3 mahine Baad:
Fardan Faiza ko har jagah dhund dhund kar mayoos hogaya tha. Wo usse kahin nahi mil rahi thi. Wo har waqt office me baitha Faiza ki tasveerein dekhta rehta. Kabhi kabhi uski tasveeron se pagalon jaise baat karta rehta. Usne bahot se paise bhi khairaath kiye taake wo jahan kahin bhi ho bas salamat rahe. Uski halath bhi bahot kharab hoti jaa rahi thi. Dadhi badh chuki thi, rangat kaali pad gayi thi aur toh aur wo bahot dubla hogaya tha. Usse khane peene aur sone ka bhi hosh nahi rehta tha lekin ab bhi wo har waqt ki namaaz padhta tha. Usse bachpan se hi uski maa ne aadat dalwayi thi chahe kitna bhi kuch bura hojaye namaaz kabhi nahi chodhna aur yahi baat pr wo aaj tk amal karta aaya tha. Uski maa usse kehti thi har gham aur dard ki dawa sirf aur sirf Allah taala ke pass hai aur isliye namaaz ke zariye Allah se hamesha rishta banaye rakhna. Wo roo roo kar dua'ein karta ke Faiza wapis aajaye. 3 mahine hone ke baad bhi Fardan ko Faiza ke wapis aane ki umeed thi. Uska pagalpan Faiza ke liye jis hadd tk tha wo koi andaza bhi nhi laga sakta tha. Usne 5 saal jaise guzaare the usse wahi pal yaad aate the. Jab usse Faiza se mohabbat hui thi aur wo sharmindagi ki wajah se uske pass jaane se darta tha tab wo uske liye pal pal marta tha. Aaj jab Faiza ko sab pata chal gaya toh usse yaqeen hogaya tha wo ab uske pass wapis kabhi nahi aayegi lekin wo umeed lagaye hue tha. Wo har waqt najaane kin khayalon me rehta. Ghar wale uske liye pareshaan na ho isliye usne khudko kaam me mashgool kar liya tha ya shayad masroof rehne ka bas natak karta rehta tha. Wo din raat office me baithe najaane kya files padhta rehta ya files me Faiza ki tasveer rakhe usse dekhta rehta.
Ayesha usse zabardasti khana khilane ki koshish karti toh wo kabhi kabhi kha leta lekin dusron ki toh wo koi baat nahi maanta. Apna ghar usne theek karwa liya tha aur yahi wajah thi ke wo khali waqt me yahan aa kar baithe Faiza ki tasveerein dekhta rehta.
Adil aur Rumaisa me ab achi dosti ho chuki thi aur wo dono miya biwi kam doston jaise zyada rehte. Adil usse roz phool deta aur uski taareefien karta jis pr Rumaisa sharma jaati. Rumaisa ko jab maloom hua Faiza ghar chodh kar chali gayi toh usne bhi usse dhundne ki bahot koshish ki lekin har baar nakaam rahi.
Fardan ne Faiza ke kehne pr apne sab dushmano ko maaf kar diya tha aur issi wajah se usne mafia ke saare aadmiyon ko kuch na kuch dusre kaamo pr laga diya tha. Office ka zyadatar kaam Adil aur Aqeel hi sambhaalte kyunki Fardan colleges ka kaam dekh raha tha. Ahmed ne Fardan ka saath nahi chodha tha wo har waqt saaye ki tarah uske saath rehta tha. Jab bhi Fardan ko koi bhi kaam hota wo uske liye kar deta.
Rumaisa apni padhayi ke saath saath apna kaam bhi karti. Fardan ne jab saare kaam band kar diye toh Rumaisa ne saari ladkiyon ke liye ek aisa school khol diya jisme Rumaisa apne saathiyon ke saath ladkiyon ko ladna seekhati thi.
Faiza ke rishtedaron se Fardan ki ab baat nahi thi. Wo log sab apni duniya me masroof hogaye the. Fardan ko toh apne ghar walon ka bhi kabhi khayal nahi hota tha. Uska dimaag sirf Faiza ko wapis dhundne me tha kyunki wo uske bina jeena nahi chahta tha. Faiza uske liye aise hogayi thi jaise ab uske alawa duniya me koi aur hai hi nahi.
**************************************
"Tumse kitni baar kaha hai Saif? Ghar me raha karo. Tum abhi theek nahi hue ho." Furqaan ne usse daanta.Bhale hi Saif ki yaadasht chali gayi thi lekin usse photography ab bhi pasand thi. Jabse wo theek hua tha khudki li hui tasveerein dekh kar naqal karne ke liye waisi hi tasveerein lene ki koshish karta lekin utni achi tasveer nahi le paata. Wo tasveerein lene ke liye bina kisi ko bataye jungle me chala jaata aur roz apne baap se daant khata.
Furqaan bahot darr gaya tha ke uske bete ko kahin kuch phir se na hojaye isliye wo har waqt uske saath rehne laga tha. Furqaan ko ab bhi lagta tha ke Saif ka accident Fardan ne karwaya hai isliye wo Saif ko bahot baar uske accident ki baat yaad dilane ki koshish kar chuka tha lekin Saif ko kuch yaad nahi tha. Wo dheere dheere bahot cheezein yaad kar chuka tha lekin sab uske dimaag me dhundla sa tha.
"Dad aap itna pareshaan kyun ho rahe ho? Mujhe kaunsa koi maar dega." Saif ne mazak me kaha tha lekin Furqaan ke dimaag me bahot kuch chal raha tha.
"Tum nahi jaante beta hamare bahot se dushman hai." Furqaan ne kaha.
"Kaisa dushman?" Saif ne sawaal kiya.
"Tumse kaha tha na tumhari maa iss duniya me nahi. Unlogon ne tumhare maa ka qatl kiya hai aur wo ab tumhare picche pade hain. Unhone hi tumhara accident karwaya hai beta." Saif ki halath kaafi sudhar chuki thi isliye Furqaan ne usse sab bata diya.
"Lekin wo kyun humein maarna chahte hain?" Saif ne sawaal kiya.
"Nahi jaanta beta." Furqaan ne jawab diya.
"Kaun hai wo log? Aap kyun police me complaint nahi karte unke khilaaf?" Saif ne phir sawaal kiya.
"Kyunki wo log bahot paise wale hain. Saare paisewale log hamesha politics ko apne jeb me rakhte hain. Police unka kuch nahi bigaad sakti beta." Furqaan usse samjhane laga.
"Toh dad mai ek wakeel hu na. Mai hi unke against court me case ladunga. Aap bas mujhe saboot dijiye." Saif ne kaha.
"Nahi beta ye sab itna asaan nahi hai." Furqaan mayoosi se bola.
"Theek hai dad." Saif khamoshi se wahan se chala gaya.
*************************************
Ayesha ne kayi baar Saif se baat karne ki koshish ki thi lekin uska phone har baar band jaata. Ek baar kisi ne uthaya tha lekin usne Saif ke bemaar hone ka keh kar phone kaat diya tha. Wo apne bhabi ke gham ke saath saath Saif ke liye bhi pareshaan rehti thi. Agar Fardan theek halath me hota toh Saif usse pal me miljata lekin jab se Fardan ki halath kharab hui thi Ayesha ko samajh nahi aa raha tha wo kya kare.'Ocean Blue Eyes
Looking In Mine
I Feel Like I Might
Sink And Drown
And Die
You're So Gorgeous
I Can't Say Anything To Your Face
(To Your Face)Cause look at your face
(Look at your face, gorgeous)And I'm so furious
At you for making me feel this way (Feel this way)
But what can I say?
You're gorgeous.'
Ayesha ye gaana sunti hui dohra rahi thi jab Saif ki neeli aankhein uske mann me aayi. Wo usse yaad karti apne bed pr baithi thi tabhi uska phone bajne laga.
Gaana rukne ki wajah se usne phone ki taraf dekha aur phone utha liya. Kisi ke messages ke notifications the. Wo bahot hairath aur khushi se phone dekhne lagi.
**************************************
"Kareem Uncle mujhe sab kuch janna hai dad ke dushmano ke baare. Wo kaun hai aur unlogon ne kya kiya." Saif kamre me baithe Kareem se baat kar raha tha.Furqaan kuch kaam ke silsile me ghar se bahar gaya hua tha toh Saif ne mauqa dhund kar Kareem ko bulaya.
"Apke dad ka sabse bada dushman Fardan Shehriyaar hai. Uske baap Wajdan Shehriyaar ki wajah se apki maa ki maut hui thi. Mai nahi jaanta usne kiya kya tha lekin ye ladai bahot saalon se chalti aa rahi thi. Usne apke dad pr bahot hamle karwaye." Kareem ne sab sunaya.
"Kahan milega ye Fardan Shehriyaar? Mujhe iske baare me sab janna hai." Saif kuch sochta hua bola.
"Wo apne office me hi hota hai. Mai apko shaam tk uske baare me sab kuch laa kar dedunga." Kareem keh kar wahan se chala gaya.
**************************************
Our book will be completed soon. I would love to get feedback on my first book, so I can improve my writing for the next one.
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...