Saif bhaagta hua apne ghar aaya tha. Wo bas sukoon chahta tha. Wo ek sharmindagi se bahar bhi nahi aaya tha ke usse dusri galti hogayi balke iss baar toh usne gunah kar diya tha. Ayesha ko apni jaan lene pr majboor karne ka gunah. Wo rota hua apne kamre me baitha Ayesha ki baatein soch raha tha tabhi usse Ayesha ki ek baat yaad aayi jo wo usse baar baar keh rahi thi.
"Tumne kaha tha mai marr jau aur dekho ab marr rahi hoon. Tumhari khwahish poori ho rahi hai."
"Tumne kaha tha marr jaane ko aur mai marr kar jee uthi hoon sirf tumhe dekhne ke liye."
Usse samajh nahi aa raha tha Ayesha baar baar aisa kyun keh rahi thi. Wo tension se utha aur apne dad ke kamre ki taraf gaya. Lagatar 3-4 dinon se khana nahi khane aur nahi sone ki wajah se Saif ki halat bahot kharab ho rahi thi. Usse baar baar chakkar aa rahe the. Usse achanak se sab yaad aagaya tha aur issi wajah se uska dimaag bahot kamzor pad gaya tha. Usse araam ki bahot zyada zarurat thi lekin Ayesha ki halat ka zimmedar wo khud ko maan raha tha isliye chahta tha Ayesha jitna dard seh rahi hai usse bhi utna hi dard ho.
Wo apne maa ki tasveer lene apne baap ke kamre me aaya tha lekin tasveer ke pass pade phone pr uski nazar thair gayi. Wo ye phone tha jo Saif yaadasht jaane se pehle istemaal kiya karta tha. Usne phone khola toh usme likhe messages padh kar wo hairaan reh gaya aur usse samajh aaya ye sab uske baap ne kiya hai. Uske dad bhale hi usse baar baar kyun na takleef de rahe the wo phir bhi unse nafrat nahi kar paa raha tha. Wo sab theek karna chahta tha lekin Ayesha ko na bacha paane ke gham me wo itna sharminda tha ke usne phir galti kar ke Ayesha ki jaan dobara khatre me daal di thi.
Maghrib ka waqt ho gaya tha Saif ne wuzu kiya aur phir namaaz adaa karne ke baad Ayesha ke liye roo roo kar dua'ein maangne laga. Jab usse thoda sukoon hua toh wo wahan se utha aur apni maa ki tasveer seene se lagaye wahin chair pr baith gaya. Ayesha ki baatein yaad karte hi uske chehre pr muskurahat aagayi. Wo wahin baithe baithe gehri neend me chala gaya.
**************************************
Isse pehle ke Irfan aur Furqaan police ke pass jaa kar apna jurm qubool karte, police wahan pahonch gayi. Irfan Saif ko call karne laga lekin uska phone baar baar band jaa raha tha toh Irfan ne message bhej diya ke wo giraftaar ho rahe hain.Jab police unhe le gayi aur unse sawaal kiye toh Furqaan ne sab sach bata diya ke shuru se unn logon ne kya kya gunah kiye aur kaise kiye. Irfan bhi aage badh kar khud giraftaar hua tha aur usne bhi apne saare karnamo ke baare me Police ko bata diya tha. Police ne unhe court me le jaane ka faisla kiya tha jo aaj se 5 din baad ki tareeq mili thi.
**************************************
Saif ki aankh khuli toh raat ke 11 baj rahe the. Wo najaane kaise itni der sogaya usse pata nahi chala. Wo utha aur jaldi se hospital ki taraf bhaaga.Fardan ke kehne pr Adil Rumaisa Azra aur Aqeel ghar chale gaye the. Faiza ne zidd ki thi ke wo nahi jayegi toh Fardan khamosh raha. Fardan Faiza ke liye kuch khane ko lene gaya hua tha jab Faiza ki wahin baithe baithe aankh lag gayi thi.
Ek nurse har waqt Ayesha pr nazar rakhe hoti thi kyunki wo behosh thi. Saif ne usse chand paise pakda kar wahan se bhej diya aur khud Ayesha ke pass baith gaya. Ayesha ki saansein ab bhi dheeme chal rahi thi. Usse hosh ab tk nahi aaya tha.
"A..yesha?" Wo dheere se bola lekin Ayesha ne koi jawab nahi diya.
"Ayesha aap meri khaatir uth jayein na please. Hum sab ko apki bahot zarurat hai. Mai jaanta hoon maine apse kabhi apni mohabbat ka izhaar nahi kiya lekin sach mano toh mai aapse bahot zyada pyaar karta hoon. Mujhe aap se na jaane kab kaise lekin Ishq hogaya hai. Mai apke bina jeene ka soch bhi nahi sakta lekin mujhe apni galtiyon pr bahot sharmindagi hai isliye mai apko apnana nahi chahta tha kyunki mujhe lagta hai aap mujhse behtar insaan deserve karti hain. Pr jaanti ho kya mai apko kisi aur ke saath dekhne ka sochta bhi hoon toh meri rooh kaanp jaati hai. Mujhe apse uss hadd tk Ishq hogaya hai ke mai apke bina zindagi sochta hoon toh lagta hai meri saansein rukk jayengi. Mujhe aapse bilkul waisa ishq hua hai jo mere dad ko mere maa se tha. Deewangi ki hadd paar kar dene wala ishq. Jisse mere dad kehte hai Ishq Junoon. Haan mujhe bhi apse Ishq Junoon hogaya hai Ayesha." Saif Ayesha ka haath thaame usse baatein kar raha tha. Uski aankhon se aansu jaa rahe the lekin Ayesha ka bejaan pada jism uske baaton ka koi jawab nahi de raha tha.
"Agar aap uth jayengi toh mai apse shaadi kar lunga. Ab toh uth jaiyye." Wo apne aansu saaf karta hua sanjeedgi se bola.
"Sach me karoge?" Ayesha ke sawaal pr Saif bahot zyada chaunk gaya.
"A...ap?? Aap ko kab hosh aaya?" Saif hairath se sawaal karne laga.
"Ussi din jab aap court me the." Ayesha muskura kar boli.
"Pr kal.." Wo bolte bolte sharmindagi se sar jhuka kar rukk gaya.
"Wo sab toh ek natak tha. Apke izhaar'e mohabbat ke liye jo hum sab ne mil kar kiya tha." Ayesha muskura kar boli.
"Kya matlab?" Saif usse ghoorta hua puch raha tha.
"Court me jo bhi hua tha bhai ne phone pr humein bata diya tha toh maine aur bhai ne mil kar doctor ke saath ye khel khela taake tum apni mohabbat ka izhaar kar do. Jab mujhe goli lagi thi maine tumhari saari baatein suni thi jo tumne tumhare dad ke saath ki thi isliye mai jaanti thi tum asaani se mujhse shaadi nahi karoge ya apni mohabbat ka izhaar karne se khud ko rok loge toh maine bhai se kaha mai natak karungi. Agar tum pareshaan hue toh hum ye tumhare izhaar karne tk tamasha karte rehte." Ayesha hasti hui usse sab bata rahi thi.
"Bhai aur doctor ke alawa sab samajh rahe the mujhe waqai me kuch hogaya hai isliye Adil gussa hua tha tumse. Tumhare jaane ke baad bhai ne sab ko sach bataya isliye sab gaye hue hain." Ayesha muskura kar Saif ka chehra dekhti hui apni baat khatam karke ruki.
"Toh aap theek hain ab?" Saif khushi se puchne laga.
"Haan bilkul theek hoon." Wo boli toh Saif ne dil hi dil me Allah ka shukr adaa kiya.
"Waise mujhe bhi aap se kuch kehna hai.." Wo apni jeb se phone nikaalta hua bola.
"Haan bolo." Ayesha ne kaha toh Saif ne usse messages dikhaye.
"Mera accident hogaya tha. Meri yaadasht chali gayi thi. Ye phone dad ke pass tha aur unhone hi aapse baat ki thi. Mai shayad dimaag se apko bhool gaya tha lekin aap mere dil me hamesha se mujhe yaad thi aur hamesha rahengi. Maine jab apka naam suna tabhi meri yaadasht wapis aayi." Saif muskura kar usse bol raha tha.
"Haan yaqeen ho gaya hai ke wo tum nahi the." Ayesha ne kaha.
"Kaise?" Saif ne sawaal kiya.
"Tum mujhse hamesha aap keh kar baat karte ho. Kabhi tum nahi kehte isliye tum pr yaqeen hai. Aur mai tumse itni mohabbat karti hoon ke agar wo sach me tum hi kehte toh bhi mai tumhe maaf kar deti kyunki mai tumhare bina nahi reh sakti." Ayesha bolte bolte rukk gayi. Uski aankhon me paani aagaya tha.
Saif uske aansu saaf karta hua bola, "Mujhe roti hui ladkiyaan bilkul nahi pasand. Aap muskurati hain toh hi pyaari lagti hain."
Wo dono muskurane lage. Ayesha ne dil me Allah ka shukar adaa kiya ke usse Saif mil gaya aur Saif ne Ayesha ki salamati pr Allah ka shukar adaa kiya tha.
**************************************
Fardan jab Faiza ke pass aaya toh dekha wo neend me thi. Wo uske pass baitha muskura kar usse dekh raha tha."Mujh jaise gunahgaar ko itni pyaari biwi ataa karke mujh pr bada karam kiya hai mere Allah ne." Fardan uske chehre pr aate baal picche karta hua bola.
"Papa...papa..sab theek hojayega. Saif chahiye na aap ko...mai usse le aaungi." Wo neend me baar baar ek hi line bolti jaa rahi thi. Fardan pareshaan ho kar Faiza ko uthane ki koshish karne laga aur wo haibath se uth gayi.
"Sab theek toh hai na meri jaan?" Fardan pareshaani se puchne laga. Faiza ka chehra pasine se bhar gaya tha. Uske haath kaanpne lage the.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...