Mumbai
Akruti ; didi aap yeh kar rahi ho but it is very dangerous, uska baap chup nahi bethe ga
Disha : tu itni tension kyu le rahi hai teri behen abhi hai tere saath
Akruti ; agar phir se kuch ho gaya toh
Disha : teri tarah har ladki dar jayegi toh yeh akshay jaiso ko mauka mil jayega kisi se saath bhi aisa karega
Akruti hugs her with fear. Disha caresses her thinking something. Karan comes to meet them with Preeta and sighs Disha who leaves
Akruti ; sir aap (wipes her tears)
Karan : you know Akruti, tum sirf Preeta ya bhabhi ki behen nahi ho, you are the Karan luthra's fan aur aise mera naam kharab nai kar sakti
Akruti ; mein samjhi nai sir
Karan (puts hands on her shoulder) : yeh wali akruti ko main nai janta jo kamzor hai, kisi aur ko apni kamzori ka faida mat uthane do, tum dishab bhabhi ki behen ho jo har toofan se takrane ki himmat rakhti hai, aur karan luthra apni kisi bhi fan ko aise nai dekh sakte
Akruti (in tears) : karan sir aapko andaza bhi nahi hai ki usne kya hai hai mere saath
Karan : toh uska jawab wohi bhasha mein do jo uske jaise log samajhte hai
Preeta though is happy gets jealous at him and pouts when he looks at her
Karan ; yeh dekho, chehre ka rang kyu udd gaya tumhara, dekh toh aise rahi ho jaise maine akruti ko team ki physio bana diya
She fumes at him giving watch out reaction
Akruti : kya?
Karan ; kuch nahi teri yeh di na thodi dimaag se paidal hai, usse dar lagta hai agar main bhagwan raam se phir krishna kanaiyaa na baan jau lekin koi samjhao isse ki I am Krishna
Preeta ; Akruti zara peeche hatt kyuki yaha par shank bajne wala hai (removes her sandal)
Karan : areey yeh tum kya kar rahi ho, apne bhagwan ko juto se marogi sharam karo kuch toh
Preeta : Akruti hat beech mein se, warna tujhe bhi padh jayegi mere haato chal
"Areey mujhe kyu ball bana rahe ho chodho yar" Akruti gets irritated
In chaos both pushes Akruti who is about to fall but Rishi holds her from falling down. Both shares very passionate eye lock. He puts hands tightly on her waist
"Karan ke bacche tumhe chodungi nahi main, kya bole ki akruti tum aa jao field par aa ja sharam nai aati mere samne flirt karte ho" Preeta chases him with sandals
Karan : areey baccho kaise bhai aur fan ho bachalo mujhe iss pagal aurat se
Preeta ; pagal aurat? khudh ka mansik santunal hila hua hai aur mujhe pagal ruk jao, tum dono apni salamati chahte ho toh wohi par raho
Both nods fearfully but Akruti rolls the carpet
"Oouch" Preeta is about to slip and accidentally her sandal hits on Disha
Karan : oh no tumne meri bhabhi ko phir se chappal mari
Akruti closes eyes in fear and hides behind Rishi. Disha picks up sandal
Rishi : yeh kya kiya disha bhabhi ko chappal, aur phirse ka kya matlab
Disha : kya hai yeh ? kiska sandal hai
Karan : bhabhi dekhne mein toh kisi ladki ka lag raha hai na, hai na rishi
Rishi ; ha bhai meri aankhen toh bahut achi hai kisi ladki ke hi hai par kiske, bhabhi ke toh hai nai hai na
Akruti : main tumhar pityai kar dungi (whispers to him)
Rishi rubs his ears
Disha (makes crying face) ; tum sab hamesha aisa karte ho mere saath (gets in anger mode) kisne maari yeh chappal
Karan and Preeta points at each other
Disha : Preeta (says grinning teeth) tum bhi
Preeta ; sorry sorry woh, yeh sab tumhare iss devar ki vajah se hua hai
Rishab : karan? tum dono yaha
Karan : bhai mana ki yeh aapka sasural hai lekin meri sabse badi fan ka ghar bhi hai aur meri bhabhi ka bhi
Rishab : bhabhi ke devar, suna hai bahut maaza kiya hai shimla mein
Sameer : ha bhaiyaa bahut kyu karan bhai zara batiye na, Vihaan tu bol
Vihaan : aaj kal yadash thodi kamzor ho gayi hai yaar, tu hi bata de
Kritika : mera toh pehle hi recorder kharab ho gaya hai guys
Kunal : bhai kyu uss soti hui sherni ko jaga rahe ho yaar (sees Disha glaring everybody)
Disha : ho gaya circus pura
Rishab : tum kaha gayi thi
Disha ; police station, report file karane usse Akshay ke against
Rishab : suspend hone ke baad bhi
Karan ; bhai isme kya problem hai, hum thodi na darte hai uss bade logo se, dekh lenge sabko
Rishab : woh toh theek hai lekin uski power ko underestimate nahi kar sakte, agar disha ko suspend karva sakta hai toh pata nahi kya karega
Vihaan : lekin uske daar se hum chup nahi beth sakte (puts hand on Akruti's head) Akruti ki life ka sawaal hai
Jealousy ignites in Kritika's mind seeing Vihaan consoling Akruti too much
Roo ; jijs, you are right I am just waiting jab woh baap beta puri duniya ke samne jhuka kar chalenge, muh kaala kar denge
Kritika : Ruchika, yeh maazak ka waqt nahi hai
Rishab : ha woh, dad ne ghar pe puja rakhwai hai Ganesh utsav ki
Office
One of the employ informs Vikram about Disha filing case against Akshay of attempting rape on Akruti raging at her
Vikram ; lagta hai uss ladki ki akal abhi tak thikane nahi aayi hai suspend hone ke baad bhi
Man : sirf jab ghee seedhi ungli se nikal sakta hai toh ungli tedi karne ki kya zarurat hai
Vikram : kya matlab (realizes his meaning) ab samjha lagta hai tote ki jaan ko uthana hi padega, tab bhi main haat mein aayegi
Man : karna kya hoga sir?
Vikram ; Akruti ko utha lo phir dekhna kaise aayegi uski behen hamare pairo par naak ragardti hui samjhe
Man : ha sir, suna hai kal unke ghar ke puja hai wahi par yeh kaam kar denge
Vikram ; mujhe sirf woh sabut chaiye jo uss ladki ke paas hai aur mujhe woh zinda chaiye apne pairo par
Luthra house
The family is preparing for the Ganesh Utsav at their house. Rakhi does not show any work to Disha and instead gives to other girls
Disha sees the decoration and tries to put the flowers on entrance. She decides to do rangoli
Preeta : disha meri help kardo na woh sab na Shrishti kardegi, waise bhi yeh sab uska kaam hai
Disha goes with her and helps putting prayer indigents. Vikram's men sneaks inside the house posing as waiters
Prayer starts
Pandit : Rakhi ji, puja mein sabse pehle Rishab beta aur bahu ko bethna hoga
Rakhi sighs him to go
Rishab and Disha are performing prayer when one of the goon points other where Akruti is sitting next to Kritika
Billa ; woh jo laal dress mein (Akruti) mauka milte hi usse utha lena
Raghav misunderstands it to be Kritika who is wearing similar color.
YOU ARE READING
Preeran FF : Yeh pyar na Hoga kam (completed)
FanfictionTheme : Story is about five couples who goes through roller coaster ride of joy, emotion, heartbreak, adventure. happiness and tears. Karan and Preeta love is tested by fate on every stage by circumstances and enemies around. Under heavy storm all...