chand se ab ke to meri bhi adawat nikli
char so chandni ban kar meri chahat nikliKamre mein halki halki lagi ghazal nay Sardi k mausam mein khirki se andar ati hawa ko jane kiun pursukoon bna diya tha
Na jaane kab se woh aise hi chat ko ek tik dekh raha tha. Raat Kafi ho chuki thi magar neend toh jese us ki ankhon se koso'n door thi
Huh, kuch soch k ek jhatke se uth'te huay bari hi berukhi se sir jhatka tha usne
Sub ek hain. Sub ek jesi hoti hain, khuda husn toh de deta hai magar woh uski hifazat nhi kar pati'n. Woh mu mu mein hi barbarae ja raha tha jab darwaze pe dasktak hui Hareb Baba khana lga dun, bahar se ati Noor Alam ki awaz ussey zra bhali nhi lagi thi
Nhi. Woh bs ek lafz keh k phir khamosh ho gaya tha. Shayad us k demagh mein jo baat is waqt phansi hui thi woh khane se kai ziada ehem thi. Ek karwat le k sakhti se ankhen mundhe woh apni soch pe qaboo pane ki nakaam koshish mein lga hua tha magar ghazal ka ek ek jumla jese uski rooh mein utarta chala ja raha thachand se ab ke to meri bhi adawat nikli
char so chandni ban kar meri chahat nikli
hijar ki shab bhi qayamat se bhala kya kam ha?
kitni boseeda meray tan ki imarat niklidil ne samjha tha muhabt ki riyazat ko fazool
wo to meray leye har pal ki ibadat nikliab nhi shikwa koi ehad e guzaishta se mjhe
zindagi apni to khwabon ki amanat nikliye jisarat to faqat uskay naseeboon mein rahi
choona malboos ko purwa ki sharart nikliumar katii teri furqat mein bahatay aanso
yoonhi ujray rehna meri adat nikliwo meray lafzoon ka mafhoom samhj hi na saka
aey saba raigaan ye meri chahat nikliGhazal sun'te sun'te kab Hareb Shah ko neend nay apni baahon mein le liya kuch khabar nhi
___________________________________
Bare hi saleeke se tayar hui woh raat ki neend ko ankhon se bhagane ki koshish karti gari mein bethi thi. Raat ko party se toh woh or Asif jaldi hi wapas ho liye thay magar raaste mein Asif ki gari kharab hone k bais ghar ate ate 1 baje ka waqt ho chala tha, ghar ki dehleez pe qadam rakhte hi uska samna Mrs Abdullah se hua tha jo pareshan idhar se odher chakkar laga rahi thi'n. Daant ya maar toh Rimsha k liye koi dusri hi duniya ki baat thi kiun k na toh aj tak kabhi ussey Abdullah khan nay sakhti dikhai thi na hi Mrs Abdullah nay. In sub baaton ka hal yeh nikla k Rimsha ka doston k sath faltu ghumna mana kar diya gaya, raat na jane kab tak woh jagti rahi thi. Ajeeb ajeeb se kahyalat or kuch becheni thi jo ussey sone na deti thi.
Gari ki pusht se sir tikaye woh ankhen mondhe na jane kin sochon mein ghum thi jab us nay hath mein pakre mobile ki vibration mehsoos ki. Halka sa sir utha k woh message check karne lagi
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mit’ta
Bhegi Hoyi Ik Sham Ka Manzar Teri Aankhen. Messenge unknown number se aya tha magar yeh hai kon
Ho sakta hai koi relative ho.magar koi mujhe kiun yeh shair bheje ga woh mobile ko baghor ghurte huay sochun mein gum thi magar puchne mein kia harj hai dekhte hain kon hai. Kuch dair soch k usne message type kiya tha who is this? And why did you send me this message? Dusri janib se foran reply aya tha
Faqat is shauq se puchi hain saari baaten
Main tera husn, tere husn e bayan tak dekhun
Ajeeb pagal insan hai. Rimsha ko yeh shirana andaz ek ankh na bhaya tha kissi pagal shayar ki atma samajh k woh ussey ignore karne ka faisla kar chuki thi
ESTÁS LEYENDO
Tishna (تشنہ)
RomanceRank 14 in Romance 25/08/18 Rank 07 in Romance 21/10/18 Rank 02 in Novels 21/10/18 Rank 05 in Romance 24/10/18 Rank 03 in Romance 19/12/18 Rank 01 in Emotional 12/06/19 A/N People who want to read this novel in pure Urdu can find it in my profile w...