Chapter 3

141 20 35
                                    

Daanton mein pencil dabaye jaane kab se woh aise hi gum sum bethi thi. Rimsha ki engagement ko 1 mahina guzar chuka tha or tab se uski takreeban roz yahi halat thi, 3 classes pehle hi ho chuki thi'n or ab yeh 4th period chal raha tha jis mein bhi woh aise hi tasalsul se saamne ghoorne mein masroof thi jab k Sana tez raftari se lecture utarne mein masroof thi
Kia such mein zindagi kabhi kabhi imtehaan bhi leti hai? Ek lambi saans bhar k woh dheeme se lehje mein boli
Kia keh rahi ho yr Rimsha? Kab se dekh rahi hun aise hi bethi ho kia koi baat hai? Bare hi ghaur se ussey dekh k Sana nay pucha
Nhi yr mujhe kia ho sakta hai. Woh jese chonki thi, main toh bs soch rahi thi k kia zindagi kabhi such mein imtehaan bhi leti hai mu se pencil nikal k woh class se bahar jaate professor ko ghoor rahi thi
Haan yr kehte toh hain or maine toh logon ko yeh bhi kehte suna hai k Allah bhi apne bando ka imtehaan leta hai. Sana nay jese koi gehra inkashaaf kiya tha
Acha such mein? Woh chonki thi
Haan yr kehte hain aisa hota hai lekin kehte bhi hain toh kia. Woh apni baat se khud hi jhunjla gai thi
Toh imtehaan mein kia hota hoga Sana. Rimsha ki dilchaspi kuch barh chuki thi
Pta nhi yr, mujhe kese pta hoga mujhe konsa koi tension hai k yeh sub baaten samjhun achi bhali zindagi hai yeh sub toh woh sochte hain jin ko imtehaan dena hota hai humen thori. Tezi tezi apni cheezain bag mein bharte woh bole ja rahi thi
Magar yr kia yeh bhi mumkin hai k imtehaan darr ki Surat mein ho? Usne Sana ka hath dabocha
Hmm kia pta. Kandhe pe bag tangti Sana kab ki apni dusri class k liye nikal chuki thi magar Rimsha ki gum sum halat dekh k woh ussey yu'n hi chor gai thi

_____________________________________

Mohabbat?

Waqt ka zya. Baghair soche woh jhat se bola tha
Aisa kiun sochte hain ap? Rimsha ka dil jese kisi nay mutthi mein le k masal diya
Kiun k mohabbat jesi koi cheez is duniya mein exist hi nhi karti, yahan sirf "gharz" hai, jo kaam kiya jata hai kisi na kisi gharz se hi kiya jata hai. Hathon mein phone dabaye woh ussey sunti chali gai
Lekin mohabbat toh begharz hoti hai. Woh dheere se boli
Uski baat pe ek zor ka kehka Omer ki taraf se buland hua tha, array yeh kis ne keh diya tumse mohabbat toh hai hi khudgharzi ka naam. Gharz k baghair is duniya mein kuch nhi hai.
Woh kehta chala gaya
Toh is ka matlab mohabbat kuch hai hi nhi? Rimsha ki aankhen bheeg chuki thi'n
Hai bilkul hai kaha toh hai mohabbat gharz ki hi ek kisam hai. Ab choro bhi tum kia baaten le k beth gai ho. Woh ab Rimsha ki baaton se bezaar ho chuka tha
Hmmm. Woh gum sum ho chuki thi
acha suno tumhari graduation ho jaye gi is month or next month ammi nay shadi ki date ka socha hai. Woh ek dum se bht khush sunai diya
Itni jaldi? Rimsha ko dhaka lga tha
Haan toh? Tum nhi chahti'n? Woh dheere se bola
Chahti toh main bht kuch hun magar filhaal k liye yahi theek hai. Usne faisla sunaya
Haha khushi se kehka lga tha.
Mujhe ap ki khudgharz mohabbat qabool hai. Dheere se bol k woh phir kissi soch mein par gai thi, dusri janib se bolte Omer k ussey chand hi alfaz samjah a paye thay
Main aj hi Fakhar or Hareb ko btata hun..

___________________________________

Club mein bethe kafi dair se fakhar or Omer baaton mein masroof hawa mein dhuaa'n phoonk rahe thay saamne se atay Hareb Shah ko dekh dono bharpoor muskurae thay
Yr ab yeh kia hai? Aise achanak se kiun bulaya hai? Paas a k sofe pe beth'te Hareb nay thakan se 2 Second ko apni ankhen band ki'n
Yr ek good news hai fakhar takreeban chilla k khushi ka izhaar kar raha tha
Haan toh bolo apni ankhon k beech dono ungliyon se sehlate huay Hareb ankhen band kiye kiye hi bola tha
Main shadi kar raha hun or woh bhi next month. Omer ki baat pe phat se ankhen khol k woh bilkul seedha beth gaya tha
Shadi? Woh jese samajh na paya ho
Haan yr shadi, or woh bhi Abdullah khan ki ekloti beti se is k baad mera status or fame kitna oper jaye ga koi andaza hi nhi. Omer fakhar k kandhe pe hath rakh k bola
Fame toh khair tumhara wese bhi wapas a sakta hai agar tum apni awaz pe dehaan do in plannings se ziada. Hareb ki baat pe dono chonke thay
Nhi yr tumhe pta toh hai ab kuch bara karna pare ga aise fame wapas nhi ata, yeh showbiz hai yahan politicians se ziada politics khelni parti hai
Omer apne plan ko le k kafi our aitmaad nazar a raha tha
Kia fark parta hai shatranj ki har chaal kamyaab hone k liye nhi hoti Hareb kafi puraitmadi se keh k sofe se taik lga k ankhen mond chuka tha
Us ki ankhon mein kuch tha nasha ya pagalpan najane kia jo fakhar or Omer se woh kamiyabi se bacha nikla tha

Tishna (تشنہ)Donde viven las historias. Descúbrelo ahora