Sapne

47 13 53
                                    

Kabhi subah jaagne ka kaaran
Kabhi jaldi sone ki wajah bane
Haseen, darawane, ajeeb, kabhi meethe se
Bahut se hain mere sapne

Kai saare to yaad bhi nahi
Hawa main hi ho gaye shaayad gum
Kuch main anjaane chehre nazar aaye
Kuch main bas main aur tum

Kuch main guzre bas do pal
Aur kuch main poori sadiyan
Kuch main gire pahaad ya seedhe aasman se
Kabhi sailaab main baha le gayeen nadiyan

Buri aatmaon ne keher machaya
Kabhi laut ye buddhu ghar ko aaya
Kabhi jismaani riston ka charam hai paaya
Kabhi husn ka jaadu chaya

Jab jaagti aankhon se dekha
Ek ummeed ki kiran bane
Waqt badlega, raahen niklengi
Sab kuch paane ki chaah bane

In gadhon ko ye pata bhi na hoga
Ek bewakuf bharose inke maankar inhe apne
Aas lagaye ki sach honge inme se kuch to
Uske jeene ki wajah bane ye sapne

~TallGuy

स्पर्शजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें