"Mamu mujhe kuch zaruri baat karni hai aapse!" Saif haanpta hua apne mamu ke pass pahoncha.
"Kya baat hai beta? Araam se baith kar batao." Irfan jo uska mamu tha usne kaha toh Saif wahan baith gaya.
"Kya mere dad ek qaatil hain?" Saif ke sawaal pr Irfan bhi hairath se usse dekhne laga.
"Ye tumse kisne keh diya?" Irfan ne sawaal kiya.
"Aapko mujhse zara si bhi mohabbat hai toh mere sawaal ka sach sach jawab dijiye." Saif bahot sanjeeda tha.
"Nahi beta aisa kuch nahi hai." Irfan muskurate hue bola.
"Agar aap nahi batana chahte toh mai mere tareeqe se maloom karunga aur phir hamare koi rishta baaqi nahi rahega." Saif dhamki bhare andaaz me bola.
"Haa beta tumhare baap ne kisi ka qatl kiya tha aur iss gunah me mai bhi shaamil tha." Irfan gehri saans le kar bola.
Saif khamoshi se unhe sunne laga.
"Hum college ke pehle din mile the. Tum toh jaante ho hum hamesha se yahin rehte the. Tumhare dad yahan padhne ke liye aaye the. Hamari kaafi gehri dosti hui thi. Hum dono har waqt saath rehte. Hamare aksar khayalat bhi bahot milte jhulte the isliye hamari aapas me kaafi banti thi. Mere gharwale bhi bahot azaad khayal log the. Mai usse aksar apne ghar le aata taake hum saath me khele aur padhai kare. Ek roz uski mulaqat tumhari maa yani meri behn se hui. Usse pehli nazar me hi tumhari maa se mohabbat hogayi. Usne ye baat mujhe kayi dino baad batayi toh maine uska saath diya kyunki mai chahta tha meri behn mere dost se hi shaadi karke mere aankhon ke saamne rahe. Mai uspe kaafi bharosa karne laga tha. Tumhari maa ko ek din usne propose kiya toh wo maan gayi. Dono me kaafi gehri dosti hui aur wo mohabbat karne lag gaye the ek dusre se. Furqaan ko meri behn se Ishq Junoon hua tha. Wo pagalon ki tarah meri behn ko chahta tha. Wo Amna ke pyaar me itna pagal tha ke usse Amna ke alawa koi nazar nahi aata tha. Wo uski har baat maanta. Agar wo usse kuch bhi karne ko kehti wo kar deta. Furqaan ki mohabbat ka ye aalam tha ke hum usse kehte abhi shaadi karlo toh wo karleta lekin hum abhi college me the. Hamari padhne ki umar thi aur issi wajah se humne unhe aise hi milne chodh diya tha. Jab hamari padhayi poori hui toh tumhare dad ko wapis jaana padha kyunki tumhare dada ki tabiyat bahot kharab hone lagi thi. Tumhara dadiyaal bahot bada hai jisme sabse bada taya ka 1 beta hai aur dusre taya ki 2 betiyaan lekin tumhare dusre taya tayi ka inteqaal ho chuka hai. Aakhiri number pr tumhare dad the jo abhi padh rahe the. Tumhari dadi bhi tumhare dad ko bahot kam umr me chodh kar chali gayi thi. Tumhare dada hi tumhare dad ka sab kuch the. Uski apne bhaiyon se bahot banti thi lekin uska tumhare dada se alag hi rishta tha. Jab wo tumhare dada ke pass gaya toh dada ne zabardasti uski shaadi Shafia Amani se karadi. Usne bahot koshish ki ke wo Shafia se shaadi na kare. Usne Amna ke baare me bhi ghar me sab bata diya tha lekin meri behn ka shumaar firangi ladkiyon me hota tha isliye tumhare dada ko meri behn pasand nahi thi. Unhone apne marr jaane ki dhamki de kar Furqaan ki shaadi zabardasti Shafia se karwa di. Shafia se shaadi hote hi Furqaan uske liye alag ghar le kar uske saath rehne laga lekin usne kabhi bhi Shafia ko dil se apnaya nahi tha. Wo usse har waqt durr rehta aur sahi se baat na karta. Phir kuch dino baad college me placement ki wajah se usse job mili toh wapis se wo hamare pass aaya. Meri behn Amna ka roo roo kar bura haal hota tha kyunki wo Furqaan ki judaai bardaasht nahi kar paa rahi thi. Furqaan ne usse dusri shaadi ka pucha toh wo maan gayi. Humein hamari behn ki khushi azeez thi toh humne bhi haan kardi. Furqaan ne sab apni biwi Shafia ko bataya. Usne ijazat dedi aur phir dono ka nikah hogaya. Nikah ke baad Furqaan hamare saath hi rehta tha. Shafia ke pass wo kabhi nahi jaata balke kabhi kabhi mahine me ek baar usse paise bhej deta tha. Yahan sab acha chal raha tha 1saal me hi tum paida hogaye. Amna aur Furqaan bahot khush the. Unhone tumhari paidaish pr bahot kharche kiye the. Khoob jashan manaya tha aur Furqaan ne bahot se paise gareebon me baante the. Hum sab bahot khush the. Phir jab tum 5 saal ke the toh tumhari maa phir se maa banne wali thi. Hum sab bahot khush the. Furqaan chahta tha iss baar Amna jaisi pyaari si beti ho. Hum dono ne mil kar saath me business shuru kiya tha. Hamara business bhi bahot taraqqi pr tha lekin humein hamari ek factory tumhare dad ke desh me kholni thi kyunki Amna chahti thi hamari factory wahan bhi ho taake Furqaan ke saath wo wahan settle ho jaye aur usse kaam karne me asaani ho isliye humne wahan ek zameen pasand ki thi. Wo zameen kisi Wajdan Shehriyaar ne humse pehli khareedne ki baat karli thi. Humne usse mil kar usse bahot samjhaya ke wo zameen hamare liye bahot zaruri hai kyunki humein hamara business badhana tha aur wo zameen khud Amna ne pasand ki thi lekin usne hamari koi baat nahi maani. Furqaan Amna se pagalon ki tarah ishq karta tha isliye wo usse har wo cheez la deta jo wo kehti aur yahi wajah thi ke uss zameen ke chakkar me hum sab yahin rehne lage the. Usne har tarah ki koshish ki ke wo zameen hamare naam hojaye lekin Wajdan har waqt beech me aata raha. Wo charity ka kaam karna chahta tha. Usse uss zameen pr ek college banana tha lekin hum ye nahi chahte the. Furqaan ne ache se koshish ki phir baat nahi bani toh usne ek bada qadam utha liya. Jab Wajdan uss zameen ki final deal karne jaa raha tha Furqaan ne usse truck se maar diya. Wajdan ke saath uski biwi aur uska ek khaas aadmi bhi the. Mai bhi Furqaan ke saath wahan maujood tha aur maine usse rokne ki bahot koshish ki lekin wo uss zameen ke liye itna pagal hogaya tha ke wo sab bhul chuka tha. Hamara irada unka qatl karna nahi tha. Hum bas unka accident karke unhe dara kar zameen apne naam karna chahte the lekin uss accident me unn teeno ki maut hogayi. Humne truck wahin chodh diya aur wahan se bhaag gaye. Jab hum wahan se nikle toh Furqaan ka phone bajne laga aur humein pata chala wo call kisi hospital ki thi. Amna ki halath bahot kharab ho chuki thi isliye unhone humein hospital aane ka kaha tha. Amna sofe se giri thi aur usse dard ki wajah se ambulance khud bula kar jaana pada tha. Furqaan ko usne bahot baar call kiya tha lekin uska phone band tha. Tum bahot chote se the isliye hum tumhe tumhara nanu ke pass hi chodh kar yahan aaye the. Tum bahar hi the. Hum dono bhaagte hue hospital pahonche toh wahan jo hua wo sun kar hamare hosh udd gaye. Tumhari maa ko lene ambulance der se pahonchi thi isliye tumhari maa ki halath bahot kharab ho chuki thi. Jab tk wo hospital me aayi usse saans lene bhi takleef ho rahi thi. Doctors ne bahot koshish karke tumhari behn ko bacha liya tha lekin tumhari maa ko nahi bacha paaye the. Furqaan ko ye baat pr bilkul yaqeen nahi ho raha tha. Wo baar baar keh raha tha ke ye nahi hosakta. Wo Amna ko jakad kar usse uthne ke liye keh raha tha. Baar baar chillata rehta ke Amna usse chodh kar na jaaye lekin wo toh marr chuki thi. Furqaan ko yaqeen dilana bahot mushkil tha. Usne kayi ghanto tk Amna ko khudse juda hone nahi diya tha. Maine kayi saare aadmiyon ko bula kar zabardasti usse Amna se durr karwaya tha. Jo bacchi paida hui thi Furqaan ne ek nazar bhi usse nahi dekha tha. Wo baar baar roye jaa rahi thi. Maine usse sambhaalne ki bahot koshish ki thi lekin wo sambhli nahi thi. Jab Furqaan ko hum ghar le aaye toh wo nidhaal pad chuka tha. Amna ke yahin marne ki wajah se humne tumhe aur tumhare nanu ko yahin bula liya. Tadfeen ke waqt tumhari saunteli maa Shafia bhi aayi thi. Tumhari behn ko rota dekh kar usne taras kha kar usse gale laga liya toh wo chup hogayi. Tumhari maa ke tadfeen ke baad jab Shafia ne tumhari behn ko Furqaan ke pass diya toh Furqaan ne uss choti si bacchi ko gusse se phek diya jisse usse sar pr gehri chot aayi aur wo rone lagi. Khoon behne laga aur Shafia pareshaan ho kar uske pass bhaagi. Mai aur Shafia mil kar usse hospital le gaye. Jab uski marham patti hui toh hum ghar wapis aaye. Furqaan Amna ki tasveer liye ek kone me baitha tha. Usse apni hi beti pr bilkul bhi taras nahi aaya tha. Shafia uss bachi ko sula kar bahar aayi toh Furqaan ne jo kaha hum sab ke hosh udd gaye." Irfan ki aankhon me aansu the. Wo apne aansuon ko qaabu me laane ki koshish karta hua sab suna raha tha.
Saif ki aankhein laal hogayi thi aur aankhon se aansu bahe jaa rahe the lekin wo khamoshi se apne mamu ko dekhe sab sun raha tha.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...