Dhoka Khoon Ka

140 7 0
                                    

Saif jab apne mamu ke office se nikla toh usse maloom hogaya Furqaan Ayesha ko le kar kahan gaya tha toh seedha wahan jaane laga. Usse yaad aaya Fardan ko ab bhi kuch nahi maloom isliye usne uss file se Fardan ka number nikala aur usse phone karne laga.

Phone bajte hi Fardan ne phone utha liya.

*Tumhare behn ko Dad ne kidnap kar liya hai. Mai tumhe address bhej raha hoon. Wahan jaldi se aajao.* Saif ne kaha aur bina Fardan ki koi baat sune phone band kar diya.

Wo Furqaan ke basement ki taraf jaane laga lekin uske haath kaanp rahe the. Wo chahta tha uska baap phir koi galat qadam na uthaye. Wo bas Fardan ke behn ke salamati ki dua karta hua apne baap ke pass jaa raha tha.

**************************************
"Kya baat hai bhai?? Sab theek toh hai na?" Fardan ko pareshaan dekh kar Adil ne pucha.

"Ayesha ko Furqaan ne kidnap kar liya hai." Fardan ne mushkil se kaha.

"Kya?? Mere papa ne?" Faiza hairath se puchne lagi.

"Haan. Saif ne address bheja hai." Fardan ne kaha toh Adil phone me address dekhne laga.

Sab car me baith gaye the. Fardan ko khud pr bahot gussa aa raha tha. Wo khudke gham me itna kho gaya tha ke usne apni behn ka khayal bhi sahi se nahi rakha.

"Saif papa ko jaanta hai?" Faiza hairath se puchne lagi.

"Haan wo tumhara bhai hai." Fardan ne kaha toh Faiza ko phir ek shock laga.

Faiza ke saath saath Rumaisa aur Adil bhi hairath se usse dekhne lage.

"Mera koi bhai nahi hai." Faiza ne kaha.

"Wo tumhara sountela bhai hai." Fardan ne kaha toh Faiza phir se hairaan hui lekin aage kuch bol nahi paayi.

Ayesha ki sabko bahot fikr ho rahi thi isliye saara raasta sab Ayesha ki salamati ki dua kar rahe the.

**************************************
"Sir kya hua?" Furqaan ka pareshaan haal chehra dekh kar Kareem ne sawaal kiya.

"Saif... Saif ko sab maloom hogaya. Wo mujhe chodh kar chala jayega." Furqaan apne sar pr haath rakhe afsoos se bol raha tha.

"Nahi sir wo aapko chodh kar kahin nahi jayenge." Kareem usse sambhalne ki koshish karta hua bola.

"Nahi nahi wo mujhe chodh dega. Koi bhi ek qaatil ke saath kaisa reh sakta hai. Wo bhi ab mujhse nafrat karega aur ye sab inn logon ki wajah se ho raha hai." Furqaan gusse se Ayesha ko dekh kar bola jo samajh nahi paa rahi thi wahan kya ho raha hai.

"Tum sab zimmedaar ho mere bete ko mujhse durr karne me. Tum logon ne pehle meri biwi ko cheen liya mujhse aur ab tumlogon se meri khushi dekhi nahi jaa rahi. Tum sab ab mere bete ko bhi mujhse durr karna chahte ho." Furqaan chillate hue bola.

"Agar mera beta tumlogon ki wajah se durr ho raha hai toh mujhe bhi tumhare bhai ki koi qeemti cheez leni hogi. Tum bahot azeez ho na apne bhai ko... Mai tumhe zinda rehne nahi dunga Ayesha." Furqaan apni pocket se gun nikaalta hua bola.

"Ayesha?." Saif jo abhi wahan pahoncha tha apne baap ke munh se Ayesha ka naam sun kar wahin rukk gaya. Uski aankhon ke saamne andhera hone laga. Wo khudko sambhaalta hua mushkil se Ayesha tk aaya. Usse sab yaad aaya tha jo itne saalon me usne Ayesha ke saath kiya tha aur jo Ayesha ne uske saath kiya tha. Wo sab jaan kar khud se nafrat karne laga tha. Wo Ayesha se mohabbat karta tha lekin wo ye baat manna nahi chahta tha. Wo har waqt khud se kehta ke Ayesha bas uske dushman ki behen thi aur kuch nahi.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now