MumbaiIn next few days, Dulari gets successful in giving Shrishti sedative pills in her food and changes medicine into sleeping pills
Sameer : Preeta di mein keh raha hu kuch gadbad hai, matlab chachi ne kaha tha ki aise mein ma ko neendh jyada aati hai lekin, Shrishti ki haalat kuch aur hai
Preeta : ek kaam karo shrishti ko doctor ke paas lekar jao aur blood test karvao jo bhi sach hai woh samne aa jayega aur ha uski medicines jarur lekar jana
Sameer : ek kaam karo aap bhi chalo na mere saath
Preeta ; woh na meri shift bahut busy hai warna mein hi Shrishti ko lekar jati, tum ek kaam karo uska blood test karva do aur doctor ke mera number dena, mein phone par baat karlungi
Later Sameer takes Shrishti to hospital for check up.
Doctor : jaise ki aapne bataya, yeh medicines ko sahi lag rahi hai phir bhi mein Shrishti ka blood test karva leti hu
She takes blood of Shrishti and sends to lab.
Doctor : shaam tak mein aapko reports bata dungi
Shrishti ; thank you doctor
Sameer ; tum fikar mat karo, sab theek ho jayega (consoles her)
On way Shrishti collides with Akruti
Akruti (smiles at them) : hi, tum dono yaha
Sameer : woh Shrishti ko check up karnane aaye the
Akruti : how is the baby?
Sameer : all good, Shrishti mein gadi lekar aata hu
She nods. Akruti senses something wrong between them and asks her
Shrishti : ha sab theek hai, tum toh janti ho na Sameer kaisa hai pareshan ho jata hai
Akruti : lagta toh nahi hai, usse jyada toh tum stress mein lag rahi hai, anything I can help
Shrishti : no its okay, mein tumhe baad mein milti hu bye
Akruti : chalo mein tumhe bahar tak drop kardu
Shrishti : I will manage bye
House
Vihaan shares his problem with Shalini (his chachiji)
Shalini : maine tumse pehle bhi kaha tha ab bhi ke rahi hu, Kritika tumhari zimeedari hai, aur apni dosti se jyada shaadi par dhyan do
Vihaan : chachiji, aap janti hai ki mere liye dono rishte hi zaruri hai, Kritika ko mein kaise samjhau yeh baat
Shalini : Disha tumhari zimedaari nahi hai ab, woh apna khyal khud rak sakti hai aur mujhe nahi lagta usse bhi yeh jankar khushi hogi ki tumhari shaadi mein jo problem hai uski vajah se hai
Vihaan : mein kya karu kuch samaj nahi aa raha
Shalini : Kritika apni jagah bilkul sahi hai beta, mujhe lagta hai tumhe Disha se duri rakhni chaiye, tum kisi ke pati ho ab sirf dost ya bhai nahi ho, apna pati hone ki zimedari ko samaj na hoga tumhe, disha ko uske haal par chodh do beta, waise bhi jo kuch bhi Ranakpur mein hua ya
Vihaan : woh uski galti nahi thi
Shalini ; lekin hua to uski behen ki vajah se na, kritika ka gussa hona jais bhi hai agar tumhe kuch ho jata toh, tum samajdhar ho aage tumhari marzi, beta dosti har jagah ni nibhayi jaati
Vihaan gets upset on thought of leaving Disha's hands but also Kritika's rising insecurity. Disha calls Rishab for small dinner at her house
Luthra house
YOU ARE READING
Preeran FF : Yeh pyar na Hoga kam (completed)
FanfictionTheme : Story is about five couples who goes through roller coaster ride of joy, emotion, heartbreak, adventure. happiness and tears. Karan and Preeta love is tested by fate on every stage by circumstances and enemies around. Under heavy storm all...