Chapter - 7

1.2K 74 22
                                    

"Dulce et decorum est Pro patria mori."


"Naina... naina. Idhar aa jaldi." Yudi called her. It was their turn in the control room that day which they had set up in an abandoned store room behind the kitchen all thanks to Lt. Chaubey.

"Kya hua Yudi."

"Major Nair ko call aya hai.... Zara sun isay."

And he passed on the spare headphone to her. Together, they listened in rapt attention As Major Nair continued to speak.

"Major... humari baat dhyan se suno."

"Yes Sir, boliye."

"Hume lagta hai koi hai jo humari jad tak pahunche ki koshish kar raha hai."

"Lekin Sir, ye kaise mumkin hai? Aap tak pahunchne ki koshish karna wala insaan to pehle hi maut ke muh me ja chukka hai."

"Kya sabot hai iss baat ka Major ki Rajveer mar chukka hai? Lash mili thi tumhe jo tum keh rahe ho aisa? Aur ye mat bhulo ki Col Shakti Chandra humari qaid se farar ho chuke hain. Wo kisi se bhi jake mil sakte hain."

"Col. Chandra ne kam se kam KMA me to kisi se contact nahi kiya hai, Sir."

"KMA to bas ek base hai Major. Col Chandra intelligence se tallukat rakhte hain, ye mat bhulo. Hum abhi tak humare pakad me nahi aaye hain. Ho sakta hai ki isme Rajveer ka bhi haath ho."

"Sir, ye baat aap bhi jaante hain ki jeep kitni buri tarah..."

"Humari baat gaur se suno major. Ye waqt behes karne ka nahi hai. Rajveer ko tum utni achhi tarah se nahi jante jitna hum jante hain. Chahte to hum bhi yahin hai ki rajveer mar chukka ho, par fir bhi hum chance nahi le sakte. Rajveer maut ko bhi dhoka dene ki kabiliyat rakhta hai. Isliye hum chahte hain ki tum iss case ki chaanbeen fir se karo. Pata karo ki Rajveer ke sath ye hadsa kaise hua."

"Ji Sir."

"Aur dhyan rahe Major, ye kaam tumhe akele karna hoga. Samjhe na. Aur haan... unn adha darjan cadets pe bhi kadi nazar rakho."

"Wo 6 to kab ke tut chuke hain sir."

"Nahi Major... wo 6 tute nahi hain. Bas abhi khamosh hain. Kyunki waqt unke makul nahi hai. Par unki aankhon me rajveer ke liye jo tadap hai na, wo unhe iss case ki the tak le hi jayegi. Koi na koi tarika, iss case me koi na koi loophole wo log dhundh hi nikalenge. Aur waise bhi marne se pehle rajveer ne unhe kya bataya hai aur kya nahi hum nahi jante. Isliye hum risk nahi lena chahte. Aur agar Rajveer zinda hua to wo Captain Chauhan ya fir inn cadets se contact karne ki koshish jarur karega. Isliye nazar rakho unpe... aur agar jyada problem ki unhone to kya karna hai tum jante hi ho."

"Ji Sir."

"Abhi aadhe ghante me academy se nikal jao Major. Aur highway ki taraf jana. Wahan tumhe humara aadmi milega ek dusri gadi ke sath. Uske sath crash site pe jana taki kisi ko pata na lage ki tum kahan ja rahe ho."

"Ji sir."

"Good Luck Major."

And the call was disconnected.

Yudi and Naina looked at each other. They were too shocked to react properly.

"Col Shakti Chandra..."

"Kuch samajh me nahi aa raha. Ye kya chal raha hai, Naina."

"Tune call record kiya, yudi."

"Without fail. Par ab kya karna hai?"

"Ab... ab iss plan ka dusra phase shuru karne ka waqt hai.Humari khamoshi ko humari kamzori samajhne ki bahut badi bhool ki hai Major nair ne. Aur yahi galti hume iske khilaf sabut lake degi. Chalo, bakiyon ko inform karte hain."

From Dawn To Dusk - A Rajveer Naina Short StoryWhere stories live. Discover now