"Jab maa chali gayi toh mujhe mama unke ghar le gaye. Mami chahti thi mujhe kisi anaad aashram me chodh diya jaaye lekin mama se maa ne marne se pehle waada liya tha ke wo zindagi bhar mera khayal rakhenge aur mama apni ekloti behn se bahot mohabbat karte the isliye unhone mujhe mami ke laakh kehne pr bhi apne ghar me hi panah di. Mami iss baat pr bahot chidhti thi aur mujhse baar baar kehti ke mai unn pr bojh ban gayi hu. Mai apne maa ke maut ki zimmedaar hoon aur ye bhi ke meri wajah se baba humein chodh kar chale gaye." Faiza ki awaaz ab atakne lagi. Wo rone lagi thi. Usse apna beeta hua kal yaad karke bahot takleef ho rahi thi. Fardan ne toh usse uss andheri duniya se nikaal kar ek nayi zindagi di thi lekin Faiza ke dil me abhi bhi ek kone me wo andhera tha jisme uske baap ka chodh jaana.. Uske maa ka marr jaana... Aur uske mami ka uss pr bahot tashaddud karna usse baar baar pareshaan kar raha tha. Wo waqt ba waqt inn andheron me chali jaati aur yahi wajah thi ke uski tabiyat baar baar bigad jaati. Bahot kam umr me usne bahot kuch seh liya tha aur ye baatein ab tk bhi uska peecha nahi chodhti thi. Wo Ayesha aur Fardan ke saath bahot khush thi lekin kabhi kabhi usse ye darr satata ke kabhi usse uske baap ka saamna karna pad gaya toh ya mami zabardasti usse phir wapis ussi jahannum me le gayi toh. Yahi sab wajoohat ki wajah se baar baar uska bp low hota aur wo panic attack ka shikaar hoti.
Fardan ne usse jaldi se gale laga liya aur usse khamosh hone ka keh raha tha lekin wo roye jaa rahi thi aur Fardan ko samajh nahi aa raha tha wo kya kare. Fardan ko Faiza ki baaton se itna samajh aagaya tha ke Faiza ab usse ghul mil gayi thi lekin ab tk usse unn logon pr haq jatana nahi aaya tha. Wo Fardan ko ab tk apna nahi maan rahi thi aur yahi wajah thi ke unka rishta aage nahi badh paa raha tha.
Fardan uth kar baith gaya aur usse bhi apne pass baitha kar uske chehre ko apne haathon me thamte hue puchne laga, "Tum mujh pr yaqeen karti ho?"
"Haan karti hoon." Faiza apne aansu saaf karti hui boli.
"Phir ab saari baatein bhul kar sirf ye yaad rakho mai tumhe kabhi nahi chodhunga aur tumhe kabhi wo din nahi dekhne padenge." Fardan jo keh raha tha wo sach tha aur Faiza iss baat ki wajah se mutmain hui thi lekin usse ab bhi apni maa ki yaad sata rahi thi. Wo nahi jaanti thi kyun lekin usse apne har birthday pr apni maa ki bahot kami mehsoos hoti. Wo bahot roya karti thi. Mamu usse kuch meetha laa kar dete lekin kabhi uska mann khush nahi hota tha.
Fardan ab uske aansu saaf karke uska chehra sehlata hua bola, "Tum bilkul parwah mat karna. Mai kabhi nahi chodhunga tumhe kyunki mai bhi tumhare bina reh nahi sakta."
Usne muskura kar Fardan ko galle laga liya. Fardan muskurata hua uske baal sehlane laga. Faiza ab bahot sukoon me aagayi thi. Wo sab baatein jo uske mann me kayi saalon se thi wo ab Fardan se kehne pr uska mann halka hogaya tha. Ab usse bahot khushi mehsoos ho rahi thi ke uske pass koi hai jo usse khamoshi se sunega. Fardan ne bas 1 jumla keh kar usse jo sukoon pahonchaya tha wo Faiza ke liye bahot tha. Faiza khush thi ke Fardan uski bahot fikr karta tha aur uske liye har waqt uske pass maujood rehta.
Dono ne ek dusre se apne raaz keh kar aapas me ek aitebaar ka rishta bana liya tha. Faiza ko Fardan hamesha se pasand tha lekin aaj pehli baar usse laga ke wo uske bina rehna nahi chahti. Wo apne shohar ke saath saari zindagi guzarna chahti thi lekin wo iss baat se anjaan thi ke Fardan ne ab bhi usse sab kuch nahi bataya tha.
Wo uske baal sehlata leta hua tha aur soch raha tha Faiza se kaise maafi maange. Faiza ab gehri neend me jaa chuki thi. Wo uth kar wazu karke aaya aur phir namaaz padh kar Allah taala se apne kiye ki maafi maangne laga. Wo nahi chahta tha Faiza usse kabhi chodh kar jaaye. Wo saari raat maafi maangta raha ke usne ek masoom ko uss galti ka qusoorvar thehraya tha jo usne ki nahi thi.
**************************************
*Sir jaldi aajaiyye. Shamsher sir ka operation shuru hone wala hai.* Kareem ne kaha.*Tumse kitni dafa kaha hai agar kahin bahar ho toh usse uske asli naam se na pukara karo.* Furqaan ne usse daant diya.
*Sorry sir. Saif sir ki surgery shuru hone ki saari taiyyari wo log kar chuke hain. Unhe OT me le kar jaa rahe hain.* Kareem ne darr kar kaha toh Furqaan ne call kaat di.
Jab Shamsher 11 baras ka tha toh Furqaan ke kuch business rivals ne usse kidnap kar liya tha aur yahi wajah thi ke Furqaan ko har waqt apne bete ki parwah rehti thi. Unhone ek tender apne naam karwane ke liye Shamsher ka sahara liya tha jis wajah se Furqaan ka 1300 crores ka nuqsaan hua tha. Furqaan ne apne bete ki hifazat ke liye apne bete ka naam badal diya tha. Furqaan ne har jagah Shamsher Furqaan Ahmed Sikander se uska naam Saif Sultaan karwa diya taake koi kabhi uske picche na aaye. Usne apne bete ki salamati ke liye usse dusre ghar me rakha tha jahan wo bahot kam jaata tha taake kisi ki nazar me na aaye. Furqaan ne duniya ki saari asaesh laa kar Shamsher ke qadmon me daal di thi lekin wo ye samajh nahi paaya tha ke usse kisi asaesh ki nahi balke pyaar ki zarurat thi. Wo hamesha se bas ek hi cheez ke liye tarsa tha aur wo tha uske baap ka pyaar. Furqaan Shamsher se kabhi kabhi milne aajaya karta tha lekin usse zyada baat na karta.
Shamsher ne apni shuru ki padhai toh ghar se mukammal ki thi lekin wo photography me bahot dilchaspi rakhta tha isliye duniya ghoom kar alag alag jagah ke tasveerat lena chahta tha. Usse logon se zyada qudrat se mohabbat thi aur wo bas Furqaan se bahot behes karne ke baad photography karne nikla tha lekin Shamsher ka ek haadsa hua aur usse thodi si chot aane pr Furqaan ne usse photography se durr kar diya aur wakalat padhane ke liye college me admission karwa diya. Shamsher ne na chahte hue bhi wakalat ki aur jab wo wakeel ban gaya toh Furqaan ne usse apni mafia ki duniya se waaqif karwaya. Usne Shamsher ka naam Sher bata kar usse apni gang ka ek hissa bana liya tha. Furqaan ke bahot se kaale dhande the lekin Shamsher unn me se bas chand baaton ko jaanta tha. Shamsher ka kaam tha agar koi Furqaan ka aadmi inn kaamon ki wajah se phas jaaye toh unhe chuda laana. Shuru shuru me toh Shamsher saare kaam apne baap se 1000 sawaal karke karta tha. Wo jaanta tha uska baap galat kaamo me phasa tha isliye wo usse rokne ki koshish karta tha lekin phir jab usse pata chala ke kisi wajah se Fardan ka khandaan uski maa ke maut ke zimmedaar hai toh usne badle ki aag me bina soche samjhe har kaam shuru kar diye. Fardan se badla hi uski zindagi ka aakhiri aur wahed maqsad bangaya. Wo har waqt Fardan se badle lene ke mansoobey banata. Furqaan ko jab bhi usse koi ghair qanooni kaam karwana hota wo usse maa ke badle ka hissa bata kar karwata rehta. Jab Furqaan ne Shamsher ko Ayesha ko phasane ka mansooba bataya toh Shamsher ko wo pasand nahi aaya tha lekin maa ke badle ke liye wo maan gaya. Uske mamu ne hamesha uske baap ke kaamon me madad ki thi lekin wo dekhta aaya tha ke jab bhi uske maa ke badle ki baat hoti uska mamu picche hojata. Shamsher ko apne mamu ki ye baat bahot nagawaar guzarti lekin wo khamosh rehta.
Furqaan jab hospital pahoncha toh Shamsher ka operation shuru ho chuka tha. Wo OT ke bahar khada apne bete ki salamati ki dua kar raha tha.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...