Main Raakshas hun Shaitaan hun main
Pashu pravatti haiwaan hun main
Per Brahm nahi Brahm Raakshas hun
Tam hun main Yamraj bhi hun mainVikraal Yudh ka vidhwans hun main
Raavan, Duryodhan aur Kans hun main
Bhookh ki hahakaar hun main
Aur laalach ki lalkaar hun mainAstitva mitaane aaya hun
Wo Kalki ka avtaar hun main
Tumhe raah bhulaane aaya hun
Wo maayavi sanhaar hun mainAb bolo bach kar kahan jaaoge
Kya is andhkaar se nikal paaoge
Yatra tatra sarvatra hun main
Apne andar bhi mujhko paaoge~TallGuy
आप पढ़ रहे हैं
स्पर्श
PoetryA collection of my hindi poems, ek koshish hai apne dil ki baat kehne ki. It is going to be a mix of Hindi, English and Urdu words and I just want to be true to myself with this, idea is not to impress anyone else.