Faiza iss surprise se bahot khush hui thi. Zindagi me pehli baar usse itni ahmiyat mili thi lekin usse ye sab ajeeb bhi mehsoos ho raha tha kyunki usse inn sab cheezon ki aadath nahi thi.
"Kya baat hai Faiza... Pareshaan lag rahi ho?" Rumaisa ne sawaal kiya.
"Nahi aisa kuch nahi hai." Faiza muskurate hue boli.
Faiza se wo gown sambhal nahi raha tha. Usse itna sajne sanwarne ki aadath nahi thi. Wo baithne ke liye sofe ke taraf gayi toh uska phone bajne laga. Fardan ka naam dekh kar wo muskurane lagi jo usne "♡Shehri♡" ke naam se save kiya tha.
*Kahan hai aap?* Faiza ne sawaal kiya.
*Apne kamre me aao.* Fardan ne jawab diya.
Sab log baaton me masroof the aur kisi ka dhyaan uss pr nahi tha. Faiza apne kamre me chali gayi jahan poori tarah andhera tha.
Wo jaanti thi Fardan phir usse kuch surprise dene wala hai toh khamoshi se wahin thairi rahi. Peeche se usse baahon me bharte Fardan ne dheere se uske kaan me sargoshi ki, "Happy Birthday My Love."
Kamre ki saari lights on hui aur kamra bahot hi khoobsurat tarah se saja hua tha.
"Shukriya lekin maine kabhi birthday manaya nahi isliye mujhe ajeeb lag raha hai." Faiza saari sajawat dekhti hui boli.
"Koi baat nahi ab se mana lena." Fardan muskurata hua ab uske saamne aaya. Fardan ne aaj suit pehna hua tha jisme wo bahot dashing lag raha tha. Usse dekh kar Faiza ko laga wo uske saamne phikki pad gayi. Fardan agar chehra bhi dho leta wo Faiza se kayi zyada khoobsurat lagne lagta aur yahi wajah thi ke Faiza har waqt Fardan aur Ayesha ki khoobsurati ki baatein Rumaisa se karti rehti.
Fardan ne uske gale me ek ruby ka haar pehnaya aur usse aaine me dikhane laga. Laal gown pr laal ruby ka haar bahot ache se jam gaya tha. Wo khud ko dekh kar muskurane lagi.
"Ab nicche chalein?" Fardan muskura kar puchne laga.
Faiza ne haan me sar hilaya toh dono nicche chale gaye.
**************************************
Rumaisa ko yahan Zehra ne bheja toh tha lekin usse ye jatane ke baad ke wo kal kisi ke nikah me aa jayegi isliye koi aisi harkat na kare jisse uski shaadi toote. Rumaisa apne waade aur Adil ke iqraar me phas chuki thi. Wo bas yahi soch rahi thi ke usse apne baap se kiya waada nibhana hai ya Adil ko apni zindagi me shaamil karna hai. Adil baar baar usse hi dekh raha tha lekin Rumaisa ne usse ek pal ko bhi nahi dekha tha aur yahi wajah thi ke Adil ka dil toot gaya tha lekin wo sabr karna jaanta tha. Wo chahta tha Rumaisa usse ab aage se apnaye toh hi wo uske pass jaaye. Rumaisa ka yun usse nazar andaaz karna usse takleef toh de raha tha lekin wo kisi bhi qism ki zabardasti Rumaisa se karke usse takleef nahi dena chahta tha isliye usne bhi Rumaisa se doori banaye rakhi.Fardan aur Faiza ke nicche aate hi sab wahan jama hogaye. Sab ne Faiza ko Salgirah ki mubarakbaad di aur tohfe dene lage phir sab ne mil kar cake cut hone ke baad dinner kiya aur sab apne ghar chale gaye. Faiza ke dadiyaal walon ko Fardan ne jalbaazi me bahar desh se yahan bulaya tha isliye unke rehne ka intezaam kuch tha nahi toh wo log yahin rukk gaye. Sab thakne ke baad apne kamron me chale gaye.
**************************************
"Beta poora 1 din hogaya. Tum kyun nahi uth rahe? Meri baat kyun nahi maante tum? Uth jao na!" Furqaan Saif ke aage gidgidate hue bola.Saif ki halath me ab bhi kuch sudhaar nahi aaya tha aur doctor ka kehna tha ke wo ab shayad coma me chala jayega. Phir bhi usse kuch din ke liye nazar me rakha jaa raha tha. Furqaan har taraf se bade se bade doctor ki appointment lene ki koshish kar raha tha lekin sabka kehna tha uske coma me jaane ke chances zyada hai. Dimaag pr zyada chot lagne ki wajah se Saif ko bahot masla ho raha tha. Agar wo surgery kar bhi dete toh Saif ke bachne ke chances sirf 50% the lekin 90% chance tha ke surgery ke baad wo sab kuch bhool jayega. Furqaan ko samajh nahi aa raha tha wo kya kare. Wo bas kisi karishme ke intezaar me baitha apne bete ko baar baar uthne ka keh raha tha.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...