Luthra house
Karan, Roo and Kritika Sameer runs to hug Rishab tearfully which does not let Disha move further seeing their bonding. She sees the guilt in Rakhi's eyes
Rishab : disha kya hua, chalo ruk kyu gai
Disha : mere sanskar mujhe rok rahe hai, ek maa ko uske bete se aur bhai ko unke bhai behen se kaise alag kar sakti hu itni himmat nahi hai mujhme
Rishab : what?
Disha : rakhi aunty, aapko shayad zindagi bhar maaf na kar pau lekin itni bhi buri nahi hu aapke bete ko aapse alag kardu warna aapki baat shayad sach ho jati
Rakhi : maaf karde mujhe beta (hugs her tearfully) koi dushman bhi shayad itna pathar dil nai hoga
Disha with heavy heart asks time to forgive rakhi. Things start to settle down in the family
Kritka is given special care by everybody.
Kareena : rishab karan tum dono bhi hume jaldi se good news de do
Karan : woh toh hum de denge (all widens mouth) Lekin pehle iss ek haathi ko toh sambhal lo
Kritika : Mumma dekho mujhe kaise pareshan kar rahe hai
Shrishti feels nausea while eating breakfast
Preeta : Kya ho gaya isse mein dekh ti huh isse
" hello ? Yea" Sameer gets call from somebody and hits his head
Karan : muh toh aise bana raha hai jaise kahi kala karke aaya ho
Rishab : chup kaali zuban aur tu Kya hua tujhe muh kyu chupa raha hai
Sameer : chupa nai bacha raha hu kyuki aaj meri haddiya tut ne wali hai
Karan: Kya bola ? Tune Shrishti ko dhoka diya chodunga nai main
"Nahiiii" Shrishti shouts loudly
Preeta ; Kya hai chilla mat Kya hua
Shrishti: yeh nate Batle ne mujhe dhoka diya itna acha gift diya Maine isse aur dekho
Sameer: areey wah tumne kitna acha gift diya toh aage yeh bhi add kardo ki ek aur dene wali ho (says annoyingly)
Shrishti: what?
Rishi : but gift sirf husband ke liye hoti hai ?
Akruti : mand buddhi kab akal aayegi tumhe
Rishi : khudh ko Gali de rahi ho
Kunal : dene ki zarurat hi nahi hai
Akruti: kya bole
Kunal : Maine kuch bola Kya tere Kaan baaj rahe honge waise bhi nayi nayi shaadi hui hai na bahut kuch bajta hai
Akruti : tujhe toh Abhi dikhati hu mein sab kuch Baja ke
Preeta : areey chup ho jao sab
Karan : ha dekho master sahiba bol rahi hai chup ho jao (sees her glare and gulps in fear) bolo my preete
Preeta (removes her sandal); main bolti kam aur karti jyada hu dekhoge
She chases him with sandals
Karan ; koi bachao mujhe iss bhootni se
Sameer : aapka pala toh achi wali se pada hai mujhe toh sakshat billi ka panja mila hai
Kunal : yeh billi bhootni sab andh vishwas hote hai asli chudail isse kehte hai (points at akruti)
Roo : kyu lalkar rahe Soti Sherni ko yaar
Rishi : akruti tumne bataya nai tumhara nick name bhi hai woh bhi itna bekar waise what is the meaning behind this
"Abhi bata hu dono ko ki iska meaning kya hota hai line mein khade raho" akruti grabs stick from side
Kunal : yeh toh sach mein chudail ban gayi koi bachao mujhe biwi ji
Roo eats her food happily
Preeta: ab kaha bhagoge tum bajarbattu kahi ke huh
Karan : dekho usse rakho niche (ducks down)
Preeta ends up hitting Disha with sandal again
She makes cry face
Karan : meri Bhabhi ko chappal, don't worry Bhabhi main aaj iske saare manhoos chappal chupa dunga ya phek dunga
Preeta : himmat toh karke dekho
Disha : Lekin main tum dono ko bahar phek dungi ab mera dimaag ja raha hai
Kunal : koi isse pheko iss chudail ko
Rakhi : chup ho jao warna main sabko bahar nikal dungi yaha se
Kiara giggles seeing their faces with Karan
Karan : sorry mom (starts laughing )
Rakhi : sameer tu bata kya hua hai
Sameer : chachi mujhe maar nai khani apni laadli se pucho na
Shrishti : aisi baatein pati bataye toh acha hai na kyu (fakes blushing)
Sameer makes faces
Mahesh : tum dono bataoge bhi
"Shrishti ma banne wali haiiiii" sameer shouts breathing heavily
All stumbled
Karan : phir se bol kya bola
Sameer : bh...bhai kuch nahi aapki fan yaha baccho ki factory khol na chahti hai
Rishab : matlab tu phir se
Karan : yaha hamara ek account nahi Khul raha aur isne dusre ka bhi intezaam kardiya, hey Bhagwan ghor kalyug hai yeh toh
Kiara cries with him
Karan : ha beta dekha na kaisa insaaf hai chachu ke saath
Rakhi : sameer Shrishti (asks shockingly)
Karan(cries): ma iska phir promotion ho gaya chodunga nai iss dhokebaaz ko main
Sameer : yeh sab iss shrishti ki vajah se
Disha: kyu koi jaadu mantar se paida kiya hai baccha jo iske akele ka haatb hai
Karan : dekha kitni smart hai meri Bhabhi, Sammy ke bachhe chodunga nahi
Kiara cries loudly
Karan : nai beta aapko nai papa ko bol raha tha okay aap shant
She smiles
Sameer : baap ki dushman
Preeta : do mujhe kiara warna tum isse bhi bigad doge apni tarah
Karan : nai dunga hato yaha se woh meri fan hai jao
Both keeps fighting for kiara again.
Precap
Preeta pregnant
Dishrab romance
YOU ARE READING
Preeran FF : Yeh pyar na Hoga kam (completed)
FanfictionTheme : Story is about five couples who goes through roller coaster ride of joy, emotion, heartbreak, adventure. happiness and tears. Karan and Preeta love is tested by fate on every stage by circumstances and enemies around. Under heavy storm all...