Chapter 19

84 14 10
                                    

Nashte k baad woh apne kamre mein a gayi thi jab k Hareb Shah office ja chuka tha, dinning table k elawa us ki baki sub se dubarah mulakaat nhi hui thi. Woh ek alag baat thi woh Fatima begum se dubarah milna chahti thi.. Ussey khud bhi samajh nhi a raha tha k un mein aisa kia hai. Lekin phir bhi bahar haal uska dil unki taraf khinchta chala ja raha tha.

Zohar ki azaan hui toh woh foran se azaan k baad washroom ki taraf bhaagi jese na jane kab se azaan ka hi intezar kar rahi ho. Khair yeh toh such tha hi k woh kafi dair se azan ka hi intezar kar rahi thi.
Wazu bana k woh foran kamre mein wapas ayi, apna dupatta khol k sar pe theek se sahi karne lagi or jaye namaz bicha k namaz ki niyat kar li..
Aj woh apne Allah se tamam baate'n karne wali thi. Aj akhir kaar ussey sukoon milne wala tha.

Namaz parh k us nay dua k liye hath uthaye toh pehle toh samajh nhi aya k kia kahe, kahan se shuru kare. Kuch dair yun hi apni khaali hathailiyo'n ko takti rahi, phir achanak hi dil bhar aya. Ussey samajh nhi a raha tha k akhir kia kahe, rona shuru kiya toh roti hi chali gayi lekin alfaaz ka kuch pata nhi tha. Bs dil mein ek hi baat a rahi thi. Mujhe dua mangni nhi ati ya Rab, mujhe apna haal sunana nhi ata. Lekin woh janti nhi thi k Allah toh dilo'n k tamam bhaid janta hai. Woh zaat toh baghair kahe bhi sun lene wali zaat hai. Wo nahi janti thi lekin us ki suni ja rahi thi.. Ussey sukoon milne laga tha. Us ka dil halka ho raha tha.

****

Hareb Shah nay ghar mein qadam rakha toh Aiman samne hi lawn mein phoolo'n k paas guthno pe bethi unhe dekh rahi thi. Kabhi ek phool ko chooti toh kabhi dusre ko dekh k khush hoti. Yu'n hi woh bohat dair se bethi phoolo'n ko dekh rahi thi ab achanak Hareb Shah ki aamad pe uth k andar jaane lagi k achanak Hareb Shah ko apni taraf ata dekh k kuch ghabra si gayi

Kahan ja rahi ho Aiman? Yahan ao. Hareb Shah ussey mohabbat se bulata khud lawn mein pari chairs mein se ek khench k beth gaya.

Yahan betho mere paas. Woh Aiman ko bula raha tha lekin wo samajh nhi pa rahi thi k kia kare jab Hareb Shah uth k us k samne a khara hua. Kia baat hai Aiman? Tum apne bhai k sath nhi bethna chahti'n?

Aiman Hareb k sawal pe ek dum bokhla gayi. Nahi nhi bhai, aisa toh kuch nhi hai such mein. Woh sharminda ho rahi thi.

Toh phir kesa hai? Mujhe bhi btao. Main yahan apni behen se baate'n karna chah raha hun lekin tum toh mujhe dekh k hi bhaagne ki koshish mein ho. Hareb Shah nay masnoyi narazgi se kaha toh Aiman ussey herat se dekhne lagi.

Nhi nhi.. Aisa nhi hai, ap please naraz mat hon. Aye'n hum beth'te hain. Sar pe dupatta durust karti woh ek kursi khiska k beth gayi toh Hareb bhi muskura k wahi'n ek kursi pe beth gaya.

Kia tumhe mujhse koi masla hai Aiman? Kia mere hawale se koi aisi baat hai jo main nhi janta? Hareb Shah narmi se us se puchne laga toh woh sar jhuka k chup bethi rahi.

Acha toh is khamoshi ko main haan samjhu'n? Toh ab agar koi masla hai to yeh bhi bta do k kia masla hai. Main puri koshish karunga is masle ko khatam karne ki. Kursi se taik lagaye woh sar jhukaye bethi Aiman ko se keh raha tha

Nhi. Masla toh nhi hai lekin.. Woh apni baat kehte jhijak rahi thi.

Lekin kia Aiman? Hareb nay uski jhijak mehsoos ki thi.

Mujhe ap se koi masla nhi hai.. Mujhe bs ap se zra darr lagta hai. Sar jhukaye kehti woh Hareb Shah k ghusse ka intezar karne lagi.

Kia? Dar lagta hai.. Hareb ka kehka fiza mein buland hua toh Aiman foran hairat se ussey dekhne lagi. Ek baat btao Aiman. Maine abhi tak tumpe ghussa kiya hai? Ya tumne mujhe ghussa karte huay bhi dekha hai?

Nhi toh.. Jawab mukhtasar tha.

Toh phir tum kiun mujhse darr rahi ho? Kia mere lambe lambe hath hain, lambe lambe daant hain ya pair peeche ki taraf hain mere? Itna khaufnaak hun kia main?

Tishna (تشنہ)Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang