Khoon Ke Rishton Ki Inkashaafat

134 7 0
                                    

Irfan pani pee kar gehri saans lene laga toh Saif bechain ho kar puchne laga, "Kya kaha dad ne?"

"Furqaan ne kaha ke wo uss bacchi ko bhi Amna ke saath dafan kar dega. Na jaane wo kya sochne laga tha. Wo uss masoom si nanhi jaan ko apni biwi ka qaatil samajh raha tha. Usne kaha tha is bacchi ki wajah se hi Amna iss duniya me nahi hai isliye usse wo bacchi nahi chahiye. Shafia ko bacchi pr bahot taras aaya toh usne keh diya ke wo usse paal legi. Furqaan iss baat pr taiyyar nahi tha lekin Shafia ne usse Amna ka waasta diya toh wo khamosh hogaya. Shafia bacchi ko le kar wahan se chali gayi. Furqaan ne uski surat bhi nahi dekhi. Shafia ke jaate hi wo bhaagta hua gaya aur jahan Amna mari thi uss hospital ko band karwa diya. Jab hum naye naye business me aaye the tumhare dad ki kisi mafia ke aadmi se dosti hui thi. Wo aadmi hamari har ghair qanooni kaam me madad karta tha aur hum uske kuch kaam kar dete jaise drugs hamari factory me chupa kar rakhte aur uska supply hamare samaan me chupa kar karte. Furqaan ke kehne pr unlogon ne wo hospital band karwaya tha aur Wajdan ke qatl ko accident bata kar Furqaan ko bacha liya tha. Furqaan hospital band karwate hi uss zameen ko khareedne chala gaya aur wo haasil karli. Tumhari maa ke maut ke baad usne dubara kabhi uss bacchi ki taraf nahi dekha. Wo bas tumse mohabbat karta tha. Usse najaane kyun tum me Amna nazar aati toh har waqt tumhari fikr me rehta. Usse darr laga rehta ke kahin tum bhi usse Amna ki tarah chodh kar na chale jao isliye wo har waqt tumhari parwah karta rehta. Furqaan aaj bhi apne din ke 4-5 ghante Amna ki qabr ke pass guzarta hai. Wo usse baatein karta rehta aur khush ho jata hai. Kuch hi saalon me humlogon ne kaafi taraqqi karli thi. Mafia ke logon ki madad le kar hum bhi unki gang ka hissa bangaye aur hamara business laakhon se arabon me chala gaya. Jab tum apni padhai mukammal kar rahe aur bas 17 saal ke the tab tumhare dad ka saamna Fardan Shehriyaar se hua tha jo sirf 18 baras ka tha. Usse najaane kahan se maloom chal gaya tha ke tumhare dad ne uske maa baap ka qatl kiya hai. Wo badle ki aag me Wajdan ke naam ke kaagaz liye zameen pr qabza karne aaya tha. Tumhare baap ne usse dara kar bhagane ki koshish ki thi lekin usne kam umar me kaafi kuch kar rakha tha. Wo bahot taiyyar tha humse muqabla karne. Uska bhi underworld se rishta tha. Wo hamare boss ke liye bahot kaam kar chuka tha jisse hamare boss usse bahot khush the. Fardan ne humse dushmani ki baat unhe batayi toh unhone usse kaha tha jab wo kisi se shaadi kar lega tabhi wo hamara qatl kar sakta warna nahi. Fardan kayi saalon ke liye gayab hogaya tha phir achanak usne tumhare dad pr humla karwaya tha. Wo toh achi baat thi ke hamara aadmi uski gang me khabri ban kar tha. Humne uske saare plans fail kiye jisme usne humein maarne ki koshish ki. Phir tumhare dad ne tumhe uski behn ko apne pyaar ke jaal me phasa kar badla lene ko kaha tha aur tumne wo kuch din kiya toh tha phir apna mann badal kar tumne kaha tha ke tum Fardan ka aamne saamne muqabla karoge. Fardan ki tumhare baap se dushmani isliye hai kyunki unhone uske gharwalon ka qatl kiya tha aur toh aur unhone uske ghar me aag lagayi thi kyunki unhe laga tumhara accident Fardan ne karwaya."  Irfan ne saari baat batayi.

"Phir mere dad Fardan ke dad se kyun nafrat karte hain? Wo kyun kehte hain ke meri maa ke qaatil wo log hai?" Saif ne sawaal kiya.

"Kyunki beta jab tumhari maa tadap rahi thi hum uske pass maujood nahi the balke Wajdan ka accident karne aaye hue the. Uske lagta hai agar humein Wajdan ache se zameen dedeta toh usse wahan accident karne nahi jaana padta aur wo Amna ke pass hota aur Amna bach jaati lekin Amna ki maut ho gayi. Andar se wo bhi jaanta hai ke Amna ki maut hamari wajah se hui hai lekin wo kabhi manne ko taiyyar nahi hota. Humne Amna ko itne naazuk halath me akela chodh kar wahan se chale gaye toh isme qasoor hamara hi tha lekin wo ab bhi khudse kehta hai ke qatl Wajdan ne kiya hai usne nahi aur yahi wajah se wo Fardan se bhi dushmani karke baitha hai." Irfan ne uske sawalon ke jawab diye.

"Toh wo bacchi meri sauteli nahi saggi behn hai." Saif muskurata hua khudse bola.

"Faiza ki baat kar rahe ho?" Irfan ne sawaal kiya.

"Uska naam Faiza hai?" Saif tajassus ho kar puchne laga.

"Haan usse Shafia ne akele paala tha isliye uska naam Faiza Amani rakha tha. Khudke naam pr. Furqaan unhe mahine mahine paise bhej deta lekin Shafia saare paise wapis kar deti. Najaane kaisa dil tha Shafia ka. Jo koi saggi maa bhi na karti usne wo kiya tha. Faiza uski sauteli beti thi lekin usne usse apna bana kar paala tha. Furqaan ko Shafia ne Qula ke kaagazat bhijaye toh wahan usse milne ek baar gaya tha jab Faiza 7 saal ki thi. Shafia ki tabiyat bahot bigad rahi thi aur wo chahti thi Furqaan Faiza ko achi zindagi de lekin Furqaan aur Shafia ki bahot behes hogayi aur Furqaan ne Faiza ko wapis laane se inkaar kar diya aur wahan se aagaya. Qula hone ke baad Furqaan ne doobara mudd kar unki taraf nahi dekha! Mai uss bacchi ko baar baar lena chahta tha lekin Furqaan ne hamesha mujhe rok liya. Qula ke baad humein na uss bacchi ka kuch maloom na hi Shafia ka. " Irfan gham se bola.

"Fardan se shaadi hogayi hai Faiza ki." Saif ne jo baat kahi usse Irfan bahot shock hua.

"Aap jaldi se bataiyye dad kahan ho sakte hain. Unhone Fardan ki behn ko kidnap kar liya hai." Saif ne sawaal kiya toh Irfan ne usse saare address dediye jahan wo hosakta tha.

**************************************

"Zehnaseeb... Aakhir kaar hamari mulaqat ho hi gayi." Furqaan muskurata hua bola.

Ayesha ko abhi abhi hosh aaya tha. Wo hairath se unn sab ko dekh rahi thi.

"Kaun ho tum log? Kyun laaye ho mujhe yahan?" Wo darti hui puchne lagi.

"Shamsher ka dad hu mai Furqaan Ahmed Sikandar." Furqaan saamne ki kursi pr baithta hua muskura kar Ayesha ko bula.

"Kaun Shamsher?" Ayesha ne sawaal kiya.

"Maaf karna. Shamsher nahi Saif Sultaan jisse tum mohabbat karne ka daawa karti ho." Furqaan hasta hua bola.

"S.. Saif?" Ayesha ko samajh nahi aaya.

"Tum usse mohabbat karti ho aur kehti ho wo tumse nikah karna chahta tha lekin tumhe toh itna bhi nahi maloom ke uske asli naam Shamsher Furqaan Ahmed Sikandar hai." Furqaan ne kaha toh Ayesha ke hosh udd gaye.

"Mai nahi jaanta tum usse kitni mohabbat karti ho lekin mai apne bete ko apni jaan se zyada chahta hoon aur tum jaise logon ke beech toh usse kabhi aane nahi dunga." Furqaan ne phir se kaha.

Ayesha apni soch me doobi zameen ko dekhe jaa rahi thi.

**************************************

Follow Me On Instagram For Spoilers: happyfairy7_

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now