Chupa Pyaar Hua Be'naqaab

128 7 0
                                    

Adil aur Rumaisa jab Kulsum ke diye pate pr pahonche toh wo ek girl's hostel tha. Adil andar nahi jaa sakta tha isliye Rumaisa akele hi andar aagayi. Ek ladki se Faiza ka puch kar usse bahar bulane ka kaha toh wo ladki Faiza ke kamre ki taraf chali gayi. Rumaisa bhi bahar aa kar Adil ke saath Faiza ke aane ka intezaar karne lagi.

Jab Faiza bahar aayi toh Adil aur Rumaisa ko hairath se dekhne lagi. Rumaisa ne usse car me baithne ka ishara kiya toh wo khamoshi se baith gayi. Adil ne car chalani shuru ki. Rumaisa aur Faiza picche baithe the. Adil ka dhyaan dono pr tha. Wo aaine se unhe dekh raha tha. Dono bhi khamoshi se bahar dekh rahe the. Adil ne car ek kone me rok di.

"Tumlog yahan kyun aaye? Tumhe kisne pata diya mera?" Faiza ne seedha sawaal kiya.

"Faiza tumne aisa kyun kya? Tum hum sab ko chodh kar kyun chali gayi?" Rumaisa afsoos se puchne lagi.

"Chodh kar gayi nahi tumlogon ne majboor kiya jaane ko." Faiza narazgi se boli.

"Faiza tum bina poori baat jaane chali gayi thi." Rumaisa ko gussa aa raha tha.

"Acha aur kya janna baaqi hai? Wo mujhse nafrat karte hain... Tumhe mujh pr jasoosi karne bheja tha. Na mera shaadi ka rishta saccha tha aur na hi ye dosti ka. Tum sab jhoote ho. Mujhse har waqt nafrat karte aaye aur ab." Faiza ke aankhon me aansu aagye toh wo dusri taraf chehra karke aansu saaf karne lagi.

"Bhabi aisa kuch nahi hai. Aap galat samajh rahi ho. Bhai aapse nafrat nahi karte." Adil usse samjhate hue bola.

"Rehne do Adil bhai.. Mai ne sab suna tha unke munh se." Faiza boli.

"Jaanti ho tumhara sabse bada masla hi ye hai ke tum hamesha apna sochti ho. Dusron ka dekhti nahi. Tumhe lagta hai tumhare alawa duniya me kisi ko dukh nahi. Dusre bhi bahot kuch sehte hain Faiza lekin tumhari tarah yunh apne ghamon ka tamasha nahi karte." Rumaisa gusse me boli.

"Rumaisa" Adil ne sakhti se kaha.

"Haan sahi kaha mai apna hi dekhti hoon kyunki mere pass mere alawa koi nahi." Faiza ke tevar dekh kar Rumaisa aur Adil dono bhi bahot hairaan hue.

"Ye sab jane do. Ab aap ghar chalo bhabi." Adil ne kaha.

"Nahi mujhe nahi aana." Adil ki baat kaat kar Faiza boli.

"Bhabi please aajaiyye. Apke jaane se bhai ki halath bahot kharab hai. Ap gayi hai jabse wo soye nahi hai. Unko dekhogi toh pehchanna mushkil hojayega itna bura haal kar chuke hain wo apna. Please wapis aajao na." Adil minnat kar raha tha. Usse apne bhai pr bahot taras aata tha. Wo jaanta tha Fardan Faiza se kitni mohabbat karta hai.

"Wo mujhse nafrat karte hain. Unhe toh khush hona chahiye na mere jaane se." Faiza ek hi baat pr atki hui thi. Adil ki baatein sun kar uska dil Fardan ke liye tadpa toh tha lekin wo ab bhi Fardan ki baat yaad karke usse durr bhaag rahi thi.

"Nahi bhabi. Aap ne galat suna. Wo apse nafrat karte the lekin ab wo apse Ishq karte hain. Bilkul pagalon jaisa Ishq. Aap jaanti nahi aapke wajah se wo kitna khush the." Adil Faiza ko wapis leja kar Fardan ko uski khushiyaan lauta dena chahta tha lekin Faiza apni hi zidd pr adi hui thi.

"Tum aa rahi ho ya nahi?" Rumaisa ne sakhti se pucha.

"Nahi" Faiza apni hi baat pr qayam thi.

"Theek hai Adil chalo isse iske hostel chodh do wapis. Humein ghar jaana hai." Rumaisa ab Adil ko dekh kar boli.

"Lekin bhabi.." Adil kuch bolne gaya toh Rumaisa ne usse chup rehne ka ishara kiya. Adil ne gaadi hostel ke taraf karli.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now