Chapter 8

127 18 35
                                    

Seat ki pusht pe sir tikaye woh ankhen band kiye apni hi sochon mein magan tha jab intercom ki awaz pe usne sarsari si nigah intercom pe dalte huay secretary ko bahar intezar karte insan ko andar bhejne ki hidayat di or phir kuch sochne mein magan ho gaya
Halki si knock k sath darwaza khula toh Hareb Shah me chair pe seedhe beth'te huay samne dekha, lahem shaheem kad or kafi zabardast personality wale us bande ko Hareb Shah nay ek lamhe mein pehchaan liya tha tabhi uth k hath agay barhaya
Mohammed Usman hath agay barhate us naujawan nay apna taruf karwaya
Ghaliban hum pehle mil chuke hain Hareb nay tasdeek chahi
G bilkul magar mujhe umeed nhi thi k ap jesa bara businessman mujh jese aam insan ko pehchaan sakta hai Usman nay kaha toh Hareb nay halki si muskurahat k sath samne bethe Usman ko dekha
Nhi ab aisi bhi baat nhi, ap ne meri jaan bachai hai us din main kafi tension mein tha toh ap se theek se baat bhi nhi ho pai thi magar ab ap btaen kia lena pasand karen gay?
Takalluf ki zaroorat nhi, main bs shukariya ada karna chahta tha, jis tarah apki company nay meri company k sath is mushkil waqt mein yeh contract sign kiya hai main apka dil se shukarguzaar hun Usman nay ahista ahista apni baat mukammal ki
Nhi yeh itni bari koi baat nhi Mr Usman, agar apki company such mein imandari se kaam karti hai toh mujhe ap k sath kaam kar k bht khushi ho gi. Phir wese bhi duniya pe kuch haq suchai ka bhi hai, Hareb Shah nay intercom uthate huay baat mukammal ki or coffee ka order dete rukh phir se usman ki janib phera jo apni baat karne mein masroof tha
G bilkul magar aj kal achai or suchai ka zamana zra kum hi hai. Ache log aj kal race mein bht peeche reh jate hain Hareb Sahab
Baat toh ap ki theek hai par ab jab deal ho hi gai hai toh kiun na is race mein sath bhaag k dekhen? Kia pta is baar achai sub ko peeche chor jae Hareb nay kaha toh Usman nay zor daar kehka lga diya
Chalen theek hai yeh bhi kar k dekh lete hain, wese ap k baare mein jitna suna tha us se kafi ulat sabit ho rahe hain ap Hareb Sahab. Usman beshak baaton ka shauqeen tha 
Us ki baat pe Hareb nay ussey ghor se dekha 
Duniya k badalte rang k sath insan ko bhi badalna hota hai, jis se ap ne mere baare mein suna shayad usne mera koi or rang dekha hoga, benayazi se kehte Hareb nay kandhe uchkae
Bilkul mumkin hai k aisa hi ho, Usman nay kaha toh Hareb muskura k reh gaya
Kaash mein tumhara woh rang dekh paun Hareb Shah Jis ka main saalon se intezar kar raha hun.
Kis soch mein par gaye Mr Usman?
Kuch nhi bs yun hi, Hareb ki baat pe sir jhatak k Usman us k office ka jaiza lene lga

______________________________________

Woh ghar pohancha toh kafi khushgawar mood mein tha aj hone wali Usman se mulakat nay ussey kafi had tak andar se itmenaan bakhsha tha Fakhar or omer k sath baat cheet woh khud hi khatam kar chuka tha phir roz roz ki Rimsha k sath Chak chak bak bak k baad bila akhir woh aj kissi mukhlis insan k sath beth k aya tha
Beshak Mohammed Usman se baat kar k woh yeh andaza lga sakta tha k woh ek bht ache sense of humor wala akalmad or khushgawar mard hai or yeh baat kafi had tak such bhi thi
Bedihani mein uth'te huay Hareb Shah k qadam Rimsha k kamre k samne ja k ruke or phir woh bina knock kiye kamre mein dakhil ho gaya par qadam seeshe k samne khari Rimsha ko dekh k wahin ruk gaye
Ehtamaam se tayar hui woh Kali kurti kaale cigarette pant or gale mein kaala dupatta rassi ki tarah daale woh apne baalon ko sawarne mein lagi hui thi, masroof toh is bala ki thi k kab Hareb Shah us k sir pe pohanch gaya ussey andaza hi nhi hua
Gale ko khankarta Rimsha ki tawajah hasil karne ki koshish karta woh dressing table pe hi tik k ussey samne se dekhne lga
Yeh kia badtameezi hai? Uski harkat pe chonkti woh halaq k bal chilai
Is mein badtameezi kia hai? Apni biwi ko dekhna agar badtameezi hai toh koi or agar meri biwi ko seene se lga le toh ussey kia kehte hain? Us k bilkul samne khare hote woh uski ankhon mein dekhta gaya
Mujhe tumhari fazool bakwaas mein koi dilchaspi nhi hai
Rimsha nay palatna chaha toh Hareb nay uski kalai thaam li
Agar maine tumhe kuch dheel de di hai toh apni awkaat se bahar jane ki koshish bhi mat karna, mere har kaam se tumhari dilchaspi lazmi hai samjhi tum? Ainda yeh zubaan chali toh kaat k phenk dunga
Tum jesa mard or kar bhi kia sakta hai? Kisi masoom ko dhamkaane k elawa tumhe ata hi kia hai?
Masoom? Rimsha ki baat pe woh beikhtiyar muskura k talkh hua
Masoom or tum? Raat 12, 12 baje tak ek ghair shakhs k sath sarak napne wali larki masoom bhi hoti hai? Mujhe toh pta hi nhi tha.
Rimsha jo ab tak uski saari baaten bardasht kar rahi thi ek lamhe ko thitak k reh gai
Kia matlab hai tumhara? Na chahte huay bhi woh herat ko chupane mein nakaam thi
Apni yeh masoomiyat kissi or ko ja k dekhana jo tumhari in 2 kori ki baaton mein a bhi jae, par main.. main alag hun Rimsha khan, mujhe tumhari is masoom shakal se koi fark nhi parta. Uski kalai chor k woh ussey khud se door karte bola
Khamosh toh woh thi par ab ajeeb si kaifiyat se do chaar bhi thi, akhir Hareb Shah kis baare mein baat kar raha hai, akhir aisa kab hua hai k usne kissi shakhs k sath sarken naapi hon, akhir yeh shakhs ussey kab se janta hai. Kahi sawalaat dil o demagh pe chaye huay thay jab Hareb Shah ki awaz uski sama'at se takrai
Or yeh jo banao singhaar kiya hai na issey is kamre ki had tak hi rakhna warna mujhse bura koi nhi hoga, wese bhi kisi bhi ghairat mand mard ko yeh hargiz acha nhi lage ga k uski biwi kissi or k naam ka singhaar kiye us k ghar mein dandanati phire, ahista se kehte Hareb Shah nay rukh phera toh rimsha ek baar phir ussey ghoorne lagi
Itni hi ghairat thi toh mujhe kidnap hi kiun kiya tha? Rimsha nay kaha toh Hareb k demagh mein aag si jal uthi
Chand lamhe ki khamoshi k baad woh Rimsha ki janib palta toh ankhen ghusse se surkh ho chuki thi'n
Kiun k tum... Ussey mazbooti se pakarte Hareb nay kuch kehne ki koshish ki par foran hi Rimsha ko side pe dhakka dete jaldi se kamre se nikal gaya jab k Rimsha wahin khari ussey kosti rahi
Nhi abhi nhi, abhi kuch nhi jaan sakti tum.. kuch bhi btane se pehle mujhe tumse woh sun'na hai.. mujhe tumse.. inkaar sun'na hai

Tishna (تشنہ)Where stories live. Discover now