Kiski ijazat se?
Mujhe kissi ki ijazat ki zaroorat nhi hai, mera jo dil karta hai woh main karti hun mujhe kis k sath aana hai kis k sath jana hai kis ka hath pakarna hai kis k seene se lag k rona hai yeh meri apni marzi hai is mein mujhe tumhari ya kisi bhi insan ki ijazat ki zaroorat nhi
Alfaz thay k zeher, Hareb Shah ankhen mazbooti se band kiye sunta gaya
Zabt ka daman tha jisse woh thame huay tha par ab mehsoos hota tha k yeh daman hath se chutne ko hai
Ek lamhe ki khamoshi k baad Hareb ki awaz gunji thi
Rimsha.. main, lambi khamoshi k baad usne phir kaha..
Main tumhe talaak deta hun..
Rimsha ko mehsoos hua k 2 second ko us k qadam apni jagah hi jum kar reh gaye hon jab k Hareb Shah ankhen band kiye wohi alfaaz dubarah dohrane ki koshish kar raha tha
Rimsha Khan main tumhe.. alfaaz thay k halak mein atak k reh gaye
Bolo Hareb Shah, ruk kiun gaye? 2 qadam agay barhte Rimsha nay Hareb Shah ka mazboot bazu jhanjora
Main tumhe... Is se pehle k alfaaz ada ho paate Hareb nay apni mazbooti se band palken khol k Rimsha ko khud se door kiya or man man huay qadam uthata apne kamre ki janib tezi se barh gaya
Kaho na Hareb Shah, talaak do mujhe. Azaad kar do mujhe is ghatiya rishte se, is zabardasti k rishte se jisne mujhe mere baap k qatil k sath rehne pe majboor kar diya hai.. HAREB SHAH
Hareb Rimsha ki chilane ki awaz bht saaf sun sakta tha par na toh ussey koi fark pata tha na hi woh Rimsha ki baaton pe kaam dharna chahta thaHareb hamesha yaad rakhna kabhi bhi apne baap ki tarah aurat ko ruswah mat karna, bht jald aisa waqt aye ga jab main tumhare sath nhi hongi magar tumhe kabhi apne baap jesa nhi ban'na, Hareb Shah mera beta hai yeh tumhe sabit karna hai Hareb. Agar tum is azmaish mein haar gaye toh mujhse kabhi nazar mat milana
Ankhen band kiye Hareb Shah us waqt ko sochta chala gaya jab uski maa ussey apni goad mein litaye nasihat kar rahi thi
Kash k woh Rimsha na hoti.. ek ahh bhar k usne socha______________________________________
Saari raat khauf or gham k alam mein guzri toh algli subah sar dard se uska bura haal tha abhi baal samaite woh fresh ho k bathroom se bahar nikli hi thi k samne bed pe Hareb Shah ko bethe dekh ek lamhe ko thitak gai par ussey nazarandaaz karti sheeshe k samne khari baal sawarne lagi ussey is shakhs ka wajood bhi apne aas paas gawara na tha par raat k waqiye k baad ab woh Hareb Shah se kissi kisam ki koi bhi baat karne ki morawat nhi rakhti thi
Good morning sweetheart, angrai leta woh bed se uth k Rimsha k qareeb chala aya
Kafi fresh lag rahi ho subah subah. Rimsha k kandhe pe apni thodi tikate woh bola toh Rimsha foran phudak k us se alag ho gai
Yeh kia badtameezi hai Hareb Shah, tumhari himmat bhi kese hui mere qareeb ane ki. Rimsha ka ghusse se bura haal tha
Kiun, main kiun qareeb nhi a sakta, jab tum ek ghair shakhs k seene se lag k ro sakti ho toh mera toh jaiz haq hai, Rimsha k hath thamte usne 1 qadam agay liya
Tum mein or us mein bht fark hai, woh mera dost hai or tum--
Shohar hun tumhara, har tarah se haq mera hi ziada hai.
Yeh tumhari bhool hai Mr Hareb, Hareb k hath jhatakte usne rukh phera tum kabhi us k barabar nhi ho sakte woh har tarah tumse behtar hai, sapno ki duniya se nikal ao Hareb Shah or haqiqat ko pechano tum ek akele or buzdil insan ho Jo sirf ek mazloom insan pe zulm karne ko apni takat janta hai par yeh nhi janta k is taqat se woh kisi ka dil nhi jeet sakta
Huh, tumhe kia yeh ghalat fehmi hai k main tumhara dil jeetna chahta hun, tum jesi larkiyon ko main apne ghar k samne se na guzarne dun or tum toh alag hi sochon mein ho, meri baat suno Rimsha khan, ussey kandhon se thamte Hareb ka lehja achanak tez hua
Mujhe tumhari mohabbat ki zaroorat hargiz nhi hai haan albatta ab tum mere ghar mein mere naam pe reh rahi ho toh kuch baaten hamesha yaad rakhna, ainda mujhe apne us 2 takke k dost se compare karne ki hargiz koshish mat karna or na hi mujhse puche bina tum ainda ghar se bahar qadam nikalo gi, rahi baat humari shadi ki toh ab tum woh raaz apne dil mein hi kahin daffan karlo kiun k agar ek bhi baat yahan se wahan hui toh talaak toh bht choti cheez hai main tumhe barbaad kar k rakh dunga, samjhi? Ussey buri tarah jhanjor k chorte huay Hareb nay apni baat mukammal ki
Samjh gai, tum jesa shakhs is se ziada or kar bhi kia sakta hai. Hareb se door hote Rimsha nay apna kandha sehlaya
Bht kuch kar sakta hun or yeh tumhe waqt k sath sath khud pta chal jae ga magar filhaal yahan se utho or kitchen mein pohancho, mujhe office jana hai, ja k nashta tayar karo.. benayazi se kehta woh wapas bed pe ja betha
Apne mulazimo se kaho, main tumhari mulazim nhi hun.
Wese mulazim toh tum ho or ab officially tum hi mulazim ho, usne tanziya muskurahat se Rimsha ki janib dekha
Tumhara matlab kia hai? Rimsha ulajh gai
Matlab saaf hai k maine tamam mulazimo ki chutti kar di hai, ab zahir hai jab sara din ghar mein fasad hi hona hai toh nokron ko sunana zaroori nhi, phir tumhari ho na ho meri ek reputation hai jissey main loose nhi kar sakta, laparwai se kehta woh darwaze ki janib barha
Main oper ja raha hun, neeche aoun toh khaana tayar hona chahye. Mujhe dubarah na kehna pare
Rimsha us k chale jane k baad kafi dair khari apne naseeb pe matam karti rahi phir kuch soch k kitchen ki taraf barh gai
YOU ARE READING
Tishna (تشنہ)
RomanceRank 14 in Romance 25/08/18 Rank 07 in Romance 21/10/18 Rank 02 in Novels 21/10/18 Rank 05 in Romance 24/10/18 Rank 03 in Romance 19/12/18 Rank 01 in Emotional 12/06/19 A/N People who want to read this novel in pure Urdu can find it in my profile w...