Prologue

7K 192 6
                                    

Do log baithe huye nazar aa rahe the jinke darmiyaan ek kaanch ki dewaar ka faasla tha.
Kanch ki yeh dewaar...Dur say thik say nazar bhi na ane wala yeh dewaar do mohabbat karne walo ki bich itna bara faasla la chuka tha ki ek umar bhi shayed kam par jayega isay mitane may.

Person 1:Please kholo yeh darwaza...Ek baar..Ek akhri baar
Person 2:Chale jao yaha say.May aur kamjor nehi parna chahti..
Person 1:Mujhe maaf kardo may mazboor hu.
Person 2:Koi explanation mat do..
Bohot der tak darwaza khatkhata nay kay baad darwaza khulne ki awaz ayi. Andar rehne wale ka dill akher kar pighal hi gaya.Dono ki akho kay aasoo ko dekh kay pata chal raha ki dono hi bohot der say ro rahe the.Magar itna ansoo behna bhi kafi nehi tha.Abhi to shayed bas gam ki shuruyad huya tha. Wo dono ek dusre ko gale laga kay aise ro rahe the jise dekh paththar dill bhi pighal kay moom ho jaye.

Yeh shayed unke akhri mulakat thi. Akhri kuch lamho ko woh dono aise samet rahe the jaise isikay sahare ab puri zindegi nikaal denge.Jab ek waha say jane laga to dusre nay uskr haath pakar kay boli,''Maat jao.. Please..''
Kash woh uski baat rakh pata.Par use toh jana hi tha.Dulhe ki libas may khara uss shaks ka kuch der may shadi jo hone wala tha.Apne dill pay paththar rakhke usne apna hath churaya aur waha say jane laga.

Usko pata hay piche reh jane wala insaan abhi bhi bohot ro rahi hay par woh piche murke nehi dekh sakta

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Usko pata hay piche reh jane wala insaan abhi bhi bohot ro rahi hay par woh piche murke nehi dekh sakta. Kyuki agar woh piche ka wo manzar dekhega to waha say ja hi nehi payega.

Par agar haath chorkay chale jana itna aasaan hay to log yeh kyun kehte hay ki
''Pehli Mohabbat bhulaye nehi bhulta.''

(Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi,bichadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte

Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha)

Dhoop Mein Barsaatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें