Chapter 4.3

9 2 0
                                    


subah usey college nahi jaana tha. Exams khatam ho chuke the, magar woh phir bhi bahana kar ke jaane ke waqt se aadha ghanta pehle hi stop pe chali aayi thi aur ab continuesly bench ke aas paas tehel rahi thi.

siyah faam ladki abhi tak nahi aayi thi mehmil baar baar kalayi pe bandhi ghadi dekhti, phir be chain nigaho. se gardan idhar udhar ghumati. bhuri unchi pony bhi sath hi jhulti. usay shiddat se us ladki ka intzaar tha aur aaj toh lagta tha, jaise waqt bohat der se guzar raha hai.

bil akhir woh thak kar bench par baithi aur sir dono hatho mein thaam liya.

"kya mera intzaar kar rahi thi?" kisi ne uske kandhe pe haath rakha toh woh current kha kar uthi.

woh kaali rangat ladki samne khadi muskura rahi thi.

"mein tumhara hi weight kar rahi thi."

"aur mein janti hu ke kyun?

woh aaraam se bench par baithi, bag ka strep kandhe se utaar kar aik taraf rakha aur kitaab ehtiyat se goad mein rakhi. phir jaise free ho kar mehmil ka
Chehra dekha. "Tum thak gayi ho?"

"haan, mein thak gayi hu. mein tang aagayi hu, is duniya mein mere liye kuch nahi hai. koi nahi hai."

"Oh,ho....aise nahi kehte. abhi toh tumhe woh kuch lena hai, jis ki chamak se tumhari ankhein chaka chond (hairan aur khush) reh jayengi. abhi toh tum sahih raste pe aayi ho."

"mujhe sahih aur ghalat ka nahi pata. nah hi mein sahih aur ghalat ke chakkar mein padna chahti hu." Usne be ikhtiyar nigehe churai thi. Apne dil se, apne andar baithte guilt ke ehsas se.

"koi baat nahi. shuru shuru mein yeh kitaab mushkil lagegi, jaise koi azaab ho, qaid ho, magar phir tum aadi ho jao gi." woh waise hi muskura rahi thi. yeh kitaab mujh se kaise baat karegi? mehmil sehar zada si uski goad mein rakhi kitaab ko dekh rahi thi.

"roz iska aik safha padhna. agar mushkil lage toh mein tumhe kuch aise logo ka bataugi, jo is kitaab ka ilm sikhate hain. bilkul khamoshi se, chup chaap apna kaam karte hain. mein tumhe udhar le jaugi, woh tumhe is zubaan ka ilm seekhayenge jis mein yeh
Kitaab likhi hoti hai. phir jab tum roz is ka aik aik safha padhne ke qabil ho jao gi toh tum maanogi ke har safha tumahre liye yesterdaye jo hua wo hai aur tumhe tomorrow me jo hoga wo bta raha hai."

"aur agar mein advance mein aik safha age padh lu toh mujhe apne aane wale kal ka ilm ho jayega. hai na?"

"nahi, tum aik din mein poori kitaab bhi padh lo toh bhi woh tumhara yesterday ki kahani hi rahegi. lekin agar wohi safhay tum agle din padho toh woh us din ke hisaab se tumhari aane wale dinon ki kahani ban jaye ga. "

"kya matlab ?" woh ulajh ki gayi. "yeh kaise ho sakta hai ke aik hi safhay ka aik din mein liya matlab badal jaye?"

"agar yeh nah hota toh kya tum aaj is kitaab ki taraf yun khinchi chali aati?"

"Tum waqai sach keh rahi ho?" woh andar hi andar khauf zada bhi thi.

"Tumhe shak hai kya?"

"nahi, magar tum mujhe yeh kyun de rahi ho? tumhara is mein kya faida?" apni hisab mein mehmil ne khasa aqal mand wala sawal kiya tha.

"mera hi toh asal faida hai." woh phir usi pur isaraar tareeqe se muskarayi." jo kuch tumhe haasil ho ga, uska aik share to mujhe hi jaye ga."

"share?" woh dang reh gayi. "kya matlab? kitna share? kitne percent?"

"shayad aadha shayad isse kuch kam. maloom nahi, magar yeh tumhara masla nahi hai, mera hissa mujh tak pahonch jaye ga. yeh kitaab khud mere paas aakar mujhe mera hissa dilwayegi."

"acha." woh ajeeb hairat me thi. "phir mein yeh le lu."

"pehle khoob achi tarah soch lo."

"sab soch liya hai." Woh taizi se boli aur kitaab par haath rakha, jaise wo usay wapas nah le jaye.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: 14 hours ago ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

MUSHAF (by Nimra Ahmed)Where stories live. Discover now