Kahin duur

52 9 19
                                    

Kadam uthe achanak hi
Koi baat thee bhi, ya nahi
Yunhi, kahin duur jaane ka mann ho aaya

Wahan jahan raaste tedhe medhe hon
Wahin jahan yaadon ke lamhe tere mere hon
Wahin, jahan yaad kabhi koi gam na aaya

Ab bahut miss karta hun wo sarson ke khet
Aur haan, jahan mile the hum, us beach ki ret
Kahin to jaaun aaj, nikalne ka ab waqt aaya

Bas nange pair chalne ka mann hai
Makhmali ghaas mahsus karne ka mann hai
Us jagah jahan dhuup ka aanchal lahraya

Main saadgi main jee lunga
Tanha bhi reh lunga
Bas in raaston ke manzar na cheen khudaya

Jaane de na rok mujhe ab mera
Kahin duur jaane ka mann ho aaya

~TallGuy

स्पर्शजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें