Ishq Junoon Ki Kahani

247 7 4
                                    


Ek Ladka Ek Ladki se mil jaata hai
Usse Dosti ka haath badhata hai
Saamne meetha aur dil me zehr
Khudka jhoota naam Shehri batata hai

Ladki bahot hi masoom hoti hai
Baap ke khwaab dekh kar roz roti hai
Mami uski uss pr hazaar zulm dhaaye
Usse apna qasoor kabhi samajh na aaye

Ladki roti baithi hoti hai
Jab uski nazar uspe hoti hai
Dosti ke bahane wo kuch aur soch raha tha
Ladki ko diary de kar uske raaz puch raha tha

Aapas ki dosti  hoti gayi gehri iss qadar
Kuch hi dino me ladki ne di apni saari khabar
Wo usse kisi aur maqsad se dosti ka haq jatata raha
Wo usse apna maanti rahi aur wo nafrat ke ped ugata raha

Ladke ne achanak hi ek din bin kahe dosti tod di
Milna toh khair tha lekin diary bhi uske pass chod di
Jab pata chala ladki hai beqasoor uski dost se
Usne dushmani ki raah mohabbat ko modh di

Phir yunh hua ke ladka uski yaadon me kho gaya
Har waqt ussi ka khayal uske mann ko moh gaya
Bina usko soche uska guzara nahi ho paata
Nafrat karne nikla tha aur usse Ishq Junoon ho gaya

Biwi bana kar apni usse marzi ke beghair uske
Iss Ishq ke khel ko ek qadam aage wo le gaya
Har waqt uska khayal karta, saath rehta uske
Uski yahi adaaon se wo ladki ke dil me reh gaya

Jab pata chala ladki ko usne jo kiya hai uske saath
Ladki chali gayi durr chodh kar uska haath
Wo rota raha uski yaadon me mahino tk
Phir achanak aa kar usne ki usse Ishq ki baat

Inn sab me uski behn ki bhi ek kahani bani
Pehli nazar me neeli aankhon ki deewani bani
Wo ladka tha uske bhai ka jaani dushman
Makafat'amal ki galti se wo nishaani bani

Kiya tha jo ladke ne wo laut ke aaya tha
Kisi ladki ka usne dil jo dukhaya tha
Uski behn pr bhi wo sab guzre jaa raha tha
Meethi baatein karke uske dil me wo sama raha tha

Masoom thi jaanti nahi galat raah pr jaa rahi thi
Ishq samajh kar ek dhokebaaz ko apne ghar bula rahi thi
Nikah ka jo usne kiya tha waada, khushi se wo gaa rahi thi
Bhai ko apne keh kar apne dushman se ishq lada rahi thi

Phir kahani mein naya modh aaya,
Baap jo aaya, villain hi wo kehlaya
Usse pata nahi tha wo ek dimaagi bemaari se guzar raha tha
Mari hui apni biwi ko haqeeqat me maujood samajh raha tha

Phir kahani me ek naya baab khula
Ladke ka hua accident wo sab bhula
Ladki jo uske dikhaye nikah ke khwaab roz bun rahi thi
Ladka jaan ki baazi lagaye behosh hai usse anjaan rahi thi

Ladke ke baap ne ladki ke ghar aag laga di
Bina soche samjhe purani dushmani ko phir hawa di
Phir yunh hua ke sab uss aag se bach gaye
Lekin ladke ko sab yaad aane mahine lag gaye

Jab ladka gaya tha saalon ki dushmani mitane
Ladki baithi thi uske baap ke goli ke nishaane
Ladke ko maloom hua uska baap hi hai qaatil
Toh baap ne ladke se banaye sau bahane

Behes behes me baap ne liya ladki ka naam
Goli chala di uspe kardiya uska kaam
Ladki giri uski baahon me behosh ho kar
Ladke ki yaadasht aayi uska naam sun kar

Ladke ne gusse me apne baap pr chalayi goli
Ishq karta tha ladki se ye baat pehli baar boli
Darta tha baap ki dushmani har waqt aade aayi thi
Aaj izhaar kiya, apne dil ki baat jo dil me chupayi thi.

Ladki bach gayi sabki bahot saari duaon se
Ladke ka baap karne laga baatein hawaon se
Hota gaya baap pagal jaise jaise din guzre
Phir police usse le gayi jail saboot ki beenao pe

Ladke ne kiya nikah ladki se uski chah pr
Chalne lage dono ishq ki raah pr
Baap ko hui gunahon pr umar qaid
Milne jaate wo usse har mah pr

Saheli jo thi dusri ladki ki
Uski bhi ek kahani bani
Ladke ne kiya izhaar
Wo uske dil ki raani bani

Kahani se sabaq humne doston ab ye seekha hai
Ishq ke aage sab kuch aashiq ke liye pheeka hai
Jisse galat fehmi se dushman banaya tha
Wo toh hai beqasoor ye baad me samajh aaya tha

Jisse apna sab maana insaan aksar usse hi khota hai
Khwaab ussi ke wo dekhe har pal jab bhi wo sota hai
Saari umar phir wo uske liye tadap tadap kar rota hai
Bhul kar mat karna Ishq Junoon jaanleva hota hai

~Faiza Amani.

************************************

Utni khaas toh nahi hai lekin maine koshish ki ke hamari kahani ko shayari ke zariye likh sakoon. Mujhe shayari bahot pasand hai toh aap ka kya khayal hai iss shayari pr?

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now