-37-

212 22 23
                                    

Mrs.Ahmed's POV:

Hospital pohnchte hi Huzban fauran receptionist ke paas gya aur usse kuch dabi si awaz mai puch'guch krne lg gya. Tqreeban 10-15 min baad wo kuch pursukun lgrha tha aur meri traf muskurate huay araha tha,

" Azaan ab theek hay maa, doctors ne isse ek miracle kaha hay wrna jistrah us ne stress lya tha... Wo trauma na sirf hmare bache ke liye blke uske liye bhi khtra bn skta tha... Allah ne meri mannat qabool krli "

Uski ankhon main khushi ke ansoo saaf dikhai de rhe thay aur woh kisi bache ki trah general ward ki traf dorr rha tha.

Azaan ko dekhte hi jistrah wo khush hua tha mera dil rashq krne laga tha ke Alhamdulillah meri beti ne achi qismat payi, aur usse dekhte hi mere kaleje main bhi thandak prr gyi thi.Itne arse se main betaab thi usse dekhne ke liye, meri gurya...

'Assalam.o.alaikum! Kesi hay meri gurya?? Aur maine tw suna hay ke meri gurya ab kisi aur ko bhi yehi keh kr pukarne wali hay... Hmm! '

Mjhe dekhte hi wo ek dum jazbat mai behne lagi, aur uss ne uthna chaha lekin Huzbaan ne usse bazuon se pakar kr phir se wapas laita dya.

*********

" Azaan ap apna khyal rkhna shuru krdijye warna iske liye main ab extra nazar rkhne ka soch rha hun ap pe. Ap tw mjhe kehti thi ke mai bcho jese behave krta hu aur apka kyaa, hainn?? "

Azaan uski traf dekh kr nazre jhukate huay muskurane lagi aur jese hi wo phir se uthne ke liye agay brhi, Huzban ne usse ankhen nikal kr ghoora. "Khabardaar jo tum ne ab uthne ka sirf socha bhi tw... Main apne roop main anay pr mjboor hojauga phir mat kehna ke hmare bache mai jinno wali qualities bhi ayi hain,phir jb jb wo apni choti choti ankhen kholega tw wo tmhe ghoor hi rha hoga soch len phir ap :p "

' ... Lekin main ab t... '

" Kuch lekin wekin nahi hoga bus ap araam krengi iska mtlb araam krengi. "

Azaan ke kaano ke paas akar wo phir se kuch kehne laga

' Aur haan mjhe itni bari baat na batane ki saza tw mai zaroor duga apko, flhal yahan sasu maa hain islye abhi kuch nahi krskta ;) '

Ye keh kr uss ne nrmi se uske gaalon pr atay huay baalon ko hataya aur pyar se uske gaalon ko chootay huay wahan apne honton ko chaspan krdya. Ye sb kuch ek palak jhapakne ki phurti se hua tha lihaza kisi aur insan ko smjhne ke liye ya tw baseerat e aala drkar hogi ya phir usse bhi ek jinn bnna hoga jo ke namumkin hay.

Huzbaan ke choone se Azaan bilkul gurya ki hi trah shrmane lagi jese wo usse pehli baar choo rha ho, lekin ye baat bhi hay ke pyaar ka lams hota hi itna haseen hay ke apke sare hawason ko ek sath jaga deta hay, aur khaas kr khoon ki gardish ko brhane ka kaam awwaliat pr hota hay.

Huzbaan kamre se bahar nikal kr ishare se Beghum Ahmed ko bhi apne sath bahar le aya,ye keh kr abhi nurse ko checkup krna hay tw isi time ko ganeemat jaan kr wo unhe kuch batana chahta hay.

Huzban ne unhe Sajid ke bare mai sb kuch bata dya kiuke ab wo isse apna beta tasleem krne lagi thin aur bilashuba ek maa ki trah uska farz bnta tha ke wo inhe sb sach btaye take phir rishton mai kuch krwahat ya ghalatfehmi ke paida hone ke chances na haun.

[DEEWAAR- The wall of Love] ✔ J.SeriesOù les histoires vivent. Découvrez maintenant