Wo Mayee ka aana
Wo June ka tham jaana
Na padhai ki jhik jhik
Na mummy ki chik chikWo khule main nahana
Der se uthne ka na tha koi bahana
Padhai ka nahi, TV dekhne ka
Wo detailed Time table bananaJab chaddhi pehen ke phool khila tha
Friend se uska comics collection mila tha
Chacha Chaudhary, Billoo Pinki aur Nagraj
Page turner kal the, aur hain aajWo dhoop main cricket
Wo badminton ka racket
Chandrakanta ki kahani
Greater than Sheela ki jawaaniWo palaash ke phoolon ki rangeeniyan
Talwaar bani wo showbabul ki tahaniyan
Na teachers na books, bas dost yaad aate
Kuch dino ke liye jab naani ke ghar jaateWo barf ka gola
Wo juicy mangola
Wo Kismi ka kiss na bhoolna
Sachhee, I love you RasnaAaj ki bhaagam bhaag main
Socha kuch pal theher kar yaad karlen
Kitni theen mithiyaan
Wo garmee ki chuttiyan~TallGuy
आप पढ़ रहे हैं
स्पर्श
PoetryA collection of my hindi poems, ek koshish hai apne dil ki baat kehne ki. It is going to be a mix of Hindi, English and Urdu words and I just want to be true to myself with this, idea is not to impress anyone else.