"Kya baat hai Faiza?" Fardan uska chehra pakad kar apni taraf karta hua phir se puchne laga.
"Kuch nahi. Bas ek bura khwaab tha. Mujhe laga papa kahin aag me jaa rahe hain kyunki mai Saif ko unke pass nahi le aayi." Faiza apna chehra apne dupatte se saaf karti hui boli.
"Fikr mat karo kal hum Saif ke saath tumhare papa se mil kar aayenge." Fardan ne muskura kar kaha toh wo bhi muskura di.
"Chalo ab khana khalo mere saath." Wo uske saamne khana rakhta hua bola toh wo uth kar apna chehra dhone chali gayi.
Jab wapis aayi toh dono ne mazey se khana khaya kyunki saara kuch Faiza ki pasand ka tha jo Fardan ko uski diary se yaad tha.
Khane ke baad Fardan usse le kar hospital ke top floor pr le gaya jo ek terrace tha.
Jaise hi wo wahan pahonche Fardan ne Faiza ki aankhon pr apna haath rakh diya.
"Aap kya kar rahe hain?" Wo ek dum se hairaan ho kar boli.
"Ab mai jaise chala raha hoon chalti jao." Wo pyaar se uska ek haath apne haath me pakda usse andar le gaya. Andar jaate hi Fardan ne Faiza ki aankhon pr se apna haath hata diya.
"Ye sab..?" Wo hairath se aas pass dekh rahi thi.
Saara terrace phoolon se saja hua tha. Farsh pr bhi gulaab ki pattiyaan bhikri hui thi. Light ki madad se ek bada sa "Happy 1st Anniversary My Love." Safed rang me dil ki surat me likha hua tha jo laal gulaabon se saja hua tha. Faiza wo nazara dekh kar hairaan reh gayi. Wo sab itna khoobsurat lag raha ke wo bas dekhti hi reh gayi. Terrace ki deewaron ke charo taraf diya lage hue the jo raat ke andhere me jal rahe the. Jaise hi Faiza Fardan ki taraf palti toh asmaan me patakhon se bada sa "Faiza ♡ Fardan" likha hua aaya. Saath hi asmaan poori tarah se aur bhi patakhon ki roshni me jagmagane laga. Faiza ye sab dekh kar muskura rahi thi jisse dekh kar Fardan ke chehre pr bhi muskaan aagayi.
Fardan ne Faiza ko apne taraf kheencha aur usse picche se galle lagata hua uske kaan me pyaar se bola, "Hamari shaadi ki pehli saalgirah mubarak ho meri jaan."
Faiza sharma kar boli, "aap ko bhi."
"Ab tum hamesha ke liye phas gayi ho mere saath. Jab hum buddhe hojayenge aur hamare marne ka waqt qareeb hoga tab hum dono issi hospital me yahin baithe inn palon ko yaad karte hue apne bacchon ke saath hamari shaadi ki 50vi saalgirah manayenge." Wo hasta hua usse bol raha tha aur Faiza wahi sab soch kar sharma rahi thi.
"Waise mai chahta toh kuch bada karna lekin itna sab karna hi mushkil tha kyunki hospital me ye sab karne ke liye mujhe badi minnatein karni padi." Fardan bola toh Faiza ne jawab diya, "Toh aap ye sab na karte. Kya zarurat thi ye sab karne ki."
"Aise kaise nahi karta? Tumhari muskurahat dekhni thi mujhe aur waise bhi ye hamari shaadi ki pehli saalgirah hai. Tum nahi jaanti lekin bahot duaein ki hai maine tumhe paane ke liye. 6 saal tadpa hoon mai tumhe apna banane ke liye aur paane ke baad bhi tumne 3 mahine tadpaya hai mujhe." Fardan naarazgi wale andaaz me bola.
Faiza uski taraf mudi aur uske kandhon pr apne haath daalti hui boli, "Ab toh aagayi hoon na mai apke pass mere pyaare Shehri."
Fardan Faiza ka ye roop dekh kar bahot hairaan hua tha lekin jald hi khud ko sambhal kar bola, "Ab kabhi toh nahi jaogi mujhe chodh kar?"
"Nahi jaungi warna aap apna bura haal karlenge." Wo hasti hui uske bade hue dadhi ke baalon ki taraf ishara karti hui boli. Fardan bhi muskurane laga.
"Acha chalo ab mere saath aao." Fardan usse ek terrace ke beech le gaya jahan ek table phoolon se bhara tha jispe kayi tarah ke phoolon ke guldaste rakhe hue the. Baazu me hi ek cake rakha tha jo laal rang ka tha aur uss pr safed rang me "Happy Anniversary My Wife. F♡F" likha hua tha. Saath hi ek tohfa rakha tha jiske upar ek chitti lagi hui thi.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...