Chapter 77

450 141 5
                                        

At night,

Veer came out of the bathroom and saw ruhi sleeping on the bed and aditi was busy with a file.

Veer : what are you doing baccha?

Aditi : kal ek important surgery hai so ussi ke details padh rahi thi, veer mujhe kal thoda late ho jayega hospital se aane mein toh aap jaldi aa jayenge.

Veer : I am sorry baccha but kal meri bhi ek bohot important meeting hai, japanese delegates ke saath video conference hai, aur phir kuch important paperwork hai usme der ho jayegi, I have to be there.

Aditi : oh god, usually main badi surgeries commit nahi karti lekin yeh important thi isiliye maine haa keh diya, aapse puch lena chahiye tha, ab dadi akele kaise handle karegi ruhi ko, main kisi aur doctor se keh deti hu...

Veer : ek second don't worry...itna stress kyu lena hai baccha...main kal late hi jaane wala hu, toh ruhi ko office le jaunga apne saath...

Aditi : veer lekin...

Veer : pehli baar thodi aa rahi hai isse pehle bhi toh le gaya hu, aur staff ko toh tum jaanti hi ho, isiliye tension mat lo, I'll handle okay...aur kuch hua toh dadi hai na...

Aditi : okay...

Veer : waise aaj madam jaldi so gayi..

Aditi : soyegi hi na, apne nanu nani ke saath itni masti jo ki hai aaj...sachme tornado paida kiya hai maine bhi...

He chuckled...

Aditi : hasiye mat..room ka haal dekhiye...chalte waqt neeche dekh kar chalna padta hai ki kahi koi toy pair mein na aa jaaye... khelti sirf apni doll se hai lekin saare toys bikher degi...ab sabkuch clean karke sona padega subah uth kar zara bhi time nahi bachne wala...

Veer : come on I'll help you.

She nodded.

As they were picking up the toys, he pulled her by the waist.

Aditi : veer yeh koi romance karne ka time hai..!!

Veer : sabse pehle toh romance karne ka koi time nahi hota, and don't be so boring baccha...

Aditi : kabhi toh serious ho jaiye...

Veer : I am very serious for you meri jaan from day one...

She blushed and hit him playfully making him chuckle.

Veer : kaam hume roz karna hi hai, thoda time khud ke liye nikalna chahiye baccha, humare liye nikalna chahiye, tumhe yaad hai 4 saal pehle...

Aditi : kaise bhul sakti hu, almost hum alag hone wale the...

Veer : aaj bhi uss baat ka bohot regret hai mujhe...baat bohot choti thi lekin humare ego ne usse bada bana diya aur reason kya tha ki hum ek dusre ko time nahi de paa rahe the...aur jab woh sab solve hua tab dadi ne kaha tha yaad hai na...

Aditi : haa unhone kaha tha ki, ghar par enter hone ke baad, saare tension, saare kaam, saara pressure sab bahar hi chod aao, woh sab ghar laane se ghar sirf barbad hota hai aur kuch nahi...aur humne kiya bhi hai aisa humesha...

He smiled.

Veer : aur aage bhi karte aayenge... kitna bhi work load ho ek dusre ko time dena nahi chodenge.

Aditi : kabhi nahi...ab I think hume so jaana chahiye aapki princess uth gayi na toh usse wapas sulane mein puri raat nikal jayegi...

He nodded..!!!

****************************

The next morning, aditi was making ruhi ready.

Veer : baccha you'll be late...jao main ready kar dunga...

Aditi : haa bass ho hi gaya hai, yeh lijiye...

He took ruhi...

Veer : my princess is ready to go with papa...

Aditi : accha veer maine ruhi ka milk bottle, apple puree aur brocolli bites ready kar diye hai, aur...

Veer : aditi I know everything, tum yeh teesri baar bata rahi ho, don't worry, ab jao warna late ho jaogi...bye, take care of yourself.

She nodded and moved towards the door to leave when...

Ruhi : ma..maa...

The time was stopped for aditi...ruhi called her mumma for the first time, the best moment of the mother's life.

She ran to her and picked her...

Aditi : baby...veer aapne suna she called me mumma...

He nodded with a smile.

Aditi : baby say mumma again... please..

Ruhi : ma..maa..

Veer : proud of you princess bohot jaldi sikh rahi ho...kal papa aur aaj mumma..

He kissed her forehead.

Aditi : yeh koi time hai baby emotional karne ka mumma already late hai...

He chuckled and took her.

Veer : jao ab, raat ko celebrate karenge..

Aditi : okay take care and all the best for the meeting...

Veer : you too..!!!

She left..!!!

***************************

Veer entered the office with ruhi...

Akshat : arey meri angel aaja chachu ke pass...

He took her.

Veer : tu yaha kya kar raha hai...

Akshat : woh main free tha...

Veer : kab nahi hota..

Akshat : chup kar...free tha aur aditi ne bataya aaj ruhi tere saath office aane wali hai toh socha thoda time apni angel ke saath spend kar liya jaaye...

Veer : dusra namuna kaha hai?

Akshat : usse kuch zaruri kaam tha..

Veer : yeh humare dhruv mahashay ko kuch zyada hi zaruri kaam nahi aane lage aaj kal...

Akshat : point toh hai...lagta hai class leni padegi...main angel ke saath hu, tu jaa meeting dekh le..

He nodded..!!!

My World Revolves Around You Where stories live. Discover now