"Tere qaul o qarar se pehle
Apne kuch or bhi sahare thayOmer javaid ki dua karte
Faiz itne woh kab humare thay"Woh apni dressing table k samne khari thi jab usne apne aap pe ek akhri nigah dali, aj toh woh khud bhi apne ap ko is roop mein dekh k kuch heraan hi thi
Shadi se pehle kabhi bhi aisa mouka na a saka tha k woh is qadar nafasat se tayar hoti
Hamesha halki lipstick, ankhon mein kajal or khule baal uski tayari mukammal kar diya karte thay par aj toh khud bhi uska dil kiya tha ji bhar k aise tayar ho k jo dekhe dekhta hi reh jae or phir Rimsha ki yeh baat sahi bhi sabit hui, Hareb Shah cufflinks lagate huay apne samne khari us nazuk si jasamat wali larki ko is qadar haseen Roop mein dekh k wahin thitak k reh gaya tha
Siriyon se utarti Rimsha pe uski nazar kuch yun thehri k phir kissi or cheez ko dekhne ki chah hi na rahi ho jese
Halke magar nafees kaam wali dark red maxi pehne, balon ka joora banae kuch laten chehre pe daale, chehre pe nafasat se makeup kiye, hath mein clutch liye woh is kadar haseen lag rahi thi k kab woh Hareb k bilkul samne a khari hui ussey andaza hi nhi hua
Halka sa khankhaar k Rimsha nay apna rukh badla toh Hareb us k roop k seher se bahar nikal paaya, phir foran hi us k samne a khara hua.
Bht khoobsurat lag rahi ho aj, mujhe toh wese tum har roop mein hi haseen lagti ho par aj, aj kuch ziada hi khoobsurat lag rahi ho, Rimsha Hareb ki yu'n tareef pe palken jhuka k reh gai phir agle hi lamhe ankhen ghuma k ussey dekhne lagi
Ziada khushfehmiyan palne ki zaroorat nhi hai pehle hi bta rahi hun, tumhare sath jaane pe bs is liye razi hui hun kiun k mera khud bhi outing ka mood tha warna main apne sapne mein bhi kabhi tum jese insan k sath dinner pe na jaoun, Rimsha ki yu'n saafgoi pe Hareb k andar kuch toota par woh agle hi lamhe muskura utha
Acha bs aj toh aisi baaten mat karo na kam az kam aj toh mujhe is khushfehmi mein ji lene do k is nazuk si haseen larki ka yeh singaar khaas mere liye hai, Hareb nay uski ankhon mein dekh k kaha toh woh kuch khamosh si ho k agay barh gai
Tabhi Hareb apne coat ka button kholta uske sath chalta gari mein ja betha______________________________________
Kahi dino se uski yahi routine thi, office se ane k baad kuch khaaya toh kha liya warna Hareb Shah ko soch soch k sleeping pills le k so jata
Ghar k naukron nay bhi yeh baat note ki thi tabhi toh aj Yazdaan Warsi khud us se milne ghar aye thay warna business k masroof auqaat mein woh apni aulaad k liye time nikalen yeh namumkin k barabar hi tha
Hamesha ki tarah ssoji ankhon k sath woh apne kamre mein us frame ko hath mein liye betha tha jab halki si knock k sath Yazdaan Warsi us k kamre mein dakhil huay toh woh takreeban chonk k unhe dekhne lga
Papa ap? Frame side pe rakhte usne uth k un tak jane ki koshish ki par woh ussey bethne ka ishara karte khud hi us k paas a gaye
Kia baat hai Altamash? Kafi kamzor ho gaye ho.
Nhi toh shayad workload ki wajah se. baap ki janchti nigah dekh k usne foran bahana banaya
Acha? Workload ki wajah se tum sleeping pills lene lago gay is baat ka toh mujhe andaza hi nhi tha, us ki side table se sleeping pills ki bottle uthate unho nay kaha toh woh beikhtiyar nazren jhuka gaya
Mujhe samjah nhi ata Altamash k tum us baat ka matam akhir kab tak manate raho gay, ya toh tum ussey bhool jao ya phir jao ja k qatal kar do ussey ta k tumhe sukoon aye toh tumhara baap bhi chain se bethe. Ussey bazu se uthate woh dahare toh Altamash foran un k kandhe se ja lga
Main kia karun baba main khud ko bht majboor mehsoos kar raha hun mujhe samjah nhi ata k main kia karun, mujhse Hareb Shah ko us k sath yun khush nhi dekha jaata baba or main ussey qatal bhi nhi kar sakta, beikhtiyar us k ankhon se ansu behte chale gaye toh Yazdaan Warsi ka dil kissi nay mutthi mein le liya
Baba ap ek kaam karen, ap mujhe shoot kar den kiun k us k baghair main nhi reh sakta or na mujh mein itni himmat hai k main koi qadam utha sakun
Nhi mere bache, Altamash ko yu'n bebas dekh Yazdaan Warsi nay foran ussey bahon mein jakar liya
Aise nhi kehte mere bache, dekhna tumhara baap jisne tumhari har khuwaish puri ki hai woh tumhari yeh khuwaish bhi puri kare ga tum dekhna tumhara baap Hareb Shah ko is had tak haqeer kar dega k Rimsha khud ussey Chor k tumhare paas aye gi yeh Yazdaan Warsi ka waada hai tumse mere bache, wada hai.
Yazdaan Warsi nay ussey umeed dilai toh us nay un k gird apne bazu or mazboot kar diye
![](https://img.wattpad.com/cover/162920208-288-k126823.jpg)
YOU ARE READING
Tishna (تشنہ)
RomanceRank 14 in Romance 25/08/18 Rank 07 in Romance 21/10/18 Rank 02 in Novels 21/10/18 Rank 05 in Romance 24/10/18 Rank 03 in Romance 19/12/18 Rank 01 in Emotional 12/06/19 A/N People who want to read this novel in pure Urdu can find it in my profile w...