Fardan Faiza ko saare ghar me dhund chuka tha lekin wo kahin nahi thi. Fardan ko samajh nahi aa raha tha wo kare toh kare kya. Usne sabse puch liya lekin Faiza kahin nahi thi. Wo baar baar na jane kis kis ko phone kar raha tha ke Faiza ka pata maloom hojaye. Usne Hadi se bhi sawaal kiye lekin Hadi ne Faiza ke baare me kuch nahi bataya. Fardan ne Faiza ke mamu ke ghar bhi phone kiya tha lekin wo wahan bhi nahi thi.
Ghar me sab log Faiza ke liye pareshaan the. Faiza najaane kahan chali gayi thi. Usse toh sahi se shehar ke raaste bhi maloom nahi the aur aaj achanak wo gayab ho chuki thi. Fardan ko samajh nahi aa raha tha wo usse kahan dhunde. Jo darr usse saalon se tha wo aaj sach hogaya tha. Usse sab maloom hote hi wo un sab ko chodh kar chali gayi thi.
Adil baar baar Rumaisa ko call kar raha tha lekin Rumaisa phone ka jawab nahi de rahi thi. Usne Sofiya se maloom kiya toh usse pata chala tha Rumaisa aaj kaam pr nahi aayi thi. Adil ko ab Faiza ke saath saath Rumaisa ki bhi fikr hone lagi thi aur mann me kahin shakk bhi aaya tha ke Faiza kahin Rumaisa ke saath hi toh nahi.
Adil bina kisi se kuch kahe Rumaisa ke ghar ki taraf jaane ke liye nikal gaya.
**************************************
"Congratulations Sir! Apke bete ki surgery successful rahi." Doctor ne Furqaan ko mubarakbaad di.Furqaan bahot khush hua aur puchne laga, "Mai Saif se kab mil sakta hoon?"
"Ye koi mamuli surgery nahi thi. Brain surgery thi isliye inhe hosh aane me kuch waqt lag sakta hai. Shayad 2 din bhi lag jaaye. Aap dua karein ke inhe jaldi hosh aajaye. Phir aap unse mil sakte hain." Doctor ne tasalli wale andaaz me kaha toh Furqaan muskurane laga.
Aaj Furqaan bahot khush tha ke Shamsher ki surgery ache se hogayi thi. Zyada koi masle nahi aaye the aur wo kuch dino me theek ho sakta tha. Shamsher bilkul apni maa pr gaya tha. Uska chehra, nain naqsh aur uski soch sab uski maa jaisi thi aur yahi wajah thi ke Furqaan usse bepanah mohabbat karta tha aur apne bete ki jald se jald shifa ke liye usne bahot se paise khairaat kiye the.
**************************************
*Sab theek toh hai na Faiza wahan?* Hadi ne sawaal kiya.*Ji bhai. Ruqayya baji bahot achi hain. Wo mera bahot khayal rakh rahi hain. Mai aayi hoon tabse wo mere pass hi rehti hai.* Faiza ne kaha toh Hadi ko sun kar acha laga.
*Tumhari diary mili hai Fardan ko. Bahot pareshaan hai yahan sab log. Tumhe dhund rahe hain.* Hadi ne socha usse bata de.
*Lekin bhai mai wahan wapis nahi jaana chahti. Kuch din me mai yahan koi naukri dhund lungi phir sab theek ho jayega.* Faiza nahi jaanti thi wo Hadi ko samjha rahi thi ya khudko tasalli de rahi thi.
*Theek hai Faiza. Kuch bhi madad chahiye mujhe call kar lena.* Hadi ne kaha aur phir phone band kar diya.
Ruqayya Sadia ki behen thi jiski shaadi abhi nahi hui thi. Wo Faiza se umar me kuch badi thi. Bachpan me Sadia aur Ruqayya ke maa baap ki maut ho gayi thi isliye Ruqayya ki padhai aur rehne ka saara intezaam Hadi ne kiya tha. Ruqayya bhi Faiza ke chacha ki beti thi aur yahi wajah thi ke wo bahot jaldi ghul mil gayi thi. Dono dusre shehar ke kisi hostel me reh rahe the jo Hadi ne liya tha.
**************************************
Adil jab tezi se car chalata Rumaisa ke ghar aaya toh wahan ka nazara dekh kar hairath me pad gaya.Zohar ka waqt hogaya tha. Ghar ke bahar 4 gaadiyan maujood thi. Adil ne dekha ghar ka darwaza khulla tha toh wo andar chala aaya. Hall me hi Zehra kuch logon ke saath baithi thi.
"Toh aap log paise laaye hain?" Zehra ne sawaal kiya.
"Haan pr humein pehle ladki ko saamne se dekhna hai." Unlogon me ek aadmi jo kaafi umar ka shervani pehna hua tha wo bola.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...