Muqadma

126 6 0
                                    

2 Days Later:

At Court:-

Aaj Saif ki sunwayi thi isliye police usse court le gayi thi. Court me logon ke saath Irfan baitha soch raha tha wo khud ko aur Furqaan ko phasaye bina Saif ko wahan se kaise nikaale. Usse kal hi maloom hua tha ke Saif giraftaar hogaya hai aur uski bail usse nahi mili thi aur case court tk pahonch chuka tha. Furqaan inn sab cheezon ke baare me kuch nahi jaanta tha. Irfan aur Kareem ne usse kaha tha ke Saif ki tabiyat kharab hone ki wajah se wo nahi aa pa raha hai. Furqaan ko kayi baar panic attacks aate the aur yahi wajah thi ke uska treatment shuru ho chuka tha. Wo aksar behoshi ki halath me hota aur Kareem hi uske saare kaam dekhta.

"My lord ye case bahot hi seedha hai. Iss aadmi ne hamare victim Ayesha Shehriyaar pr jaan leva hamla kiya." Wakeel jo Ayesha ki taraf se khada tha wo bolne laga.

"Nahi your honour mere client pr galat ilzaam lagaya jaa raha hai." Irfan ne Saif ke liye ek bade wakeel ka intezaam kiya tha jo aaj tak har case jeet'ta aaya tha.

Saif ne ghoor kar apne wakeel ko dekha.

"Your honour mai apko saare saboot pesh karna chahta hoon." Uss wakeel ne kaha jo Saif ke khilaaf lad raha tha.

"Saboot pesh kiye jaaye." Judge ke pass thaire aadmi ne kaha toh police ne wo gun judge ko dikhayi aur saath hi reports the jisme likha tha gun pr Saif ki ungliyon ka nishaan tha. Saif bina kuch kahe bas kuch dheere dheere badbada raha tha.

"Toh aap ko apni gawahi me kuch kehna hai?" Judge ne Saif se sawaal kiya.

"Your honour ye ek wakeel hai. Aap isse kuch bhi puchenge ye humein baaton me uljhane ki koshish karega. Isne khud aiteraaf kiya hai ke ye khooni hai. Hum jab isse dekhne gaye the tab hi ye pagal laga tha. Aap ab bhi dekh sakte hain ye parsum se bina ruke kuch bolta jaa raha hai jo kisi ko sunayi nahi de raha. Khooniyon ka toh yahi nature hota hai. Wo log pagal hote hain aur ye bhi unme se hi ek hai." Uss wakeel ne dil ki bhadaas nikaali kyunki pichle case me Saif uske khilaaf case ladd kr jeet gaya tha aur wo wakeel issi baat ko le kar usse bahot sakhti kar raha tha.

"Objection my lord. Mere client pr zaati hamla kiya jaa raha hai. Unhe pagal keh kar wakeel sahab mere client ki zaati zindagi judge kar rahe hain." Saif ke wakeel ne kaha.

"Nahi your honour. Mai koi zaati waar nahi kar raha balke jo maine sabse suna hai wo keh raha hoon. Jab police ne puch taach ki toh ye has raha tha aur bol raha tha ke khoon issi ne kiya tha." Wakeel ne kaha toh sab hairath se Saif ko dekhne lage. Irfan ko samajh nahi aa raha tha wo apne bhanje ko kaise bachaye. Usne jurm ka aiteraaf karke khudke saath saath sabko phasa diya tha.

"My lord mere client ne uss ladki pr goli nahi chalayi." Saif ke wakeel ko samajh nahi aa raha tha wo kya keh kar Saif ko bachaye. Ye case wo jitna asaan samajh kar aaya tha usse kayi zyada pechida tha.

"Your honour Saif Sultaan ne goli victim ke seedha dil pr chalayi thi. Wo toh victim ki qismat achi thi ke goli dil ko chute chute reh gayi lekin unhe shock se cardiac arrest hua tha aur yahi wajah thi ke unke bachne ke bahot kam chances the lekin kehte hain na ache logon ke saath sab acha hota hai isliye wo bach gayi aur iss aadmi ka saara plan fail hogaya." Wakeel muskura kar Saif ko jali nazron se dekh kar bola.

Saif jo 2 din se bina ruke, bina khaye piye, bina soye Ayesha ki salamati ki dua'ein kar raha tha uss wakeel ki baat sun kar ek pal ko saakit hogaya. Usne aankhein upr ki aur dil hi dil me muskura kar Allah ka shukar adaah karne laga. Wo 2 din se bina ruke kahe jaa raha tha ke, "Ya allah chahe mujhe poori tarah barbaad kar dena lekin meri mohabbat ko bacha lena." Wo ek hi jumla baar baar dohra raha tha aur log usse pagal keh rahe the lekin logon ka bhi isme kya qasoor? Har Aashiq pagal hi toh hota hai. Usne toh aisi waisi mohabbat nahi balke Ishq Junoon kiya tha phir Ayesha ko kaise wo khud se juda hote dekh sakta tha.

Teri ek hasi ke liye mai kar du mera sab kuch qurbaan

Tu jo kehde toh khushi se dedu tere khaatir meri jaan

Umar bhar qaid me rehna teri mai chahoon mere yaara

Tujhe lauta kar wapis Khuda ne kar diya mujh pe bada ehsaan.

Saif muskurata hua khud se bola. Najaane kyun ye alfaaz uske zehen me aaye the. Wo khud se muskurata hua baar baar ye ashaar apne mann me dohra kar baar baar Allah ka shukar adaa kar raha tha ke Ayesha bach chuki thi.

"Apko apni gawahi me kuch kehna hai?" Judge ki awaaz pr Saif apne khayalon se nikal kar unhe dekhne laga.

Saif ke pass ek aadmi mushaf le aaya. Saif ne quraan'e paak pr haath rakh kar kaha, "Jo kahunga sach kahunga. Sach ke siwa kuch nahi kahunga."

"Toh bataiye kya aap apna jurm qubool karte hain?" Wakeel ne sawaal kiya.

"Haan maine goli chalayi hai." Saif ne kaha aur phir mann me bola, "(Lekin kis pr ye mai nahi kahunga toh ye sach me hi aayega.)"

"Ayesha Shehriyaar pr goli chalane ke jurm me Saif Sultaan ko umar qaid..." Isse pehle ki judge apni baat mukammal karta Fardan wahan bhaagta hua aaya.

"Your honour... Mujhe kuch kehna hai. Mai Ayesha Shehriyaar yani victim ka bhai hoon." Fardan haanpta hua bola.

"Gawah ke tor pr mujhe kuch kehna hai your honour." Fardan ne kaha.

Fardan ab Saif ke saamne katghare me khada quraan'e paak pr haath rakh kar wahi jumla dohra raha tha jo Saif ne abhi dohraya tha. Saif hairath se Fardan ko dekh raha tha. Usse darr tha kahin Fardan uske baap ko bhi na phasa de.

"Your honour, kal meri behn ko hosh aaya hai aur wo pehle se ab behtar hai Alhamdulillah lekin meri behn pr goli Saif ne nahi balke uske baap Furqaan ne chalayi hai." Fardan ke iss iqraar pr wahan maujood sab log hairaan hue the lekin Saif gusse se Fardan ko dekhe jaa raha tha. Wo nahi chahta tha ke uska baap jail jaaye lekin uske baap ne qatl karne ki koshish toh ki thi. Wo apne dil aur dimaag ke beech khud phas chuka tha. Uska dil kehta ke baap ko maaf kar diya jaaye lekin dimaag kehta ke kabhi uski taraf na dekhe.

"Furqaan ne meri behn ko kidnap kiya tha aur gusse me meri behn pr goli chala di thi. Saif ne dusri gun se meri behn ko bachane ke liye defense me apne hi baap Furqaan pr goli chalayi. Asli qaatil bach kar nikal gaya aur uske khilaaf ke saboot bhi kisi ne chupa diye aur saara ilzaam Saif pr aagaya." Fardan poori baat batane laga.

"Your honour agar aap ijazat de toh mai kuch saboot pesh karna chahunga jo Furqaan ke khilaaf hai." Fardan ne kaha toh Saif hairaan ho gaya. Wo jo 2 din se itne zulm seh raha tha. Police walon ki maar khayi thi wo sab bekar ho gaya tha. Aakhir koi bhi gunah kab tk chupta. Furqaan ne jo boya tha usse wo toh kaatna hi tha lekin Saif chahta tha uske baap ke hisse ki saari saza usse mil jaye lekin ab ye mumkin nahi tha.

"Ijazat hai." Judge ne kaha toh Fardan ne sab ko kuch tasveerein batayi.

"Your honour, jo goli Ayesha ko lagi thi wo hollow point bullet 9mm caliber ki thi lekin jo gun Saif ne chalayi thi wo Hornady InterLock thi jo 270 Winchester ki soft point bullet thi." Fardan jo hamesha se ye sab kaam karta aaya tha uske liye ye sab kuch maloom karna bacchon ka khel tha. Usne saare saboot pesh kiye toh police sharminda ho gayi kyunki unhone sahi se jaanch kiye bina hi Saif ko mujrim ke qitaab se nawaaza tha.

"Saare gawahon ko madde nazar rakhte hue Saif Sultaan ko court be'qasoor saabit karti hai aur unhe ba'izzat bari kiya jaata hai." Judge ka faisla sun kar Fardan bahot khush hua tha lekin Saif bilkul khush nahi tha.

"Aur police ko ye hukm diya jaata hai ke asli gunahgaar Furqaan Sikander ko giraftaar karke court me haazir kiya jaaye. Court Dismissed. " Judge ne apni baat kahi aur wahan se jaane ke liye uth gaya. Judge ke jaate hi sab wahan se nikal gaye.

Fardan ne Saif ka haath pakda aur kheechte hue usse car me baitha kar wahan se le gaya.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now