Shiv hi mrityu Shiv hi jeevan
Shiv se bana hai har ek kan kan
Is jeevan ka saar hi Shiv hai
Paapon ka sanhaar bhi Shiv haiPoshakon ka moh nahi, bhasm se saja badan
Amrit tyaag vish peekar bhi rahe sada maganShiv se Shakti, Shakti se Shiv hai
Shiv ki bhakti main jo hai wo Shiv haiYog ka rahasya bhi Shiv hai
Taandav ka hahakar bhi Shiv hai
Natraj ki mudra bhi hai
Trinetra ka vidhwans bhi Shiv haiChhodoge moh maaya ka jaal
Tab sharan main lenge mahakaal
Ik onkar, ek hi Satya, ye dhyaan lagaaye
Aankh moondkar bolo, Om namah Shivay~TallGuy
आप पढ़ रहे हैं
स्पर्श
PoetryA collection of my hindi poems, ek koshish hai apne dil ki baat kehne ki. It is going to be a mix of Hindi, English and Urdu words and I just want to be true to myself with this, idea is not to impress anyone else.