Fareb Se Paida Hua Ishq

165 10 0
                                    

Flashback:

"Bhai aap kya kar rahe ho itne der se? Khane ke liye bula rahi hoon. Aa nahi rahe aap?" Ayesha kamre me aati hui boli jahan Fardan kuch likhta hua baitha tha.

"Haan jao tum. Abhi aata hoon." Fardan ne kaha toh Ayesha wahan se chali gayi.

Dear Fiza,

Kaisi ho? Tumne mujhe bataya tha tumhare cousins ne tumhe aage padhne ka kaha lekin tum padh nahi paa rahi. Mai tumhe ek suggestion de raha hoon agar tum chahti ho toh muft me tumhari padhai poori ho sakti hai. Bas tum hum jahan milte hain uss bus stop se aage wale stop pr utar jaana saamne hi tumhe ek college nazar aayega. Wo khaas kar un ladkiyon ke liye hai jiske pass qabiliyat toh hai lekin paisa nahi. Tum chaho toh wahan koshish kar sakti ho. Agar tumhe scholarship mil gaya toh tum apne higher studies muft me karke graduation kar sakti ho. Waise iss college ki guarantee mai isliye de raha hoon kyunki meri behn bhi yahin padh kar nikli hai.

Apka dost
Shehri

Fardan ne diary likhte hi nicche khane ko chala gaya. Khana khatam hote hi Fardan Faiza se milne bus stop bhaaga. Faiza ko wo diary pakadwane ke baad Fardan apne secret hideout me jaa kar baith gaya.

"Sir hum iss Furqaan ke baare me har jagah maloom karne ki koshish kar rahe hain lekin kahin pata nahi chal raha." Ahmed phir ek baar wahi baat bol raha tha jisse Fardan ko badi nafrat thi.

"Ahmed tum ab uss Furqaan ko chodh do aur Faiza ke cousins pr nazar rakho. Wo log kuch din ke liye issi desh me hain. Tum maloom karo Furqaan se unka koi talluq ab bhi toh baaqi nahi." Fardan kuch sochta hua bola.

"Theek hai sir jaisa aap kahein." Ahmed wahan se chala gaya.

"Ye baap beti ne toh mil kar mera dimaag kharab kiya hua hai." Fardan gehri saans leta hua bola.

"Rafiq tum jao aur hamare bus stop ke pass wale college me kaho agar Faiza Amani naam ki koi ladki wahan padhne aaye toh usse 100% scholarship de kar wahan rakh le." Fardan ne hukm diya jis pr Rafiq sar hilata wahan se chala gaya.

"Bhai 100% scholarship kuch zyada nahi ho jayega?" Adil hamesha ki tarah Fardan se sawaal karne laga.

"Nahi... Mai dekhna chahta hoon wo kitna sach keh rahi thi." Fardan ne kaha.

"Bhai agar wo sach me Furqaan ki beti hai toh uske pass college me padhne tk ka toh paisa hoga na... Uss Furqaan ne toh haraam ki bahot kamayi ki hai." Adil ne phir ek sawaal kiya.

"Tabhi mujhe dekhna hai Faiza Furqaan ke liye kitna zaruri hai. Agar usse pata chala uski beti hamare college me hai toh wo zarur usse wahan se le jayega." Fardan muskurata hua bola.

"Wahh bhai kya mansooba banaya hai aapne." Adil bhi muskurane laga.

"Ji Sir aapne mujhe bulaya tha?" Rumaisa Fardan se puchne lagi jo abhi wahan aayi thi.

"Haan tumhe college join karna hai." Fardan ne kaha.

"Sir aapse maine kaha tha na mujhe padhai nahi karni. Bas mere papa ka badla lene ke liye mai yahan aayi hoon." Rumaisa Fardan se boli.

"Haan jaanta hoon Rumaisa. Jitna tum apne baap ka badla lene ke liye bechain ho utna hi mai bhi apne maa baap ka badla lene ke liye bechain hoon." Fardan bola.

"Phir aap mujhe college jaane ka kyun keh rahe hain? Aisa toh hai nahi ke wo Furqaan mujhe uss college me mil jayega." Rumaisa munh banati hui boli.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now