"Bait kar humare hathon pay ay ishq
Tarapna kisse kehte hain yeh ab hum btaen gay"Rimsha utho medicine le lo, Rimsha ko kandhe se hilata us k paas beth gaya toh rimsha foran uth bethi
Kia takleef hai tumhare sath? Kaha hai na nhi khani mujhe. Har cheez mein zabardasti mat kiya karo
Meri baat suno, yeh pakro apni medicine khani hai toh khao nhi toh marti raho aise hi bukhaar mein, ghusse mein us k hath mein medicine deta woh uth khara hua
Yeh bhi apne sath hi le k jao, Rimsha nay Jun hi medicine Hareb pe uchalne ki koshish ki woh foran chilla utha toh Rimsha ka hath wahin tham gaya
Nurse, nurse. Hareb ki awaz pe nurse bokhlai hui andar dakhil hui
G, kia hua sir? Hareb ko or phir Rimsha ko dekh k usne sawal kiya
Mujhe lagta hai ek nurse hone k naate ap ko is baat ka khayal rakhna chahye k patient medicine le raha hai ya nhi, ghusse mein woh phankara toh nurse ghabra gai
G, bilkul sir
Toh phir yeh ap ko nazar nhi a raha k meri Mrs apni dose nhi le rahi'n? Hareb ki baat pe nurse kuch ulajh k ussey dekhne lagi
G sir main khila deti hun, nurse bokhlai hui rimsha ki janib barhi toh woh foran seedhi beth gai
Ma'am ap ki medicine ka time ho gaya hai dawai le lain please
Mujhe nhi khani, is se mera dil kharab hota hai
Nurse nay ajzi se Hareb ki taraf dekha toh woh kandhe uchka k bahar nikal gaya, woh ache se janta tha hospitals mein nurses patients ko kese medicine lene pe razi karti hain tabhi 5 minute baad hi room se bahar ati nurse ko dekh k muskura utha
Ab se yeh apki hi duty hai bakaidgi se meri Mrs ko medicine dena or un ka khayal rakhna ab main ap pe chorta hun
Hareb ki baat pe nurse nay gardan hiali toh woh darwaza khol k andar dakhil ho gaya
Doctors k hisaab se Rimsha ko stress or depression ki wajah se fever ho gaya tha or weakness kuch na khane ki wajah se doctors k hisaab se agar woh time pe medicine or khaana kha leti toh theek ho jati jis k liye admit karne ki koi zaroorat nhi thi par Hareb k kehne pe hi ussey admit kiya gaya tha, woh janta tha uski sahi dekh bhaal yahin ho sakti hai
Hareb ko andar dakhil hote dekh Rimsha nay foran apna chehra dusri taraf mor liya toh Hareb uss k pehlu mein ja betha
Is liye kehte hain shohar ki baat maan leni chahye us k honton se pani k katre saaf karte woh muskuraya toh rimsha ka chehra ghusse se surkh ho gaya
Maine hazaar dafa kaha hai tumhe Hareb Shah mujhe hath mat lgaya karo mujhe ghinn ati hai tumhare in khoon se latpat haaton se
Hareb ki muskurahat jese ek pal mein ghayab hui thi
Kiska khoon hai mere hathon pe? Woh sub jante huay bhi us se puch raha tha jis pe Rimsha nay ek zehreeli muskurahat us pe uchali
Aj tak kitno ko maut ki neend sula chuke ho k mujhe apne baap ka qatal tumhe yaad dilana pare?
Ek ajeeb sa dard hua tha Hareb k dil mein uski baat pe
Maine tumhare baap ko nhi maara, woh bs itna hi keh paya
Kissi ki jaan sirf hath se toh nhi li jati na Hareb Shah, tumne apni ghatiya harkat se mere baap ki jaan li hai
Foran hi Rimsha ki ankhen gilli ho gaen toh Hareb nay beikhtiyar ho k us k galon pe behte moti apni ungliyon pe chun liye
Tum ghalat samjhti ho mujhe, maine kissi ka qatal nhi kiya. Behtar hoga tum mujhpe yeh ilzaam lgana band kar do
Na chahte huay bhi uska lehja sakht hua toh rimsha nay uske hath jhatak diye
Or jo tumne mere sath kiya hai woh bhi ilzaam hai? Woh toh such hai na Hareb Shah, maine kia bigara tha tumhara, kia janti thi main tumhe, nhi na? Toh phir kiun meri zindagi barbaad ki tumne?
Shikasta ho k bht se ansu uski ankhon se toot k gire toh Hareb Shah ko kuch or beqaraar kar gaye
Pehli baar zindagi mein Hareb Shah ko us pe beinteha tars aya tha, kese bachon ki tarah woh us k samne to rahi thi par woh ussey abhi koi jawab nhi de sakta tha
Woh chahta bhi toh kuch nhi keh sakta tha, zindagi mein pehli dafa dil k kissi kone mein ussey ehsaas hua tha k woh us k sath kuch bht ghalat kar chuka hai par ab pachtane se kuch hasil nhi tha, jo hona tha woh ho chuka tha or ussey sudharne ka ek akhri hal Hareb Shah bht ache se janta tha par abhi kuch darr tha seene mein jo ussey agay barhne se rokta tha
Rimsha, hareb ki awaz pe Rimsha nay sir utha k ussey dekha toh uski ankhon mein jaane kia tha k khud hi uska sir dubarah jhuk gaya
Main wada karta hun tum mujhe apne liye ek bht alag insan pao gi, ab meri zaat se tumhe koi takleef nhi pohanche gi tum dekhna main sub theek kar dunga, I promise. Uski baat pe rimhsa nay uski ankhon mein dekha toh kuch keh na saki bs sir jhukae khamosh ansu bahati rahi
Hareb Shah itmenaan se ussey dekhta raha phir ek lamba sans le k ussey ansu bahata dekhta raha
Woh mutmaeen tha kiun k woh ab jaan chuka tha k woh kia chahta hai.
Jis lamhe woh apne dil pe lage taale khol raha tha us hi waqt Usman darwaze se hi wapas palat gaya tha.
ESTÁS LEYENDO
Tishna (تشنہ)
RomanceRank 14 in Romance 25/08/18 Rank 07 in Romance 21/10/18 Rank 02 in Novels 21/10/18 Rank 05 in Romance 24/10/18 Rank 03 in Romance 19/12/18 Rank 01 in Emotional 12/06/19 A/N People who want to read this novel in pure Urdu can find it in my profile w...