Part 87

728 51 12
                                    

Mumbai

Doctor : khabrane wali koi baat nahi hai, unka BP low ho gaya tha stress ki vajah se, isliye please make sure aage se dhyan rakhiye ga

Kareena : thank you doctor, pata nai meri beti ke andar itna zeher kaha se bhar gaya, woh kabhi aisi nahi thi itna gussa frustration

Rakhi : didi usse aaram karne dijiye, hum bahar chalke baat karte hai

Vihaan : aap sab jao mein yaha hu kritika ke saath

All leaves from there

Sameer : karan bhai woh

Karan : kya hai, bolna itna atak kyu raha hai

Sameer ; aaj maine kuch suna jo shayad bahut hi shocking hoga sab ke liye lekin kaise batau aapko ya kisi aur ko

Karan : muh se bol meri jaan, ek minute kahi tera phir se promotion toh nai hone wala, sammy kuch toh sharam kar yaha bhai ko bonus nai mil raha aur tu ek baad ke baad ek

Sameer : stop it bhai (says seriously) yeh mazak ki baat nahi hai, this is about Preeta bhabhi

Karan : what? kya hua hai preeta ko

Sameer : jab aap sab gaye the kritika ko bachane tab, sarla aunty yahi par thi aur (reveals what she said to Rakhi)

Karan : sameer tera dimaag kharab ho gaya hai, kya bakwaas kar raha hai tu (gets angry) aur zara aaram se bol agar kisi ne sun liya toh

Sameer : bhai i swear main sach keh raha hu, preeta bhabhi sarla ma ki beti nahi hai

Karan : yaar yeh baat agar preeta ko phanak bhi lag gayi toh usse kho dunga

Sameer : aap toh use sambhal bhi lenge, shrishti toh mar hi jayegi yeh sab sunkar pehle believe hi nahi karegi

Karan : no yeh baat toh main kabhi preeta ko pata nai chalne dunga

Karan sees Preeta reading book in room and have music in her ears. He takes the earphone from one side and hears it

Preeta : kya hai?

Karan : aise bekar gaane tum sunti ho, kya yaar meri saath rehkar kuch nahi sikha tumne (puts head in her lap)

Preeta : itni problem hai toh utho, mujhe sona hai

Karan : tumhari book baaki hogi na read karna, aaram se karlo main toh aise ho so jaunga, waise tum kya padh rahi ho

Preeta : kyu, tumhe kabse interest hone laga waise bhi tumhare palle nai padega okay so jao

Karan ; ab toh main jankar rahunga ki isme kya hai , batao jaldi se

Preeta : okay batati ho, yeh kahani hai do lovers ki jo milte hai destiny se, lekin dono kisi aur se engaged hote hai bahut problem aati hai unki life mein sabse badi jo ladki hoti hai usse pata hi nai hota hi ki woh adopte hoti hai

Karan gets shocked hearing her and gets up

Preeta ; kitni ajeeb baat hai na karan, matlab unhe batana toh chaiye na mana ki woh usse apni jaan se zyada pyar karte hai lekin usse bhi toh haq hai na

Karan ; chodho na yeh saari baatein, mujhe bahut bhuk lagi hai, chalo bahar chalke kuch khate hai lets go

Preeta ; lekin mein bana deti hu na

Karan : areey let it be, hum bahar chalte hai

Preeta : main bahut thak gayi hu karan please yehi beth te hai, lets take a walk in garden tum chalo I will get changed

Karan : okay jaldi aana (leaves kissing her cheek)

Preeta wears t shirt and half track pants, she goes to kitchen and makes milk shake for both of them and goes out in garden

Preeran FF : Yeh pyar na Hoga kam  (completed)Where stories live. Discover now