Furqaan kuch files sign karta hua apne office me baitha tha. Uska pen chalna band hogaya toh wo dusra pen dhundne ke liye apne desks dekhne laga. Uski nazar Saif ke phone pr padi jo usne switch off karke rakh diya tha. Usse yaad aaya Saif ki koi mashuqa thi jiske baare Saif ko kuch yaad nahi aaya.
Usne phone switch on kiya toh dekha ussi number se bahot si calls aur messages aaye hue the. Usne messages khole.
*Tum theek toh ho na?*
*Saif kya hua hai tumhe?*
*Tum jawab kyun nahi de rahe?*
*Mai maafi chahti hoon. Maine tumhara pyaar nahi thukraya. Mai bas chahti hoon mere bhai ki razamandi se hamari shaadi ho.*
*Tum chahte the na mujhse nikah karna. Mai taiyyar hoon nikah ke liye.*
*Bas ek baar jawab do Saif. Maine bhai se bhi baat karli hai. Wo shaadi ke liye maan gaye hain.*
*Please Saif mujhse ek baar baat karlo.*
*Mai phir tumhe ignore nahi karungi. Tum mujhe jawab do na.*
Aise hi bahot se messages the jinhe dekh kar Furqaan ko bahot hairath hui. Wo nahi jaanta tha uska beta kisi se utni mohabbat karta hai ke usse nikah ki baat kar chuka tha. Ladki ne jis tarah ke messages bheje the usse maloom padta tha wo bhi usse mohabbat karti thi.
"Zafar ye number ki saari details chahiye mujhe." Furqaan ne kaha.
"Sir 15 minutes me apke table pr hongi." Zafar jo uske liye kaam karta tha usne kaha aur wahan se chala gaya.
*Tum mujhse waqai nikah karna chahti ho?*
*Maine itne dino baad jawab diya hai aaj tab bhi tumhe mujhse nikah karna hai?*
Furqaan ne messages bheje kyunki apne bete ko uske baare me kuch bolne se pehle wo uss ladki ki wafadari dekhna aur mohabbat ko parakhna chahta tha.
*Haan mujhe ab bhi tumse nikah karna hai.*
Uske messages bhejte hi saamne se pal me hi jawab aagaya. Wo hairath se message dekhne laga. Usse nahi maloom tha aj ke zamane me bhi aisi ladkiyaan hain jo sirf ek aadmi ki ho kar reh jaati hain. Usne kuch jawab dene se pehle Zafar ke aane ka intezaar karna behtar samjha.
**************************************
"Bhai aakhir ye kab tk chalega? Aap ka yunh roz ghar me bhabi ke tasveerein dekhte rehne se apki zindagi toh sahi se nahi kategi na." Adil apne bhai ki bezaari wali zindagi dekh kar bola.
"Tumhe Faiza mili?" Fardan ne aage se sawal kiya jo haath me Faiza ki tasveer liye baitha tha.
"In Sha Allah wo mil jayengi lekin aap toh apne aap ko yunh barbaad na karo." Adil ko kaafi taras aaya tha apne bhai pr.
"Jab Faiza mil jaye toh aana mere pass." Fardan apni baat keh kar utha aur apne kamre ki taraf jaane laga.
"Iss tarah bhabi ki yaadon me pagal hone se wo apko nahi milne wali. Galti bhi toh humne ki thi na isliye wo chodh kar chali gayi." Adil ne jo kaha Fardan ke dil pr teer ki tarah laga.
"Galti ki hai tabhi toh khudko saza dena chahta hoon." Fardan zabardasti muskurate hue bola.
"Aap khudko saza denge toh wo aajayegi wapis?" Adil ne sawaal kiya.
"Nahi jaanta lekin mai kya karu Adil. Mera uske bina kahin dil nahi lagta. Wo mere liye meri saans jaisi thi. Mai usse mohabbat karta hoon. Mujhe shuru me lagta tha mai usse mohabbat ke daawe bas uss par taras khake kar raha hoon kyunki usse galat samajh kar maine usse takleef dene ki koshish ki thi lekin aisa nahi tha. Mujhe toh usse waqai mohabbat hui thi. Ek mohabbat jo khudgarzi nahi thi. Paakeza mohabbat jisme mai usse durr se dekh kar khush tha lekin meri mohabbat ab ishq me badal gayi hai. Ishq hogaya hai mujhe usse. Junooni Ishq... Ek aisa Ishq Junoon jisme uske bina mera rehna namumkin hai. Wo hai toh mai hoon. Wo nahi toh mai kuch nahi. Mujhe uske bina jeene ka dil nahi karta Adil." Fardan ki aankhon me aansu the. Wo apne dil ki baat kayi mahino baad Adil se keh raha tha jo wo khamoshi se sun raha tha.
"Please Adil usse kahin se bhi le aao na. Mai nahi reh sakta uske bina. Mujhe nahi jeena Faiza ke bina. Uske kehne pr maine apne maa baap ke qaatil ko bhi maaf kardiya toh kya wo meri ek galti maaf karke mere pass nahi aa sakti? Please Adil kaho na usse ke wo mujhe meri galti ki saza mere pass reh kar de. Mai nahi reh sakta uske bina. Mai uske liye sab kar sakta hoon lekin uske bina nahi reh sakta. Adil please Faiza ko le aao na kahin se. Mai bahot thak gaya hoon. Mai kayi mahino se theek se soya nahi hoon. Mujhe uske bina neend nahi aati. Har pal mere mann me usse le kar fikr hoti hai. Wo najaane kahan hogi kaise hogi. Mai usse bahot yaad kar raha hoon. Kya usse meri kabhi yaad nahi aati hogi? Adil kaho na usse mai usse maafi paane ke liye kuch bhi saza lelunga lekin wo mujhe chodh kar na jaaye. Mai usse kahan dhundu? Wo mera sab kuch hai ye jaante hue bhi wo kyun chali gayi? Usne mujhe samjhane ka ek mauqa bhi nahi diya. Mai kya karu Adil... Usse kahan dhundu." Fardan ab zor zor se chillata hua roo kar usse puch raha tha lekin Adil ko samajh nahi aa raha tha wo usse kaise tasalli de.
Adil mayoosi se apne bhai ko galle lagaye usse shant karne ki koshish kar raha tha lekin Fardan bas ek hi baat dohra raha tha ke wo Faiza ko kahin se wapis le aaye. Adil ne Rumaisa ke saath mil kar usse dhundne ki bahot koshish ki thi. Unhone aas pass ke saare shaher me bhi uska pata maloom karne ki koshish ki thi lekin har baar wo nakaami ka shikaar hue.
**************************************
"Sir uss ladki ki saari details iss file me hain. Aap ko jaan kar hairaani hogi ke wo ladki hai kaun." Zafar kuch hi der me sab maloom karke aagaya tha aur wo file Furqaan ki taraf badhata hua bola.Furqaan ne bina kuch kahe file khol kar dekha. Uske hosh udd gaye.
"Ayesha Shehriyaar?" Furqaan gusse se chillaya.
"Ji sir ye sim Fardan Shehriyaar ke naam pr hai lekin ye phone uski behn Ayesha Shehriyaar istemaal karti hai." Zafar ne jawab diya.
"Tum jaa sakte ho." Furqaan ne Zafar se kaha. Wo chala gaya toh Furqaan ne gusse se file zameen pr phek di.
"Toh tum ab mere bete ko apni behn ke pyaar ke jaal me phasa kar usse maarna chahte ho Fardan." Furqaan khud se bola.
"Maine apne bete se kaha tha wo tumhari behn ko phasaye lekin yahan toh sab ultha mamla lag raha hai." Furqaan kuch soch kar bola.
*Lekin mujhe tum pasand nahi ho aur mai tumse nikah nahi karna chahta.* Furqaan ne Ayesha ko message bheja.
*Kyun Saif? Tum toh mohabbat karte the na mujhse?* Ayesha ne sawaal kiya.
*Mai mohabbat karta tha aur tumhara kya? Tum karti ho mohabbat?* Furqaan ne sawaal kiya.
*Haan karti hoon.* Ayesha ne kuch der soch kar apni mohabbat ka izhaar kar diya lekin wo kahan jaanti thi wo Saif samajh kar jisse apni mohabbat ka izhaar kar rahi thi wo toh Saif tha hi nahi.
*Jhoot keh rahi ho. Tum toh mujhe marwana chahti ho na.* Furqaan ne gusse me message bheja.
*Kya matlab?* Ayesha ne sawaal kiya. Usse kuch samajh nahi aaya.
*Bahot masoom banti ho. Bilkul apne bhai jaisi.* Furqaan gusse ki aag me jalta hua likh raha tha.
*Saif tum kya keh rahe ho?* Ayesha ko Saif ki koi baat nahi samajh aa rahi thi.
*Mera aaj se tumse koi rishta nahi. Doobara mujhe phone karne ki koshish ki toh mujhse bura koi nahi hoga.* Furqaan ne message bheja.
*Tum mujhse nikah nahi karoge? Kya tumhari mohabbat ke saare daawe jhoote the? * Ayesha ab bhi uski baaton me uljhi usse sawaal kar rahi thi.
*Haan.* Furqaan ne likha.
*Aisa mat kaho Saif. Mai marr jaungi tumhare baghair.* Ayesha apne aansuon pr qaabu paane ki koshish karti hui likhne lagi.
*Toh marr jao.* Furqaan ne likha aur gusse se phone deewar pr de maara jisse phone ke tukde hogaye.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...