Chapter 17

116 15 10
                                    

Aiman ussey kafi dair tak herat or ajeeb se andaz mein dekhti rahi. Phir agay barh k uska gaal choom liya.
Bohat khushi hui ap se mil k, jitna socha tha us se ziada khoobsurat hain ap toh. Mohabbat se Rimsha ko kehti wo taheed k liay apni maa ki taraf dekhne lagi.
Haan bilkul. Allah pak naseeb ache kare'n bohat khoobsurat hai humari bahu toh. Muskura k Rimsha ko dekhte Fatima begum nay ek baar phir us k sar pe hath phera.
Acha chale'n ab kia saari baate'n gate pe hi khare ho k karne na irada hai ap ladies ka? Usman nay beech mein kood'te huay kaha to sub muskura k agay ko chal diye jab k Rimsha apni jagah hi but bani khari rahi. Sub entrence paar kar k lounge mein dakhil ho chuke thay jab k Hareb Shah abhi tak khara Rimsha ki halat se mehzooz ho raha tha.
Ahista se us k qareeb atay Hareb nay uska gaal chua toh woh chonk k ussey dekhne lagi.
Kia baat hai? Tumhe meri family ka aana acha nahi laga? Hareb Shah nay ussey mohabbat se dekh k pucha
Nahi aisi to koi baat nahi, kia maine aisa kuch kaha? Rimsha us k sawal pe harbara gayi toh woh ussey ghor se dekhne laga
Nahi kaha to nahi bs maine socha shayad...
Rimsha nay ek nazar apne sath khare us shakhs ko dekha jo ab us k baalon ki laate'n apni ungli pe lapait raha tha
Bohat fazool sochte ho tum bilkul tumhare mu ki tarah, uski baat pe Hareb Shah khul k muskuraya tha..
Toh tumhe lagta hai mera mu fazool hai? Ussey apni ungli pe lipti lat ki madad se khench k apne qareeb karta woh uski rooh mein jhankne laga.
Haan g bilkul. Fazool mu or fazool soch, bal k tum pure k pure hi fazool ho. Rimsha uski ankho'n ki tapish apne chehre pe mehsoos kar sakti thi
Chalo phir dekhte hain kaun kitna fazool hai or kaun kitna kaaramad. By the way.. Aj se tumhe mere kamre mein hi rehna hai na? Sawaliya andaz mein puche gaye jumle pe Rimsha ki ankhen foran phati thi'n.
Woh uska chehra dekhne lagi. Jab k Hareb k chehre pe ek alag si muskurahat saaf wazeh thi.
Tum kia m... Mujhe kk.. Kuch jatane ki koshish kar rahe ho? Rimsha ka saans bikharne laga tha woh Hareb Shah ko ek tik dekhe gayi
Ahaan? Main bs tumhe yeh yaad dilane ki koshish kar raha hun k tum meri biwi ho or main tumhara shohar, or apne shohar ki shaan mein bolne k liye alfaz ka intekhab zara soch k karna chahye. Us k bazu thaame ussey khud se qareeb karte woh uski halat se mehzooz ho raha tha jab k Rimsha uski qaid me machalne lagi.
Hareb Shah choro mujhe.. Uski ankho'n mein dekhti woh faryaad kar rahi thi.
Agar tum kaho k ainda shikayat ka mauqa nahi mile ga toh soch sakta hun is bare mein. Ussey mazbooti se thaame woh ab bhi apni baat pe qayam tha
Rimsha sirf ussey dekhe gayi kaha kuch nahi toh woh khud ho goya hua..
Theek hai.. Mujhe or bhi bohat kaam hain toh tumhari is khamoshi ko main haan jaan k tumhe ek mauqa de sakta hun. Rimsha ussey bechargi se dekhti rahi woh chahti toh abhi chila k ya zor zabardasti se apna wajood Hareb Shah se azad karwa sakti thi magar ghar pe aye logo'n ki wajah se wo aisa karne se mehroom thi.
Rimsha bs ussey dekhe gayi kaha kuch nahi phir is nay Hareb Shah ki pakar khud pe halki hoti mehsoos ki toh foran ussey ek jhatke se door karti, khud ko Hareb Shah ki qaid se azad karwati woh launge ki janib tez tez qadam uthane lagi jab k Hareb Shah chand second wahi'n khara uski mahol mein bikhri khooshboo khud mein utarne laga..

Fatima begum or Aiman sofe pe Usman k sath bethe baato'n mein masroof thay jab Rimsha ko lounge mein ata dekh Fatima begum nay foran usse awaz di.
Idhar ao beta.. Mohabbat se apne paas bethne ka ishara karti'n wo us k qareeb anay ka intezar karne lagi'n .
Rimsha khamoshi se ja k un k barabar beth gayi. Ankhen musalsal jhuki hui thi'n. Na Jane kia tha jo usse palken uthane hi nahi de raha tha.
Dekho zara main to tumhara naam bhi puchna bhool gayi. Kia naam hai meri beti ka? Rimsha ki thori ko apni ungliyo'n se oncha karti wo us se puchne lagi'n
Rimsha, Rimsha Khan.. Baghair kisi tasur k us nay foran jawab diya tha jab k lounge mein dakhil hote Hareb Shah nay foran uski tasih ki.
Rimsha Shah. Usse ghorta hua wo apni maa k paas ja k beth gaya
Bohat pyara naam hai. Bilkul apne naam ki tarah khoobsurat ho, kisi phoolo'n k guldaste ki tarah hi nihayat khoobsurat.
"Har taraf khusboo bikhairti hui" Hareb Shah nay izafa kiya or Fatima begum ko kandhe se thaam k apne sath laga liya aise k uska hath kabhi kabhi Fatima begum ki dusri taraf bethi Rimsha ko choo jata.
Rimsha ussey ghoor k reh gayi.
Kia hua Aiman tum bohat chup chup ho? Wo jab se yaha'n ayi thi kafi chup chup thi tabhi Hareb Shah ka dheyaan uski taraf gaya tha.
Ghar pasand nahi aya tumhe? Hareb Shah nay behen ko khamosh dekh k pucha to wo ek dum harbara gayi.
Nhi nhi aisi to koi baat nhi. Mujhe to apka ghar bohat acha laga hai. Yeh kafi bara hai. Ghar or phir ek nazar apne bhai ko dekh k Aiman nay safayi pesh ki.
Mera nahi. Humara. Yeh humara ghar hai, "hum sub ka" Aiman ki baat pe Hareb Shah nay jese us ki ghalti durust ki.
G bohat behtar. Ek nazar be tasur bethi Rimsha pe daal kar wo phir zameen ko ghoorne lagi.
Woh soch rahi thi k kia yeh itefaq hai? Aisa bhi to ho sakta hai k usse ghalat fehmi hui ho ya usse theek se yaad na ho. Lekin nhi yeh koi bohat purani baat to nahi k wo bhool gayi ho ya chehra dhundla gaya ho. Usse sub ache se yaad tha. Woh janti thi k woh ghalat nahi hai. Sochte sochte ek baar us nay phir Rimsha ki janib nazar utha k dekha jo k ab khana lagwane ka keh k waha'n se jaan churwa k bhaag rahi thi.
Us k zehen nay usse ek baar phir Rimsha k bare mein kuch yaad dilane ki koshish ki jisse foran hi zabardasti jhatak k wo apni maa ko Hareb Shah ko pyar karta dekhne lagi.

Tishna (تشنہ)Onde histórias criam vida. Descubra agora