Chapter 14

92 15 4
                                    

Hareb k ghar se nikalte hi Rimsha nay sub se pehle Hareb k kamre ka rukh kiya or phir us ki side table ka
Yahan wahan har taraf dhoondne k baad bhi ussey woh diary kahin na milli toh almari mein dhundne ka faisla kiya, almari mein bhi kapre iPad neeche karne k bawajood ussey woh diary kahin nazar na ai toh Rimsha ka tajasus kuch or barhne lga
Akhir aisa bhi kia hai us diary mein k woh ussey chupa k hi chala gaya
Jo bhi hai ho Hareb Shah main apne har sawal ka jawab dhoond nikalungi tum bhi kab tak mujhse yun hi bache raho ko Hareb Shah ek na ek din toh tumhe mere sawalon k jawab dene hi paren gay
Ek akhri nazar us k kamre pe dalti woh bahar nikal gai par zehen mein sochen ab tak muntashir thi'n, na jane woh apne sawalon k jawab chahti thi ya us se tehriri Iqrar, bs sochna shuru kiya toh ussi diary ko sochti hi chali gai

______________________________________

Mohammad Usman naam ki us laal file pe Hareb ki nazren buri tarah Jammi hui thi'n
Usman kiun? Hareb k toh zehen o guman mein bhi nhi tha k Junaid Usman ko bhi apne shak k ghere mein lega lekin kiun?
Usman k naam ki file baki tamam files k hata k nikalte huay uski sochen buri tarah muntashir thi'n
Apni seat pe beth'te huay usne woh file kholi or tezi se ek ek lafz parhna shuru kiya jese jese parde hat'te gaye Hareb k chehre ka rang bhi faq hota chala gaya

Manzoor Sahab ki 2 betiyan thi'n Fatima or Saba, Fatima begum intehai suljhi hui or beinteha tahamul se kaam lene wali khatoon thi'n jis k bar aks Saba nihayat hi ziddi or chichiri sabit hui thi
Fatima begum k liye ane wali har cheez Saba ko pasand ati or woh ussey apne naam kar leti, manzoor Sahab ki biwi ka inteqal ho chuka tha or ghar k halaat kharab hone k bawajood bhi manzoor Sahab apni betiyon ki har khuwaish ka khayal rakhte
Fatima begum toh un k halaat samajh jati'n par saba, ussey har cheez perfect chahye hoti, taleem se le k jahaiz jama karne tak ek ek kaam saba ne Fatima ki takkar ka kiya tha jese hi dono ka masters complete hua manzoor Sahab dono k rishton ki fikar mein lag gaye
Saba nay apna standard bht high rakha hua tha jab k Fatima begum apne mustakbil ko apne baba pe chore huay thi'n
Kuch arsa yun hi guzarta raha par achanak hi Fatima begum k liye ane wale beinteha ache rishte nay saba ko andar tak jhulsa diya or usne yeh demand rakh di k itne bare ghar mein Fatima nhi bal k Saba ki shadi honi chahye
Fatima begum toh hamesha ki hi Allah miyan ki gaye thi'n tabhi khamoshi se apne walid k faisle ka intezar karti rahin
Or akhir Faisal Fatima begum k haq mein hua or woh shadi kar k Akram Shah ki biwi ki haisiyat se Shah palace a gaen
Akram Shah k btane pe unhe maloom hua k woh unhe university k zamane se pasand karte hain tabhi un k ghar rishta bhej k mazoor Sahab ko Fatima ka hath dene pe uksaya
Waqt guzarta gaya or Akram Shah apni mohabbaton k khazane Fatima begum pay luta'te rahe tabhi Allah nay shadi k 2 saal baad dono ko aulaad k roop mein ek beta ata kiya jissey Akram Shah khud se barh k chahne lage
Waqt k sath sath Akram Shah apne business mein kamiyabi pe kamiyabi hasil karte rahe or sub ek haseen zindagi guzarte rahe yahan tak k unki shadi ko 6 saal guzar gaye, issi doraan manzoor Sahab ki wafaat or Saba ki talaak ne Fatima begum ko kafi had tak pareshan kar diya toh unho nay saba ko apne sath rakhne k liye Akram Shah se baat ki toh unho nay pehle toh saaf inkaar kar diya phir un k baar baar israar pe ijazat de di jis k nateeje mein saba Shah palace mein rehne lagi, Fatima begum har tarah se saba ka khayal rakhtin or Saba bhi un k ghar ka hissa banti chali gai
1 or saal guzar jane k baad Fatima begum nay mehsoos kiya k Akram Shah ki mohabbat mein kuch kami ane lagi hai tabhi woh un se ukhre ukhre se rehte or apne bete ko bhi khud se door rakhte, kabhi ussey chilla k khud se door karte toh tabhi daant k kamre se bahar nikal dene, fasle aye toh is qadar barhte chale gaye k Akram Shah nay apne chote mote kamon k liye bhi Fatima begum se baat karna mukammal rad kar diya issi doraan Akram shah k ek dost se saba nay shadi ki khuwaish zahir ki toh Akram shah nay khoob wawela machaya par karaamad sabit na hua k Saba nay Akram shah k dost zahid se court marriage kar li
Jis din saba nay shadi ki or unka ghar chor k gai ussi din Akram shah nashe mein dhut ghar kafi dair se aye, Fatima begum jo pehle se hi un k intezar mein bethi thi unhe dekhte hi ghusse se aag bhagola ho gaen, jis ki katai koi parwah kiye bina Akram shah ulta un pe charh dore k tumhari manhoosiyat ki wajah se woh mujhe chor k chali gai main tumhari jaan nikal lunga
Woh pehla din tha jab Akram shah nay Fatima begum ko bedardi se peeta or phir nashe mein dhut so gaye, is k baad yeh roz ka mamool ban gaya
Akram shah sharab k nashe mein dhut ghar ate, Fatima begum ko maar peet k so jate
Is baat k asar un k bete pe yun para k jab us ne hosh sambhala toh khud ko apne baap se door or maa k bht qareeb paya
Fatima begum apne bete ko duniya jahan ki achaiyan dekhatin par uska demagh bhi kuch alag hi tha, ziddi or akhar magar maa se beinteha pyaar or mohabbat karne wala jab k baap se nihayat door
Jab unka beta 8 saal ka hua toh ussey hostel bhej diya gaya tabhi Fatima begum ko ilm hua k Akram shah aj kal kuch or chakron mein pare huay hain jis mein woh kissi larki k sath involve hain
Woh khud Akram shah se kuch bht Zaroori baat karna chahti thi'n tabhi himmat kar k us raat un k kamre mein gaen, kahin na kahin un k dil mein tha k shayad aj sub theek ho jae or Akram shah wapas un k ho jaen par kamre mein qadam rakhte hi Akram Shah nay unhe talaak k kaghazaat pakra diye
Maine signature kar diye hain aj se tum meri taraf se azaad ho, or rahi baat mere bete ki toh woh mere paas hi rahe ga ziada kuch koshish ki toh tum janti ho mere talukat is liye tumhari izzat issi mein hai k chup chaap yahan se bina kuch kahe khud hi chali jao, jitna paisa tumhe chahye hoga main dunga papers k sath check bhi hai fill kar k de do
Fatima begum you unhe khari dekhti hi reh gaen, phir araam se check table pe rakh k papers ko dekha toh ankhon se ansu jari ho gaye woh kia kehne ai thi'n or kia ho gaya tha, mujhe ap k paison ki zaroorat nhi yeh apko hi Mubarak hon magar mere bête k apne jesa mat bnaye ga yeh meri ilteja hai apse, rote huay woh itna hi keh paen or apne kamre mein a k apna samaan lapaitne lagin, ek ek cheez uthate unhe apne bete ki yaad satae janti thi k woh bebas thin k Akram shah ka mukabla karne ki himmat un mein nhi thi woh samaan liye bahar aen toh Akram shah lounge mein kissi larki k sath bethe hans rahe thay unhe dekh k khare huay toh woh rukh mor k jane lagin
Suno, Akram shah ki awaz pe woh thehrin
Huma chahti hai k main ussey mukammal itmenaan baksh dun kiun k ussey toh khushi k maare abhi bhi yakeen nhi a raha k main tumhe azaad kar chuka hun
Fatima begum nay mur k us aurat ki taraf dekha jo hansti hui Akram Shah ka bazu thame khari thi
Main Akram shah apne pure hosh o hawas mein Fatima begum ko talaak deta hun, talaak deta hun main Fatima tumhe talaak deta hun
Un k alfaaz pure huay toh Fatima begum ko laga woh jese apni akhri sansen abhi issi ghar mein le lain gi par kahan koi kissi k liye marta hai woh bhi ji gaen, saman uthaya or ghar se nikalti chali gaen
Peeche se bs awazen ati rahi'n
Ab toh tasalli ho gai na tumhe Huma darling
G bilkul, larki nay zor daar kehka lga k kaha toh Fatima begum nay ankhen meech li'n

Fatima begum ka is duniya mein koi kareebi rishtedaar toh raha nhi tha tabhi kuch arse k liye apni door ki khaala bano k paas a gaen
Khaala ki bahu ka kuch din pehle hi inteqal hua tha or un k bete Shaheer shadeed zehni dabao k bawajood apni 9 saala beti Roman k sath har waqt baaten karte rehte
Khaala ko unhe dekh dekh k afsos hota rehta k woh apni beti k elawa or puri duniya faramosh kar bethe thay unhe shayad Roman mein apni biwi ki jhalak nazar ati thi tabhi har waqt ussey seene se lagae rakhte
Waqt guzarta raha or Allah nay Fatima begum ko jeene k sahare k roop mein Usman se nawaza
Dekhne mein woh hu ba hu apne baap Akram shah ki shakal o surat ka Malik tha, shakal mein mushabihat apne bhai se bhi is qadar thi k kabhi kabhi Fatima begum bhi ussey dekh k apna pehla beta samjhti, tabhi toh har waqt Usman ko us k bhai ki baaten or qissey sunati rehti'n yahan tak k Usman mein apne bhai se milne ki ek khuwaish zor pakarti chali gai
Usman 6 saal ka tha jab khaala bano ki tabiyat intehai kharab hoti chali gai or unho nay apni akhri khuwaish k tor pe Shaheer or Fatima begum ki shadi ki khuwaish zahir ki toh Shaheer or Fatima begum dono hi pehle toh kuch na bole par khala bano k liye yeh khuwaish bhi puri kar di
Nihayat sadgi se ki jane wali shadi k valime k 2 din baad hi khala bano zindagi ki doar haar k khaliq e hakiki se ja milin
Shaheer pehle toh Fatima begum se kuch khiche khiche rehte magar jald hi apni beti Roman k liye Fatima begum ka had darje pyar or shafqat ka bartao dekh k khud hi moam ho gaye or sub ek family ki haisiyat se hasi khushi zindagi basar karne lage
Usman chu'n k hamesha k Mohammad Shaheer k samne hi raha tha or unhe hi hamesha se apna baap manta aya tha tabhi us ka naam Usman Shah k bajae Mohammad Usman kar diya gaya
Zindagi k bht se din aise hi guzarte chale gaye yahan tak k Allah nay Shaheer or Fatima begum ko ek beti k tohfe se nawaza or un ki khushiyan dugni ho gaen choti si Aiman mein masroof ho k bhi Fatima begum apni sub se pehli aulaad ka ghum seene se na nikal paen or jab mauqa milta Aiman or Usman ko un k bare bhai k bare mein btane lagtin
Shaheer Fatima begum ki khushi mehsoos karte huay hamesha ki unki baaton mein khud bhi dilchaspi lete
Zindagi yun hi hansi khushi guzarti par Allah Pak ko shayad kuch or hi manzoor tha
Usman k MPhil karne k baad achanak hi Mohammed Shaheer ki dil k dore se hone wali maut nay sub ko ek gehra sadma diya tha magar waqt kahan kissi k liye rukta hai, yahan bhi waqt guzarta gaya
Fatima begum saara saara din jaae namaz pe guzar deti'n or usman apne business mein ko agay barhane ki koshishon mein lga rehta, Roman ki shadi Shaheer apni zindagi mein hi kar gaye thay par nawasi ko dekhne ka khuwaab pura na kar paye or un ki wafaat k 5 maah baad Roman ek pyari si gurya ki mamma ban gai
Aiman ko parhai ki saari zimedaari Usman k kandhon pe thi jisko usne hamesha apna farz samajh k pura kiya magar ek kaam abhi baki tha jissey woh apni maa ka haq samajh k pura karna chahta tha tabhi din raat mehnat kar k Usman nay apna business uthaya or agay barhta chala gaya Roman k kehne pe usne us k shohar ko bhi apne sath company mein rakh liya par us k paison mein ghaple ka pta chalte hi ussey afsos toh hua magar behn k mu ko chup betha raha phir wese bhi yeh us ki maa ki parwarish thi k kissi k sath kabhi bura nhi karna chahye or Allah maaf karne walo ko pasand karta hai

Or woh apni parwarish mein puri tarah kamiyab rahi'n thi'n

______________________________________

Hareb nay file band ki toh uska demagh buri tarah saen saen kar raha tha aisa lagta tha jese abhi phat jae ga tabhi dard ki shidat ko kum karne k liye usne apna sir dono hathon mein pakar k mazbooti se jakar liya
Mobile pe musalsal kissi ki call a rahi thi par woh sub se benayaz akela rehna chahta tha par par abhi toh ussey ek kaam or bhi karna tha
Intercom uthate hi usne foran Junaid ko office mein hazir hone ka kaha or thori hi dair mein Junaid Hareb k samne khara tha
Mr Junaid please sit down, Hareb k ishare pe woh us k samne seat pe betha toh Hareb uth k us k bilkul samne table pe a k beth gaya
Kia main jaan sakta hun yeh kia hai? Usman ki file Junaid k opar phenkte huay usne ussey buri tarah ghoora
G sir, yeh Mohammed Usman ki file hai unka bio data
Kia main puch sakta hun k Usman is list mein kiun hai? Hareb bamushkil khud pe qaboo paye huay tha
G woh new hai or phir ek middle class family se belong karta hai agar us ko sirf deal karni thi toh deal karta magar us ne toh ap se talukat bhi barhae hain, yahi baat mujhe uski taraf se pareshan kar rahi hai
Apko aisa kiun lagta hai k paise churane jesa ghatiya kaam Usman kar sakta hai. Hareb nay muthiyan bheenchte huay kaha
Sir yeh Usman jese log aise hi hote hain ap nhi jante yeh ameer logon se dostiyan barha k aise hi apne kaam nikalte hain, or phir Usman k behnoi k us ki company ko nuksaan pohanchane k baad toh ussey aise zaraye ki ziada zaroorat hai or
Hareb ka shayad sabar jawab de gaya tha tabhi ek zabardast kisam ka mukka Junaid k mu pe para k woh seat se larkharata hua mu k bal gira tabhi Hareb ki garajdaar awaz fiza mein gunji

Khabardaar jo mere bhai k baare mein ek lafz or kaha toh..

______________________________________

Next chapter will be out Soon❤️

Tishna (تشنہ)Onde histórias criam vida. Descubra agora