In which Sona & Jatin talk

2.3K 142 34
                                    


Sona and Jatin talk (same night)


Jatin: "So? How did it go?"

Sona: "Pehle tu bata tu yahan kaise? Baba ne force kiya? Tum sab ko mujh par vishwas nahi?"

Jatin: "Nahi. Tujhe lagta hai main force ho jaaunga? Main yahan hoon apni marzi se, aur Kaki ke salaah se. Par woh main tujhe baad mein bataunga. Ab bata, Dev se kya baat hui?".

Sona: " Kuch khaas nahi, Jatin......Obviously, mujhe dekh kar khush toh nahi the. Pehle toh hum dono chup the, kuch samajh hi nahi aaya, kya bolun. Phir Dev ne kaha ki saari galti meri thi aur unki galti nahi thi."

Jatin: " Really?! How can he say that? Obviously tu toh bahut naraaz hui hogi?"

Sona: " Naraaz? Nahi toh. Unhe khud maloom tha ki woh galat bol rahe the. Mujhe toh hansi aa gayi."

Jatin: " What?!!"

Sona: " Dekh Jatin duur baith kar mujhe ye sab soch kar bahut gussa aata tha par aaj jab Dev ke saamne baithi toh samajh mein aaya ki jo main soch rahi thi usme bahut difference hai."

Jatin: " Tu ye kaise kah sakti hai, Sona. Maine toh tum sabse yahi suna hai ki Dev bhayankar badtameez, arrogant insaan hai ."

Sona: " Main ye kaise kah sakti hoon? Kyunki main Dev ko jaanti hoon. Maa, baba, Sourav da, tujhse--- sabse zyada main Dev ko jaanti hoon. Haan woh arrogant hain, woh badtameez hain. Par aaj maine unko dekha toh mujhe ehsaas hua ki sirf maine suffer nahi kiya, unhone bhi kiya. Shayad mujhse zyada, kyunki mere saath toh tum sab the, mere dard ko apne dard se zyada mehsoos karne wale tum sab the. Par Dev ne isko akele hi jhela hoga kyunki uske saath toh kewal khudgarz log the, jinko Dev ne kabhi bataya bhi nahi hoga ki unhe koi taqleef thi. Aur mujhe maloom hai ki Dev ko emotions handle karna nahi aata hai; woh overwhelm ho jaate hain. Isliye main jo bhi soch ke aayi thi, maine woh nahi bola."

Jatin: " Sona, par paanch saal mein Dev change bhi ho sakta hai. Woh utna bechara nahi ho sakta jitna woh tha. He can hurt you again."

Sona: " Main ye nahin kah rahi ki Dev change nahin hue hai. Main ye kah rahi hoon ki unki kuch cheezen change nahi hui hain. Aur Jatin, mujh mein bhi kuch cheezein nahi change hui hain—main hamesha se Dev ko samajh pati thi, kai baar jitna woh khud ko samjhte the us se zyada. Aaj mujhe pata nahi kyun laga ki main aaj bhi unhe usi tarah samajh paa rahi hoon. Pehle bhi main Dev ko bina kisi reason ke hurt nahi kar sakti thi, aaj bhi nahi kar sakti."

Jatin: "Aur Sona ye kis wajah se?"

Sona: " Shayad insaniyat ki khatir. Jatin, tu aur main, logon ke dard se din bhar deal karte hain. Kya hum kisi ke bhi dard ko unimportant keh sakte hai? Kisi ke bhi dard se khush ho sakte hain? Phir chahe woh mera ex-husband hi kyun na ho."

Jatin: " Sona let me play the devil's advocate. Tere paas Dev ko hurt karne ka koi reason nahin hain? Toh teri saari history uske saath nil hai kya?"

Sona: " Jatin, Dev ne mere saath job hi kiya woh bahut galat tha; par maine toh usko ye bhi nahi bataya ki maine uski beti Soha ko janm diya. Ab tu bol hisaab barabar karne mein maine koi kasar chodi kya? "

Jatin: " Toh kya iska matlab tu apna divorce ka faisla badal rehi hai?"

Sona: " Nahi. Main faisla nahi badal rahi par main apna faisla Dev par thopungi nahi. Main ek adult ki tarah us se baat karna chahati hoon, aur phir ho sakta hai ki mutual consent se divorce mil jaaye.... Shanti se, bina narazagi, kya kaam aise nahin ban sakta?"

Jatin: " Sona, itna lively, itna animated toh maine tujhe bahut dino se nahi dekha. Main actually bahut khush hua ki tu ek mature way mein cheezon se deal kar rahi hai. Dekh, ye tere aur Dev ki equation par depend karta hai ki tum dono kya decision lete ho."

Jatin:-"Ab main tujhe batata hoon ki main kyun aaya. Teri maa aur mujhe hamesha se ye laga ki tu Dev ko leke kuch conflict mein hai. That you are unable to decide how to react to Dev. And that is why we wanted to make sure that you react the way it comes naturally to you and not the way Kaku wants you to. Because Sona, when you react as your father's daughter your reaction is different from when you react as yourself. And we were sure that it is best for you to react as yourself in this situation. Even from the perspective of Soha, you should not rub Dev completely the wrong way. Which is why I had come ."

Sona: " Thanks Jatin, main sach bataoon maine aise decide nahin kiya tha, par Dev ke saamne mujhe pata nahin kya hogaya. Par ab lagta hai jo hua, sahi hua. "

Jatin: " Haan, aaj tujhe dekh ke lag raha hai ki tu pehli wali Sona hai. Baat kar rahi hai, react kar rahi hai, aur sabse badi baat, nyay kar rahi hai."

Jatin: " Aur ek baat, Dev tera ex-husband nahin hai. Par woh tera kya hai ye tu hi decide karegi."

Sona: stood thinking deeply " Haan woh mere kya hai? Dev aap mujhe kyun confuse kar dete hain? Maine Jatin ko ye nahin bataya, ki aap ko dekh kar mujhe kuch bhi yaad nahi raha, main kyun hansi aur main kyun royi, dono mujhe maloom nahi, kyun mera dil aap ki taraf se gawahi dene laga? Kyun main aapko Soha ke baare mein bataa nahi paayi? Kyun mera gussa, meri narazagi, sab piche chup gaya? Kyun aapko kisi aur ke saath dekhna mujhe achha nahi laga? Jabki mujhe maloom hai ki hum dono ke beech mein nafrat ka rishta reh gaya hai. Aur hum dono aaj husband wife nahi balki kisi ka beta aur kisi ki beti ban ke reh gaye hain. Kyun, akhir kyun?

------------------------------------------------------------------------------------

Hello my dear readers, thanks so much for your generous response to this story. I hope I do justice to your faith. I have been on a holiday and have managed to post quick parts thanks to that. Sadly my holiday finishes today and off I go to work from tomorrow. So I will not be able to post really quick updates. However please know, that more than you may want to read this, I want to write this story. These two, Dev and Sona havent let me rest with sukoon.  I simply love your feedback and it helps me think and analyse the story much better. So please keep the faith! and read on!

Truly, Madly, Deeply- a Devakshi story.Where stories live. Discover now