Ishq Ki Nayi Subah

246 8 8
                                    

4 din baad:

Jab Furqaan aur Irfan ko court laaya gaya toh dusre wakeel ne judge se darkhaast ki ke ye case Saif ke haath se le kar kisi aur wakeel ko de diya jaaye.

"Lekin kyun? Mai bhi ek wakeel hoon toh mai kyun ye case nahi ladd sakta?" Saif ne sawaal kiya.

"Kyunki tum issi case ke ek suspect the isliye humein nahi lagta tum imaandari se case ladoge. Tumne court ko gumraah karne ki koshish ki toh?" Dusre wakeel ne sawaal kiya.

"Ba'izzat mai ye kehna chahta hoon judge sahab koi doodh peete bacche nahi ke unhe mai gumraah karoon." Saif ne jawaab diya.

"Lekin tum ye case." Uss wakeel ne phir kuch kehna chaha tha ke beech me judge ne baat kaat di.

"Order order." Judge ki baat pr sab khamosh hogaye.

"Mai ye case Saif Sultaan ke haath me hi rehne dunga lekin Saif Sultaan ko waada karna hoga ke wo sab sach kahenge aur imaandari se case ladenge." Judge ki baat pr Saif muskuraya.

Faiza Fardan Adil aur Aqeel, Irfan ke ghar walon ke saath baithe hue the. Faiza apne baap ki halath dekh kar bahot roye jaa rahi thi.

Case bahot der chala aur saare saboot Furqaan aur Irfan ke khilaaf hone ki wajah se faisla unke haq me nahi aaya. Irfan ne Furqaan ke saath mil kar saare gunah qubool kar diye the aur yahi wajah thi ke Saif unhe chah kar bhi nahi bacha paaya tha.

Judge ne faisla kiya tha ke Irfan ko jurm me saath dene aur khamosh rehne ke liye 7 saal ki saza di jayegi lekin usne apne saare gunah aage se qubool kiye the isliye 3 saal ki saza maaf kardi gayi thi.

Furqaan ne murder kiye the isliye usse phansi ki saza hui thi lekin Saif ne uski dimaagi bemaari ke baare me judge ko bataya toh uski bemaari ko confirm karne hospital se doctor bulwaye aur ek break de kar uski bemaari ki jaanch karwayi gayi.

Jab break khatam hua toh doctor ne bataya ke Furqaan ko waqai bahot severe level ka Schizophrenia ho chuka hai. Wo hosh me reh kar kuch kar raha hai ya khwaab dekh raha hai usse ye bhi khabar nahi hoti. Issi wajah se court ka faisla badal gaya.

Judge ne Furqaan ko Umar Qaid ki saza sunayi thi lekin usse jail ki bajaye dimaagi sehatyabi ke center me rakhne ka order aaya jahan wo uska ilaaj karwa sakta tha.

Faiza aur Saif shukar mana rahe the ke unka baap zinda toh rahega. Faiza aur Saif se ek baar mulaqaat ke baad Furqaan ko police le gayi. Furqaan bilkul hosh me nahi tha isliye usne unse koi baat nahi ki thi. Saif aur Faiza ne hi usse apna khayal rakhne ka kaha tha.

**************************************
15 din baad:

Ayesha thoda behtar ho chuki thi toh Ayesha Saif aur Adil Rumaisa ka valima hua.

Ayesha ki tabiyat poori tarah theek toh nahi thi isliye usse har hafte hospital check up ke liye jaana padta tha aur yahi wajah thi ke Saif ne function bas 2 ghante ka rakhwaya tha.

Faiza apne nanhiyaal se mili thi aur Saif apne dadiyaal se. Dono ko bhi apne rishtedaaron se mil kar khushi bahot hui thi lekin Fardan Hadi se bahot chidha hua tha kyunki usne Faiza ko bhaagne me madad ki thi.

Fardan ne Faiza ke mamu ko dawat toh di thi lekin sirf Riyaz valime me aaya tha aur usse khud jaan ke hairaani hui thi ke Faiza uski apni behn ki beti nahi thi. Shafia ne Riyaz ke ghar walon se kayi saal raabta nahi rakha tha. Uske shohar ki dusri shaadi wali baat wo logon ko nahi batana chahti thi lekin jab Faiza paida hui aur Amna marr gayi toh 1 saal baad usne phir se Riyaz se baat ki aur usse jhoot kaha ke Faiza uski beti hai.

Valime ki shaam bahot ache se guzar gayi aur sab thak kar ghar aa gaye. Fardan ne apna ghar jo banwaya tha ab sab wahin reh rahe the kyunki Fardan ne Ayesha ke theek hone tk sabko wahin rehne ka kaha tha. Sab apne apne kamron me chale gaye the. Saif Ayesha ka bilkul kaanch ki gudi jaisa khayal rakh raha tha. Wo uski har choti zarurat ka khayal rakhta aur har pal ussi ke saath maujood hota jo dekh kar Fardan pursukoon hogaya tha ke Saif uski behn ko sambhaal lega.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now