Quetta,Pakistan
24 hrs later :" Assalam.o.Alaikum Ahmed Sahab... Mjhe afsos hay ke main istrah apko khat ke zrye agah kr rha hu ke main apki Azaan ko yahan se door le ja rha hu.Main isse le kr Cape Town chla jauga aur jbtk apko ye letter milay tb tk shayad hum pohanch chuke honge.Wahan jane ke baad hmari dunya bilkul judaa hojayegi kiunke Azaan ap se rabte main nahi reh payegi.
Ghussa araha hoga apko,lekin iski wajah ek bohat bhayanak roop main mere samne hay jo main agar apko bata du tw shayad ap brdasht nahi krpayege.Main itna keh rha hu ke bus jistrah ap ne mjhe apne betay ki trah pyar dya hay main us pyar ki paasdari aur apke maan ki izzat krte huay apki beti ko isitrah chahunga jistrah main usse pehle se chahta tha.Hum wahan pr nikah krlege aur phir ek nayi zindagi ki shurua'at hogi.Lekin is sb main mjhe khud afsos hoga ke main apke pyar aur apki duaon ke saye tale apni Azaan ko rukhsat krke nahi leja sakunga.Insb ki wajah bus filhal ap itna jaan lein ke apki beti ki izzat ko khtra hay,Sajid. Mjhe mayun wali raat,wo mila tha.
Bus Uncle ap itna samjh lein ke bohat jld In sha Allah,apko apki beti se milwauga... Hamain duaon main zaroor yad rkhye aur aunty ko smnbhalye ga.Wo wese bhi Azaan ki mjhse shadi ke khilaf thee,aur ab mere aese achanak jane se unko takleef hogi.Pls,ap unka khyal rkhen.
Apka mjh pr bhrosa krna In sha Allah rayegan nahi jayega.
Allah Hafiz,Apka beta Huzbaan "Ye khat prhte huay meri ankhon main ansoo terne lage. Ye nahi tha ke mjhe Huzbaan pr bharosa nahi tha,ya mjhe apni beti ki zindagi ke liye khadsha tha,jistrah Huzbaan ne hmesha hmari family ke liye itna kuch kya hay aur Danish ko bhi pkrwane mai aur uski asliyat mere samne lane mai bhi issi ne madad ki,tw phir kese ye badal kr Khuda'nakhwsta meri Azaan ko kuch nuqsan pohnchayega.
Lekin Sajid? Sajid se kese khtra ho skta hay,wo tw hmesha Azan ki mohabbat ke dum bharte nahi thakta tha tw phir achanak us mohabat ki jagah ghussa aur jalan kese le skti hy,wo bhi iss had tak ke wo meri beti ki izzat pr aanch le aye... Ya Allah,kher krna.Meri beti jahan pr bhi ho uski hifazat krna,Beshak Tu hi hay wo zaat hay jo apne bndo ko ek maa ki bnisbat 70 gunah zyada chahta hay.Main apni beti ka mustaqbil,uski khushyan,uski zindagi Tere hawale krta hu!
' Kya keh rhe hain aap Ahmed ? Hamari beti? Kya hua usse,kahan hay wo? Azaan... Azaan... Kahan ho beta? Ye tmhare baba kya bole ja rhe hain? Tum iss waqt tw naha rhi hoti ho na awaz do andar se k tum yahin ho.Azaan?? '
Apni beghum ko aese hrbrate huay dekh kr mjhe bhi preshani ho rhi thi,kistrah mai btaun inhe ke Azaan Huzbaan ke sath rukhsat ho chuki hay.Kisi bhi waldain ke liye ye nihayat shrmndgi ka mrhaala hota hay jb unki beti istrah se shadi kre k kisi ko bhi koi ilm na ho... Lekin is sab mai uska koi qasoor nahi tha,aur na hi Huzbaan ka.
'' Beghum sahiba,hamari Azaan Allah ki aman main hay,jahan bhi hay mehfooz hay.Ap kiun pareshan hoti hain ? "
Unke shano pr shaistagi se hath rkhte huay maine unka rukh apni traf morra.
' Kya matlb apka,jahan kahin bhi hay?? Kahan hay Wo? Kahin Huzbann ne kuch ghalat.... '
" Ap bilawajah hi darr rhi hain aur fazool qisam ke andeshon ko paal kr khud bhi udas ho rhi hain aur mjhe bhi preshani mak dal rhi hain "
Ab ki baar mayusi meri traf qadam brhane lagi thi.Kisi baap ka itna kaleja nahi hota hoga ke wo apni beti ko itni asani se rukhsat hone de day.
*******************************************
Cape Town,South Africa
Maine Azaan ka hath apne hathon mai mzbooti se thama hua tha aur main isse sbse pehle yahan ke kisi hospital main lejana chahta tha kiunke shock ki wjah se wo abhi tk skte si ki kefiat main thi,aur na kuch bol rhi thi aur na hi shayd sun pa rhi thi. Aik zinda lash ki trah bus mera hath pkre mere sath arahi thi.
Hospital pohonch kr maine receptionist se emergency doctor ko call krne ke liye kaha jis ke baad kuch ghnto mai iska mayina shuru hua.
Doctor ne mjhe btay ke shock ki condition iske dimagh pr asar kfchuki hay aur mumkin hay ke isse wapas normal hone mai kayi din lgjayein.
Ye main kese brdahst krskta,kiunke mjhe oska mehram bn kr iske sath rhna tha istrah iske ashiq ke roop main nahi...
Doctor ki hidayat ke mutabiq main isse roz tfreehi maqamat pr lejaya krta aur uske sath istrah rhta ke main iska muhafiz bna rha hun,lekin main ye bhi janta tha ke ye sai nahi tha.
Maine 3 kmron ka appartment book kra dya tha,aur jismai se ek main rent pr dene wala tha aur baqi do mere aur Azaan ke liye tha.
Wo din ba din kmzor hoti ja rhi thi aur khane peene se tw bilkul us ne munh hi morr rkha tha.
Mjhe Ahmed sahab se kya hua wada yad araha tha,jo maine un se kya tha.Main apki beti se nikah kruga aur phir uska dehan rkhuga,ap mjhe apna beta smjhte hain na...
Nadamat aur shikast ke ansoo yaka yak tawatir se behne lage aur main apne dil ko halka krne ke liye namaz ke liye khra hogya.Salam pherte hi mjhe Miss Gloria ki cheekhne ki awaz ayi jis pr mai seddhe unke kmre ki tarf bhaga,
" Huzban She is attempting a suicide,pls go amd stop her pls "
Azan ke kmre mai dakhil hua aur isse pehle ke wo apni nas kaat deti,maine usko zordar thappar maara aur uske hathon se chakoo ko le kr jhatke se door phenk dya.
' Ye kya kr rhi thi aap Azaan??? '
Uske galon pr mere hath ke nishan surkhi mail hogye thay aur wo apne nazuk se chehre ko aik hath se choote huay dusra hath mere hathon pr rkh dya jo ke usse bazuon se jakre huay tha,aur jhatke se niche gira dya.
" Mjhe nahi jeena hay! Aap jayen yahan se Huzban,mjhe akela chor dain...mrne dain mjhe... Nai rhna hay zinda !! "
YOU ARE READING
[DEEWAAR- The wall of Love] ✔ J.Series
SpiritualKya Ye deewar mohabbat ki aar mai ayegi? Ya mohabbat ko apni aar mai legi? ********************* * Ek kahani mohabbat ki aesi bhi :) * Jab koi mohabat mai dagha de, Aur koi mohabbat se wafa kare, Jab koi dard ki wajah bane, Tw koi marham ki dua bane...