Waqt guzarta gaya

228 28 22
                                    

Duniya ki saazishen yunhi chalti rahin
Waqt guzarta gaya, hum wahin reh gaye

Hum badnaam hue, mohabbatein tootin
Lamhe pyaar ke mile, per yaadein chootin
Wo hamse ishq karke, ho gaye kisi aur ke
Waqt guzarta gaya, hum wahin reh gaye

Haath main jaam tha, bas dosti ke naam tha
Saath hanse saath roye, sab kitna aasan tha
Sabne chunli apni raah, chune naye dost
Waqt guzarta gaya, hum wahin reh gaye

Jhonk diya khud ko rozana jarurton main
Ghiste gaye khudko bas chaalaki na seekhi
Wo sab safalta ki seedhi chadhte gaye
Waqt guzarta gaya, hum wahin reh gaye

Seekha zindagi se bas itna hi hamne ki
Kitna bhi daud len waapis aana hai yahin
Wahi pyaar wahi yaar aur saara karobaar
Waqt guzarta gaya, sab wahin reh gaye

~TallGuy

स्पर्शजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें