Apne mobile ko hathon mein mazbooti or qadre laparwai se daboche woh pichle 15 min se musalsal typing mein masroof thi
Ya Allah is larki ki aqal pe toh taale hi parh gaye hain, khuda jaane subah subah is afat mein aisa konsa zaroori kaam hota hai jo nashte k baad nhi ho sakta, Dadi jaan qadre nagawari se us se mukhatib hui thi'n magar woh toh duniya jahan se bekhabar apne mobile pe mu jhukaye un ki baaton ko hamesha ki tarah nazarandaaz kiye ja rahi thi
Array Ashraf kahan mar gaya? Jaldi nashta le aa mujhe apni dawai bhi leni hai phir, Dadi jaan apni puri kuwat se chilai thi'n shayad k Rimsha bhi unhe sir utha k dekhne pe majboor hogai
Ufff Dadi yeh itni zor se chilane ki kia zaroorat hai? Baat araam se bhi toh hi sakti hai.. why do you always prefer shouting instead of talking? Rimsha ko Dadi jaan ka aise chilana shayad nagawar guzra tha
Ay larki ek toh apni yeh angrezi tu mere samne na jhaara kar. Humare zamane k log kia Urdu bola karte thay k mano k Urdu adab k kissi shayar k mu se phool jhar rahe hon or ek tum log ho aj kal ki nasal, apni qomi zaban ko hi apni sharmindagi samajhte ho, Dadi ki Urdu ki tareefen jo shuru hui or Ashraf k nashta hazir karne tak chalti hi rahi'n agarcha Rimsha ko filhaal Dadi ki kissi baat mein koi khaas dilchaspi nhi thi woh toh apne mobile mein jhuki bht ehem masla suljha rahi thi
Jaldi jaldi nashte k 2, 3 niwale le k usne driver ko gari nikalne ka kaha woh janti thi k aj bhi uski mamma or papa araam se hi so k uthen gay or agar woh unhe khuda Hafiz kehne gai toh yakeenan unki neend mein khalal paida hoga tabhi hamesha ki tarah aj bhi woh Dadi jaan se sir pe hath phirwa k gate ki taraf chal di, woh peeche se Dadi jaan k kuch parh k us pe dam karne ki ahaton ko mehsoos karti mobile mein sir jhukaye agay barh rahi thi
Sheher mein naam or bht bara rutba rakhne wale Abdullah khan ki ek loti awlaad hone ka rutba Rimsha Khan ko hasil tha jis baat ka gharoor uski hikarat bhari nigah se le k us k pair mein pari hazaron ki qeemti chappal se bht araam se jhalkta tha
Abdullah khan koi paidashi raees ya sone ka chamach mu mein le k paida hone wale insan nhi thay unho nay jo kuch paaya tha apni mehnat or apni kabliyat pe paaya tha, bachpan mein apne maa baap k sath ek bht mushkil waqt guzar k jawani mein apne pairon pe khare hone k liye Abdullah khan nay mazdoori bhi ki thi or gaaliyan bhi khai thin
Kahi saalon ki mehnat k baad ek ehem maukaam hasil kar k unho nay apni maa ka fakhar hone ka saboot diya tha, bht saalon tak apni zindagi sirf maa k naam karne k baad akhir unho nay Maryam Akber se shadi ki. Maryam Akber bazat e khud toh ek achi khatoon thi'n magar unki maa ek nihayat hi lalchi or khudgharz insan thi us nay Abdullah khan ki dolat pe nagin ban k kabza karne k khoob paintre azmaye jis k nateeje mein Maryam ko apni maa se hamesha k liye kata taluk karna para
Shadi k 7 saal tak koi awlaad na hone k baad bhi Abdullah khan nay kabhi dosti shadi ka khayal bhi dil se na guzarne diya na hi kabhi Maryam k ehmiyat or rutbe mein kami ane di, mazeed 1 saal baad Rimsha ki paidash nay jese pure khan palace mein ek khushi ki leher dora di. Woh na sirf Abdullah or Maryam khan ki ladli thi bal k Dadi jaan ki bhi jaan thi
Har taraf se milne wale be ja pyar or har khuwaish ki waqt se pehle takmeel nay Rimsha pe kuch acha asar nhi kiya, uski nazar mein apne se neeche logon k liay hikarat or jhunjlahat is qadar sama gai k Abdullah Khan bhi pareshan ho gaye. Apni chaheeti aulad ko samjhana ab un k bas mein na raha tha magar kahin na kahin unhe yakeen tha k Rimsha khud hi apni ghaltiyon ko samjh jae gi Magar ab tak yeh yakeen haqeeqat mein na badal paya tha
Gari mein bethi Rimsha musalsal bari becheni se baar baar apne mobile ki taraf dekh rahi thi. Uski becheni bta rahi thi k Rimsha khan ko kisi baat ka intezar hai, university ka gate dekh woh foran gari se utar k samne khare Asif ki taraf bhaagi thi "yr Asif kia khabar bilkul pakki hai?" Woh us k qadre kareeb hote boli thi
Haan yr bilkul pakki khabar hai, Asif us k balon ki khushboo ko mehsoos karte huay bola tha
Chalo phir aj toh maza a jae ga, garamjoshi se Asif k kandhe pe hath maar k woh uchli " woh sub you theek hai magar yeh sana kahan reh gai?" Asif ko jese kissi ka khayal aya
Ati hogi abhi tum toh chalo, andar chal k uska wait karte hain wese bhi yahan kafi dhoop hai or phir mera makeup bhi toh bachana hai mujhe Rimsha nay hath pakar k Asif ko andar jane k liye khincha toh Asif ko ehsaas hua woh uniform mein apni bari bari kaali ankhon pe nafasat se maskare or liner ka touch diye, lambi khari naak k niche honton pe pick lipstick lagye, kaano'n mein heere k halke halke se earrings or apni safaid gardan mein sone ki chain mein jare huay heere ko pehne is kadar jazb e nazar lag rahi thi k us k nazre'n hataana ek bht mushkil maamla lagta ho jese
YOU ARE READING
Tishna (تشنہ)
RomanceRank 14 in Romance 25/08/18 Rank 07 in Romance 21/10/18 Rank 02 in Novels 21/10/18 Rank 05 in Romance 24/10/18 Rank 03 in Romance 19/12/18 Rank 01 in Emotional 12/06/19 A/N People who want to read this novel in pure Urdu can find it in my profile w...