Ghair Kahi Khwahishaat

162 8 3
                                    

Ayesha fresh ho kar balcony me baithi thi. Fardan apna kaam khatam karke Sameer ko ghar bhejne ke baad kuch der me upar aaya.

"Kya baat hai beta? Tum kyun nahi chahti ke hum uske baare me maloom karein?" Fardan fikr se Ayesha se puchne laga.

"Bhai please mujhe ab iss baare me nahi baat karni. Aap ab iss Saif naam ke chapter ko khatam kar dijiye." Ayesha ko baar baar Saif ki baatein yaad aayi toh wo chidd me boli.

"Beta hua kya mujhe batao toh? Maine kaha tha na mai uske baare me maloom karunga phir shaadi ki baat karunga." Fardan pareshaan ho kar bola.

"Bhai usse ab mujhse shaadi nahi karni... " Ayesha bolte hue rone lagi toh Fardan pareshaan ho kar uske baal sehlane laga.

"Roo mat beta... Mujhe poori baat batao." Fardan puchne laga.

"Maine usse kaha tha mai apki marzi se hi usse shaadi karungi isliye usse maine rishta laane se inkaar kardiya toh usne mujhe har jagah block kardiya aur wo ab mujhse shaadi karna nahi chahta." Ayesha roti hui apne mann ki baat Fardan se keh rahi thi.

Fardan ne Ayesha ko galle laga liya aur uske baal sehlate hue bola, "Shayad meri kuch galtiyon ki saza tumhe mil rahi hai beta."

"Kya matlab?" Ayesha durr hoti hui apne aansu pochti hui puchne lagi.

"Kuch nahi. Tum fikr mat karo. Saif se mai baat karunga. Jaanta hoon tum usse mohabbat karti ho isliye mai kabhi tumhara dil tootne nahi dunga toh ab bilkul rona nahi aur mujhe pyaari si smile dedo ab." Fardan pyaar se bola toh Ayesha ne muskuraya.

**************************************
"Rumaisa tum kuch der kyun nahi rukti mere pass? Mai Ayesha aur Faiza ko bhi bula lungi." Azra car se utarti hui Rumaisa se boli.

"Nahi aunty. Aapko takleef ho jayegi." Rumaisa ko aaj Azra ka rawaiyya bahot ajeeb lag raha tha.

"Koi baat nahi beta. Rukk jao na kuch der baad chali jaana. Agar ghar me koi masla ho toh mai baat kar lungi tumhari maa se." Azra phir israar karne lagi.

Adil bhi hairath se apni maa ko dekh raha tha lekin khamosh raha.

"Nahi ghar ka koi masla nahi hai lekin mai apko bewajah takleef nahi dena chahti." Rumaisa phir se boli.

"Beta isme takleef kaisi. Kaha na maine tum mere liye Ayesha aur Faiza jaisi hi ho." Azra ke baar baar bulane pr bhi Rumaisa unhe mana karke unka dil nahi todna chahti thi isliye wo maan gayi.

Rumaisa ko Azra apne kamre me le gayi aur Adil apne kamre me chala gaya. Rumaisa fresh ho rahi thi tab tk Azra ne Ayesha ko call ki aur Faiza ke saath ghar aane ka kaha.

**************************************
Fardan Faiza aur Ayesha ko Adil ke ghar chodh kar apne office chala gaya tha.

"Assalamu alaikum Sir." Sameer Fardan ko salaam karne laga.

"Walekum assalam.. Saif ko mere pass bhejo." Fardan ne hukm sunaya.

"Sir wo toh aaj nahi aaya." Sameer sochte hue bola.

"Kyun?" Fardan ne sawaal kiya.

"Nahi maloom sir. Usne bina kahe chutti leli hai aaj aur waise bhi wo jab shoot hota hai tabhi aata hai." Sameer ne jawab diya.

"Phir abhi shoot rakho aur usse phone karke yahan bulao." Fardan ne phir apna hukm sunaya.

Sameer sar hilata wahan se chala gaya.

**************************************
"Assalamu alaikum" Ayesha aur Faiza ek saath salaam karti hui andar aayi.

"Walekum assalam" Azra aur Rumaisa ne saath me jawab diya.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now