me kuch dekh raha tha tab hi Rumaisa wahan aayi.Rumaisa ko dekhte hi Adil ne dusri taraf chehra pher liya toh Rumaisa ko bahot bura laga lekin wo bhi usse anjaan maarti hui apni jagah pr jaa kar baith gayi.
"Rumaisa tum yahan kya kar rahi ho? Aaj toh kuch kaam nahi hai tumhara yahan." Sofiya uske pass aati hui puchne lagi.
"Fardan sir ne kaha hai mujhe yahan aane ko. Kuch zaruri kaam hai mera raat me jo mujhe karna hai." Rumaisa boli toh Adil usse dekhne laga. Rumaisa ki nazar bhi Adil pr hi thi toh Adil ne phir se nazar pher kar apna dhyaan phone ki taraf kar liya.
"Mai toh anaad hu lekin tumhari toh maa aur behn hai na ghar me. Wo tumhe itni raat raat tk kaise bahar rehne dete hain?" Sofiya puchne lagi.
"Jiske pass sab hote hue bhi kuch na ho uska dard tum nahi samajh sakti Sofiya." Rumaisa muskurate hue boli lekin uski aankhon me udaasi bhari thi.
Rumaisa muskura kar wahan se uth kar bahar chali gayi. Sofiya usse ajeeb tarah se dekhne lagi. Usse Rumaisa ki koi baat samajh nahi aayi. Adil ki nazar ab bhi phone me thi lekin uska dhyaan sirf Rumaisa pr tha. Adil ko Rumaisa ki baat bahot zyada chubi thi lekin wo samajh nahi paaya Rumaisa aisa kyun keh rahi thi.
**************************************
Please Suggest If I Should Write A Seperate Book For Rumaisa And Adil Or Should I Include Their Story In This Book Only????
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...