-5-

333 50 32
                                    

Ammi jaan ghar agayi thee aur wo kaafi weak lgrhi thee,islye maine socha ke apa bhi filhal ghar nai asakti islye mai do,teen din ke liye madrase se chutti le leti hu taake ammi ka khyal rakhu.

Aj hamida aunty bhi aane wali thee aur mai yahi umeed rkh rhi thi ke Allah kare ayadat ke ilawa rishte khud hi mana krden,kuch bhi baat bana den.

Aur ammi jaan ko phir mai khud baad mai araam se smjha dugi,aur wo yaqeenan meri baat nahi talengi.

Phone ki bell bajte hi mere hawas-e-khamsa saare ek sath harkat main agaye,kiuke mai janti thi is waqt aur koi nahi balke mere pyare baba honge.

ASSALAM.O.ALAIKUM kesi hay jawan ki beti ;) ?
Walaikum.Assalam!
Arreeeeee baba apko kese pata chala ke call maine uthai hay,ap ne tw ammi ke phone pe call ki thi naa! Aur maine to video call bhi nai recieve ki,voice pe baat kr rhe hain.
Haan bhaiee kya karu ab tumhari mohabat hi itni zyada hay mere dil main,beta ek kaam kro phone speaker pe daal do..thora sa enjoy krte hain ;)
Han beta tw main keh rha tha maine tumhare liye kuch bhejne ka socha hay wo bhi specially tumhari birthday pe ,Guess kro kya hay?
Umm...Mjhe nai pata na baaba ap hi batayen?!
Mai araha hun Wapas In sha Allah tmhari birthday se theek ek din pehle!
Chief ne hmain bohat zyada force kya hay ke ap chand din ke liye chutti le len wese bhi apki pyari beti ki birthday arahi hay,phir wapas ajayen 3-4 din main.

"Acha,Tw phir baap beti mil kr mjhe jalane ke mood mai hain.Theek hay krlain jo dil chahe,hmara bhi waqt ayega na tb apko dikhate hain... Meri tbyt khrab thi ek bar bhi call krke nai pucha kesi tbyt hay meri zoja mohtrma ki,meri ek hafte pehle birthday thi usko bhi bhool gye thay...arre wo tw choren,hmari anniversary jo ke kal hi thi,usko bhi bhool gaye.Ap se tw kuch baat krna hi fazool hay,kya shikwe karu unse jinki shikayat khud unhi se krhi hu"

Haaye meri pyari amma jaan,ap kitni sweet lagti hain jealous hoti hain tw,apki beti hi hu sotan wotan tw hu nai jo aesi dialogue baazi kr rhi hain.apki jagah apki jagah hay,Hay na baaba?

Haan bhaiee ab tw meri laadli ne kaha hay tw mjhe bhi kaan pkrne hi prhenge,aur wese tw mai hathyar nai rakhta...lekin ab tumhare samne 20 saal se mjbur hu,hmesha jhukta hi aya hu.Bolye meri zohra jabeen kya chahye apko?

Uff Allah,ap log romance ki batein baad mai kijyega!
Baba abhi rakh rhi hu mjhe ajeeb sa lgta hay aesi batein sunne mai,sorry islye mai call cut kr rhi hu.Allah Hafiz,apna khyal rkhen!!

Arre,Arre... Pagli ek number ki.
Itni hi sharam arahi thi tw apne kamre mai chali jati,batein sunne bethi kiun? Khud ka baat krke dil bhar gya na tw mjhe na krne dena tum kbhi,Badtameez!

Arre meri pyari amma jaan! Ab abbu ajayege na tw ap hi apne paas rkh lijyega,main kuch nai bolugi ;)

Chalo jao apna kaam kro,nautangi!

************************************

Mohammed Huzbaan,main ne apna naam badal lya tha.Naam hi nahi,meri pehchan mera deen sab kuch badal dya tha maine.Azaan ke liye.

Azaan ki mohabbat mere liye sirf mohabbat nahi,Tohfa-e-Khuda hay.

Mere dil mai usne apni esi jagah bana li hay ke jisko main chah kar bhi nahi hatta sakta,wo mjh per qabiz hay.Aur main chahta hu ke mai uspe bhi qabiz hojaun lekin ya namumkin hay.Aur namumkin ko mumkin sirf mera Khuda kar skta hay,sirf Wo!

Aj Khana-E-Kaba ke saamne main betha hua hu,Tahajud ka waqt bohat qareeb hay.
Meri ankhon mai ansoo ter rahe hain,main janta hun ke mera usse paana goya yun hay jese aag aur paani ka milna.
Lekin main himmat nahi haruga,meri mohabbat sachi hay,mera Khuda sacha hay.Uski Azaan sachi hay.
Aur mjhe ab sachai se mohabat hay.Sirf mohabat nahi,Be inteha mohabbat.
Isilye mjhe darr lagta hay,Be inteha hone wale jazbaat kisi ke upar agar ek baar haawi hojatd hain tw wo uske liye jaan lewa ban jate hain.Ya phir jaan jati hay ya phir apki izzat.
Be intehaa kuch bhi ho,bohat khtrnaak hota hay.
Ay mere Khuda! Tu do jahan ka Malik hay,Tere hath mai meri sanson ki daur hay,Tere hi bakhshe huay karam ki wjah hay ke aj mai Tere Habeeb S.A.W.W ki ummati mai shumaar hun.
Itna gunehgaar hu ke ro ro kar ansoo khatam hojayege magar shayad...shayad hi mere gunah.Magar Tu? Tu tw Kareem hay Mola,Wo Zaat-E-Paak hay Jiski Rehmat uske ghazab par bhaari hay.
Mere Khuda,Ya Ellahi! Tu meri madad farma,main uss larki ko paana chahta hu.Ek khawahish hay jo humari kamzori hoti hay,mjhe is kamzori ke sath jeena sikha de ya phir meri kamzori ko meri taqat bana de.

Tahajud ki namaz ke baad mai duaon mai mashgul ho gya tha.Pata hi nahi chala ke kab Fajar ki azaan hui aur Jamat ke sath prhne ka waqt ho gya.
Main foran utha qareeb hi ja kr thora zamzam ka pani piya,aur Namaz ke liye saf mai khrra ho gya.

************************************

Assalam.O.Alaikum Aunty!
Ab apki tabyat kesi hay?

Sajid ki awaaz sun kar mai ek dum chonk gayi,wese bhi cooking se mjhe had darja chir thi aur ab in mahashe ke aane ki wjah se mood ka aur satyanas!

Kher,Darood prhte prhte mai ne apna kaam jari rkha aur Allah Allah krke salan stove pe chrha dya.

Ab chai pani ka intezam krna tha,kiuke iska order ammi sahiba ki traf se kisi bhi waqt aata hi hoga,tw maine socha kiun na khud hi krlu!

(Shabaash azaan! Bohat honahar beti ho tum)

Apne khyalat mai hi apne apko thapki di aur chai bn bhi gyi,waah speed ho tw aesi!

Maine apna Hijaab orha aur chai aur biscuits tray mai saja ker ammi ke room ki traf chal di..

Dekha tw,
Mjhe herat ka jhatka laga aur mumkin tha ke mere hath se tray girjati jese dramon mai hota hay...Lekin ye drama nahi tha,haqiqat thi meri zindagi ki,ajeeb-o-ghareeb haqeeqat.

Kiuke samne Sajid hi betha tha aur ssath main Hamida aunty bhi thee,lekin wo blkl different behave kr rha tha jese usse kuch yaad hi nai ho.Ke kal usne mjhse izhaar kya tha.Lekin mjhe tw yaad tha aur Wallah! Baaz yaadein mittane ki koshish krne per bhi nahi mitt paati...

~See you on NEXT Thursday,not this coming week's...that's why I'm upto this chapter now, In Sha Allah : ).

Biha🌼

-Salaam! I guess story exciting ho rhi hay,hay naa? ;)
Aur ye naam Mohammed Huzbaan mjhe tw bohat cute laga,aur jee haan ye akaash hi hay.
Mazeed mai kuch nai kahugi wrna ap meri awam *°_°* hainn awam?  :'D hanjee awam! The most valuable one ;) ap log next Thursday nahi ayege prhne,aur aesa hua tw main naraz hojaugi :p

-Sorry peeps! You'll have to wait for long chapters.Till then enjoy :)

[DEEWAAR- The wall of Love] ✔ J.SeriesWhere stories live. Discover now