Fardan aur Adil ab ghar me dekh rahe the kya jala hai. Fardan ka study room aur photos wala room ghar ke sabse androoni hisse me maujood tha ek secret room jaisa jis wajah se wo bach gaye the lekin poora ghar jal kar raakh ho chuka tha.
"Bhai ye kaunsa kamra hai?" Adil ne sawaal kiya.
"Iss kamre me Furqaan aur Faiza ki poori maloomat hai." Fardan wahan se saare tasveerein aur samaan ek dabbe me jama karte hue bola.
Adil bhi ab Fardan ki madad kar raha tha. Jab sab rakh liya toh dono apne main secret hideout ki taraf chal pade.
Fardan ne wahan ke sabse bade kamre me Furqaan se judi har cheez ek deewar pr lagayi. Jab uska kaam hogaya toh Faiza ki saari tasveerein le kar wo wapis ghar aagaya.
Adil bhi apne kamre ki taraf chala gaya toh Fardan bhi apne kamre me aagaya. Ayesha aur Faiza sukoon ki neend so rahe the. Fardan unhe dekh kar muskurane laga.
Raat ka aakhiri peher tha toh Fardan ne wuzu kiya aur tahajjud padhne laga.
"Ya Allah... Tere siwa bande ka khaas koi nahi hota. Sab kabhi na kabhi humein chodh jaate hain lekin ek tu hai jo hamesha saath hota hai. Maine apse kuch maangne ke liye haath nahi uthaye balke apka shukr adaa karna chahta hoon ke aap ne mujhe itna khushqismat insaan paida kiya hai. Mai jinhe chahta hoon wo sab mere pass hai. Aaj jo haadsa hota hua bacha... Ya Allah mai bahot shukr guzar hoon ke aap ne Ayesha aur Faiza ko bacha liya. Mai har waqt apka shukr manaunga mere maalik. Bas aap mujhe kabhi mere apnon se durr mat karna. Mujhe hamesha apni panah me rakhna mere rab."
Fardan kayi der tk ek hi jagah baithe Allah taala ka shukar manata raha tha. Aaj Faiza aur Ayesha ko agar wo kho deta toh khudko zindagi bhar iss baat ka zimmedaar maanta lekin Allah taala ne unhe bacha liya aur Fardan ne ab soch liya tha ke wo har dushmani khatam karke ek shareef insaan ban jayega. Wo iss mafia ki duniya se durr ho kar apna saara waqt Faiza aur Ayesha ko dega.
**************************************
"Aap nahi kar sakti aisa." Rumaisa apne aansu qaabu karti hui chilla kar boli."Bilkul kar sakti hoon." Wo bhi chillayi.
"Mai nahi karungi kisi se bhi shaadi." Rumaisa ne saaf inkaar kiya.
"Bhulo mat tumhare baba ne tumse kya wada liya tha." Uss aurat ke yaad dilane pr Rumaisa ke aansu gir pade aur wo apne aansu qaabu karti apne kamre ki taraf bhaag gayi thi.
Hamesha se aisa hi chalta aaya tha. Wo apne baap ke ek waade se bandhi thi jiska fayda wo aurat har waqt uthati hui usse apne saare kaam nikalwati lekin aaj wo aurat jo usse karwana chahti thi wo Rumaisa nahi karna chahti thi. Pehli baar aisa hua tha ke uss aurat ne kuch kaha tha jisse karte hue Rumaisa ka dil phat raha tha aur usse apne baba se kiye waade pr pachtawa ho raha tha.
Rumaisa ke paida hone ke kuch saalon baad Rumaisa ki maa ki maut hogayi thi. Uska baap apni beti ke liye har waqt pareshaan rehta tha. Usne socha shayad dusri shaadi karne se Rumaisa ko maa ka saaya mil jayega aur wo bhi khudko tanha mehsoos nahi karegi aur yahi soch Rumaisa pr bahot bhaari pad gayi.
Amjad ki shaadi Zehra se hui thi jo pehle se ek ladki ki maa thi jo Rumaisa ki umar ki thi. Uska naam Iqra tha aur wo bachpan se hi ladaku aur nakchadi qism ki ladki thi. Amjad ne socha tha Zehra ek bewah hai aur wo dono bachiyon ko ache se sambhaal legi lekin uski ye soch bahot galat thi. Zehra ek kothe pr baithne wali aurat thi aur wahin kisi mard ke kuch pal ke mazey ka nateeja Iqra thi. Zehra ko jab pata chala wo maa banne wali thi toh uske andar ki mamta jaag uthi aur wo Iqra ko duniya me laana chahti thi. Jab Iqra paida hui toh Zehra ka karobar poori tarah kharab ho chuka tha kyunki uski khoobsurati pehle jaisi nahi rahi thi. Phir usne bewah hone ka natak racha kar Amjad ko phasa liya tha. Shaadi ke baad Rumaisa usse ek pal ko bardaasht na hoti thi. Wo har waqt Rumaisa aur Iqra me farq karti. Amjad ne bhi ye baat pr kayi baar ghaur kiya lekin apna wehem samajh kar khamosh raha. Din ba din Zehra ka tashadud Rumaisa pr badhta chala gaya. Amjad ki maujoodgi Zehra Rumaisa se kuch nahi kehti lekin jab bhi wo kaam pr hota toh usse saare kaam karwati aur usse maarti. Rumaisa ne apne baap ko batane ki bahot koshish ki lekin Zehra ki maar ke darr se wo hamesha khamosh hojati.
Amjad Fardan ke baap Wajdan ke pass kaam karta tha. Wo unka secretary tha aur Fardan ki maa Maliha bhi Wajdan ke saath college ki aadhi maalkin thi. Ek din inn teeno ko college ke ek branch ke liye zameen dekhni thi aur yahi wajah se wo wahan jaane wale the.
Jaane se pehle Amjad ne Rumaisa se waada liya tha ke wo hamesha apne maa ki baat sunegi. Wo jo kahe usse manegi jab tk ke uska baap laut kar na aaye aur uski qismat aisi hui ke uska baap kabhi laut kar hi nahi aaya. Apne baap ki laash ko pakad kar wo bahot royi thi aur uss din ke baad Rumaisa ne kabhi kisi baat ke liye aansu nahi bahaye the. Wo khamoshi se Zehra ke saare zulm sehti rahi thi kyunki Amjad ne uski baat manne ka kaha tha.
Jab Rumaisa ko pata chala ke uske baap ka qatl hua tha toh wo Fardan ke pass badle ki niyyat se pahuch gayi thi. Fardan ne usse bahot samjhaya ke wo usse ek ache college me padhayega aur paise dega aur badla wo khud lega lekin Rumaisa ne uski ek baat nahi maani. Rumaisa ki zidd pr Fardan ne usse apne gang me shaamil kar liya. Fardan ne khud usse kayi saalon tk ladai karna aur tarah tarah ke hathiyar chalana seekhaya tha. Jab wo poori tarah taiyar hogayi toh usne Fardan ki ijazat se aise ladkiyon ko jama karke ek ladkiyon ki team banayi jo kisi majboori me the. Jiske ghar koi mard nahi the kamane ko ya kisi ke baap bhai uske baap ki tarah qatl hue ho aur aisi ladkiyon jo janwar jaise mardon ke haath lag kar apni izzat kho chuki ho. Wo inn sabka ek sahara ban gayi.
Rumaisa yahi sab beeti baatein yaad karti hui leti thi. Uski aankhon se aansuon ki nadiyan beh rahi thi aur wo unhe nahi rok rahi thi. Safed rangath hone ki wajah se roo roo kar chehra poora laal pad gaya tha. Wo bas apne bed pr leti baar baar ek hi lafz keh rahi thi, "Kyun papa kyun chale gaye aap mujhe inn zaalimon ke hawale karke?"
**************************************
"Beta tum mujhe apni maa ki tarah chodh kar mat jao." Furqaan rota hua apne bete ke haath choom raha tha."Tum jaante ho maine tumhare maa ke saath kitne khwaab dekhe the ke hum khush rahenge lekin uss Wajdan ki wajah se sab barbaad hogaya." Furqaan ko achanak gussa aagaya.
"Agar mai uss Wajdan ki wajah se wahan phasa nahi hota toh tumhari maa ke saath waisa na hota." Furqaan apne aansu saaf karta hua bola.
"Uss Wajdan ke toh poore khandaan ka naam'o nishaan mita kar hi dumm lunga mai." Furqaan ne kaha.
"Uth jao beta... Tumhara baap tumhare bina bahot akela hai. Tum hi toh ho mere biwi ki aakhiri nishaani. Tumhe dekh kar hi toh mai jee raha hoon warna toh mai usse jitni mohabbat karta hoon mai uske saath hi marr jaata tha." Furqaan ab apne bete ka haath mathe pr rakhe roo raha tha.
Uske laakh rone aur pukarne pr bhi uske bete ne koi harkat nahi ki. Wo kayi der tk wahin rota raha lekin Saif ke jism ne koi harkat nahi ki.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...